Zindan Me Muqayyad Huwe Jis Dam Haram E Shah Marsiya Writeup, Lyrics
Zindan Me Muqayyad Huwe Jis Dam Haram E Shah
Ambowh-E Qalaaeq Huwa Darwaaze Pa Naagaah
Balwa Huwa Is Darja Ke Masdood Huwi Raah
Sar Sharm Se Zanjeer Pa Aabid Ne Rakha Aah
Tha Wo Arakh-E Sharm Asseroun Ke Na Tan Me
Rotha Tha Harek Uzu Gham-E Shah-E Zaman Me
Mashgool Jo The Khel Me Atfaal Wo Saare
Karthi Thi Sakina Wahaan Hasrath Se Nazaare
Kahthi Thi Ke Kya Hogaye Hamjoli Hamaare
Baba Ali Asghar Ko Kahaan Leke Sidhaare
Sab Bach-Che Yahaan Kehlthe Hain Khanda Zinaan Hain
Main Khelthi Thi Jinse Wo Atfaal Kahaan Hain
Nagaah Namudaar Huwi Shaam-E Gharibaan
Aaya Ghazab Aalood Wahaan Shimr-E Bad Eimaan
Ek Ek Se Muqaatib Huwa Wo Dushman-E Yazdaan
Ab Jaao Ke Hotha Hai Muqaffil Dar-E Zindaan
Hoegi Rehaai Na Kabhi Aal-E Abaa Ki
Kal Dekhiyo Phir Sair Aseeraan-E Balaa Ki
Ye Sunke Parishaan Huwa Anbow Wo Saara
Gum Hogaya Ek Shaqs Ka Farzand Qazaara
Chillaya Pidar Uska Raha Dil Pa Na Yaara
Farzand Bhi Baba Bhi Ise Kah Ke Pukaara
Wo Tifl Lipatne Jo Laga Aake Pidar Se
Paida Huwi Ek Aah Sakina Ke Jigar Se
Bhar Bhar Ke Dam-E Sard Ye Ki Bano Ne Guftaar
Is Bach-Che Ko Dekho Ke Kya Qush Hai Ye Dildaar
Kya Naam-E Pidar Pyaar Se Leta Hai Har Baar
Ek Ham Hain Ke Hain Baap Ki Furqat Me Giraftaar
Dil Me Jo Mere Dard Hai Qaaleq Pa Ayaan Hai
Mai Kisko Kahun Baap Mera Baap Kahaan Hai
Baba Mere Hote To Unhain Kahthi Mai Baba
Ab Baap Kahaan Jisko Kahoon Baap Mai Dukhya
Yun Koi Pidar Beti Se Ghaafil Nahi Hota
Hairaan Hoon Baba Ke Wo Ashfaaq Huwe Kya
Aada Ne Hame Qaid Kiya Shaam Me Laakar
Baba Mere Kyun Mujh Ko Nahi Dhondhthe Aakar
Ye Kahke Sakina Pa Jo Riqqat Huwi Taari
Bas Haae Pidar Kahke Kai Baar Pukaari
Tadpi Jo Zameen Par Tho Zameen Hilgayi Saari
Jhunjlaake Kaha Shimr Ne Phir Karthi Ho Zaari
Ab Khoob Rulaaunga Tujhe Main Na Daroonga
Rah Tujh Ko Aseeroun Se Judaa Qaid Karoonga
Phir Shimr Ne Baazue Sakina Ko Jo Pakdaa
Kunbe Ki Taraf Usne Ajab Yaas Se Dekha
Sab Qaidyoun Me Aik Qayaamat Huwi Barpaa
Sajjad Ke Qadmoun Pa Machal Kar Giri Dukhiya
Youn Lipti Thi Bhaai Se Wo Is Qouf-O Qatar Me
Ek Haath Tho Gardan Me That Ek Haath Kamar Me
Muh Dekh Ke Sajjad Ka Kahthi Thi Wo Dar Kar
Ab Aap Mere Rone Ke Zaamin Ho Baradar
Gar Tum Se Chuti Zeest Meri Hoegi Kyun Kar
Ab Rounoon Tho Jo Chaahe Kare Shimr-E Sitamgar
Bhayya Mujhe Tu Shimr Se Iswaqt Bachaale
Ab Rouoon Tho Kar Dijiyo Zaalim Ke Hawaale
Ab Roi So Mai Roi Na Phir Roungi Zinhaar
Ab Roun Agar Baap Ko Apne To Gunahgaar
Farmaao Ke Ab Chowdh De Mujh Ke Ye Jafaakaar
Baazu Mera Dukhne Laga Aye Aabid-E Beemaar
Kis Tarha Juda Kunbe Se Howegi Sakina
Tum Kahdo Qasam Khaake Na Royegi Sakina
Ye Kahthi Thi Khaincha Jo Sitamgar Ne Qazaara
Kurta To Phata Tha Wo Phata Aur Bhi Saara
Tab Aabid-E Beemar Ne Rokar Ye Pukaara
Aye Shimr Ye Bin Baap Ki Bach-Chi Hai Qudaara
Ghaafil Teri Dahshat Se Na Howegi Sakina
Ab Aisi Dari Hai Ke Na Royegi Sakina