Watan Me Qaafela E Karbala Ki Aamad Hai Marsiya Writeup, Lyrics
Watan Me Qaafela-E- Karbala Ki Aamad Hai
Sawaariye Haram-E- Mustafa Ki Aamad Hai
Yateem Sarwar-E- Gulgoon Qabaa Ki Aamad Hai
Ghareeb-O- Bekas-O- Aashna Ki Aamada Hai
Tamaam Shaher Hai Shalq-E- Ali Ke Pyaaroun Ka
Nabi Ke Rouze Pa Majma Hai Dost Daaroun Ke
Sunaa Tha Jab Se Ke Aathe Hain Syed-E- Akram
Qushi Se Faatema Sughra Ka Tha Ajab Aalam
Kabhi To Jhukthi Thi Sajde Me Wo Badeeda-E- Nam
Kabhi Ye Kahthi Thi Kyun Naani Jaan Kigaye Ham
Watanme Aaj Shah-E- Mashraqain Aathe Hain
Chalo Chalo Mere Baba Hussain Aathe Hain
Uthin Ye Kahthe Hi Ummul Banain Ba Shouq Tamaam
Gayi Jo Muttasil-E- Rouza-E- Rasool-E- Anaam
Suna Ye Shour Ke Lo Aaye Shaah-E- Arsh Maqaam
Nazar Wo Aatha Hai Ddekho Nishaaan-E- Fouj-E- Imaam
Bade Shikwe Se Hyder Ka Yaadgaar Aaya
Alam Liye Huwe Abbas-E- Naamdaar Aaya
Ye Nouha Padhtha Tha Ghowde Ke Aage Aage Basheer
Madina Lut Gaya Jangal Me Margaye Shabbir
Gale Pa Dilbar-E- Zehra Ke Chal Gayi Shamsheer
Kiya Shaheed Ghareebul Watan Ko Be Taqseer
Pada Raha Jo Zameen Par Ye Uska Jaama Hai
Kafan Mila Na Jise Uske Ye Amaama Hai
Bitha Ke Naaqe Ko Sajjad-E- Naatawaan Utre
Asaa Ko Thaam Ke Baa Chasm Qoon Fishaan Utre
Qareeb-E- Marqad-E- Sultaane Ins-O- Jaan Utre
Aur Ahl-E- Baith Ye Karthe Huwe Fughaan Utre
Huwi Ghareenboun Pe Bedaad Ya Rasool Allah
Hussain Margaye Faryaad Ya Rasool Allah
Huwi Jo Rouze Me Daaqil Wo Qaafela Naagaah
Gire Mazaar-E Mubaarak Pe Aabed-E- Zeejaah
Uthaa Ke Haath Ye Faryaad Ki Ba Naala-O- Aah
Tabaahi Aagayi Ham Bekasoun Pa Yaa Jaddaah
Yateem Hoke Ye Naashaad Kaam Aaya Hai
Pidar Ko Khokde Watan Me Ghulaam Aaya Hai
Bada Sitam Kiya Ummat Ne Ya Rasool-E- Zaman
Kiya Huzoor Ke Pyaaroun Ko Zibha Tishna Dahan
Raha Sinaan Pe Sar-E- Paak Aur Zameen Pe Badan
Lute Ham Aise Ke Baba Ko De Sake Na Kafan
Na Din Ko Thi Hamain Raahat Na Chain Raathoun Ko
Jakad Diya Tha Rasan Se Hamaare Haathoun Ko
Gayi Lahad Pa Phir Istarha Zainab-E- Mahzoon
Ke Aik Haath Me Shah Ka Amaama-E- Pur Qhoon
Aur Aik Haath Me Hazrat Ka Haama-E- Gulgoon
Zabaan Pe Marsia Jis Ka Ye Jaan Gaza Mazmoon
Yazeed Ne Hamain Loota Duhaai Hai Nana
Baha Shaheed Ke Mujre Ko Aai Hai Nana
Hussain Bhaai Ko Ham Karbala Me Chowd Aaye
Ali Ke Laal Ko Dashth-E- Bala Me Chowd Aaye
Yateem-E Faatema Ko Nainawa Me Chowd Aaye
Tumhaare Chand Ko Khaak-E- Shifa Me Chowd Aaye
Ye Baad Qatl Ajab Tafreqaa Pada Nana
Gada Badan Kahin Aur Sar Kahin Gada Nana
Huwi Hussain Ke Marne Se Dar Badar Zainab
Gayi Yazeed Ki Mahlis Me Nange Sar Zainab
Kai Mahine Rahi Qaid Nouhagar Zainab
Ye Saqt Jaan Thi Ke Jeethi Phiri Idhar Zainab
Waram Hai Shaanoun Pe Dukhthe Hain Ustoqaan Nana
Ye Mere Baazu Pe Rassi Ke Hain Nashaan Nana