Yeh Zikr Abhi Tha Ke Sadaa Roney Ki Aayi Marsiya Writeup, Lyrics
Yeh Zikr Abhi Tha Kay Sadaa Roney Ki Aayi
Darwaazey Sey Akbar Ney Yeh Aawaaz Sunaayi
Looti Gayee Hai Hai Phuphi Amma Ki Kamaayi
Maarey Gaye Doh Saath Ke Khelay Huvey Bhaai
Rotey Huvey Abbas Bhi Humrah Gaye Hain
Khud Laashey Utthaaney Kay Liye Shah Gaye Hain
Fizza Ki Sadaa Aayi Kay Aye Peetnay Walo
Sab Milkey Aray Meri Khoozaadi Ko Sambhaalo
Rothi Hai Kidhar Baanu-E Aalam Ko Bulaalo
Loota Gaya Ghar Khaak-E Aza Baaloun Pah Daalo
Maqtal Say Hussain Ibne Ali Laathay Hain Laashey
Saidaaniyoun Deodi Pay Chalo Aatey Hain Laashey
Laashoun Ko Shahey Deen Safay Matam Pa Jo Laaye
Sab Ahley Haram Peetthey Rotey Huvey Aaye
Zainab Ney Na Faryaad Ki Ney Ashk Bahaaye
Bhaittee Rahee Sar Zaanu-E Aqdas Pa Jhukaaye
Lab Khusk They Moouh Faq Tha Mijha Ashkoun Say Tarr Thi
Ney Apni Na Bhaai Ki Na Laashoun Ki Khabar Thi
Baanu Nay Rakhey Zaanu-E Zainab Pah Sar Unkay
Jo Bibiyan Thi Aagaye Mooh Ko Jigar Unkay
Zainab Nay Jo Ki Jhuk Kay Nuqhoun Par Nazar Unkay
Dikhlaayi Diye Channd Say Muh Khoon May Tarr They
Rukhsaar Bhi Majrooh They Abrooh Bhi Katay They
Shaaney Bhi Juda Chaand Sey Baazu Bhi Katey They
Muh Chaathiyoun Pa Rakh Kay Woh Naashaad Pukaari
Aaraam Mey Hothi Ho Ya Ghashi Pyaas Sey Taari
Hotha Hai Bayaan Shoukath-O Himmath Ka Tumhaari
Tasleem Karo Qibla-E Kaunain Ko Waari
Samjhi Mai Kay Baas Hai Yeh Beydaari Shab Ka
Pyaaro Yeh Tareeqaa Nahin Arbaab-E Adab Ka
Taarif Imaam-E Doh Saraa Kartay Hain Uttho
Abbaas-E Alamdaar Sanaa Kartay Hai Uttho
Hum Shakl-E Nabi Madhey Vegha Kartey Hain Uttho
Sab Log Na Uttnay Ka Gilaa Kartey Hain Uttho
Aaqa Say Musibath May Judaa Ho Nahin Jaatey
Sadqey Gayee Youn Jung Ke Din So Nahin Jaatey
Tum Toh Kabhi Yon Raat Ko Ghaafil Nahin Soye
Paani Nahin Kistarhaa Yeh Maa Chhroun Ko Dhoye
Ab Tum Na Milogay Jo Koyi Jaan Bhi Khoye
Qismath Mey Yeh Likhaa Tha Kay Maadar Tumhey Roye
Sar Dekey Mere Haq Sey Adaa Hokay Phirey Ho
Samjhi Mai Kay Maamu Pay Fidaa Hokay Phirey Ho
Pyaaro Tum Akelay Kabhi Nikley Nahin Ghar Sey
Rasthey Sey Na Waaqif Na Sobath-E Safar Sey
Raahein Woh-Kay Khaali Nahin Jo Khouf-O Qatar Sey
Jo Khaasa-E Baari Hai Woh Tharrathey Hai Darr Sey
Is Khouff Say Raathoun Ko Na Sotey Thay Mohammed
Jab Maut Ka Zikr Aatha Tha Rotey They Mohammed
Hai Hai Wohi Rastha Tumhey Darpesh Hai Pyaaro
Tum Mard Ho Jarraar Ho Himmath Ko Na Haaro
Ab Aankhon Sey Chhup Jaaogay Aye Arsh Kay Taaro
Bachho Mujhe Manzil Ka Pathaa Dekay Sidhaaro
Veeraaney May Ya Gulshan-E Hasthi May Rahogay
Tum Aaj Ki Shab Kounsi Basthi May Rahogay
Taareeki May Waari Tumhey Neend Aayegi Kyonkar
Shab Hogi Toh Bachchoun Ko Yeh Maa Paayegi Kyonkar
Maadar Dil-E Betaab Ko Samjhaayegi Kyonkar
Waanh Takh Merey Roney Ki Sadaa Jaayegi Kyon Kar
Nikloon Jo Tajasus May Toh Beyjaa Nahin Waari
Maa Hoon Mera Patthar Ka Kalejaa Nahin Waari
Maqtal May Khiyaam Aaj Kahaan Hogaa Batha Doh
Maa Sadqey Muqaam Aaj Kahaan Hogaa Batha Doh
Din Tumko Tamaam Aaj Kahaan Hogaa Batha Doh
Bisthar Sar-E Shaam Aaj Kahaan Hogaa Batha Doh
Hum Waar Zameen Shab Kay Bichhounay Ko Milegi
Kaisi Hai Jaghey Jo Tumhey Soney Ko Milegi
Tukkday Tha Kalejaa Yeh Bayaan Dard Ka Sunkar
Ek Hashr Tha Saidaaniyaan Jab Peetthi Thee Sar
Baano Ney Kaha Qibla-E Kounain Say Utt Kar
Marjaayegi Maa Laashoun Ko Lejaaiyeh Baahar
Farzandoun Ka Gham Khaaliq-E Aalam Na Dikhaaye
Allah Kisi Maa Ko Yeh Maatam Na Dikhaaye