Tifli Hi Se Zainab Pe Musibat Huwi Kya Kya Marsiya Writeup, Lyrics
Zainab Pa Huva Khaatema Har Ranj-O Balaa Ka
Maatam Kiya Pehlay Toh Rasool-E Doh Saraa Ka
Phir Gham Huva Darpesh Batool-E Uzara Ka
Dekha Sar-E Aaloodh Ba-Khoon Sher-E Khuda Ka
Woh Khasthaa Jigar Shabbar-E Dilgeer Ko Roye
Phir Baad-E Hasan Hazrath-E Shabbir Ko Roye
Tifli Hi Se Zainab Pe Musibath Huwi Kya Kya
Nana Ke Liye Roi Kiya Maatam-E- Zehra
Aur Mohsin-E- Masoom Ki Bhi Laashey Ko Dekha
Ye Daagh Na Bhooli Thi Ke Zaqmi Huwa Baba
Tukde Jigar-E- Syed-E- Masoom Ko Dekha
Phir Taigh Ke Neeche Shah-E- Mazloom Ko Dekha
Paamal Use Paikar-E- Qasim Nazar Aaya
Zainab Hi Ne Kubra Ko Bhi Rand Saala Pinhaaya
Aththaara Baras Waale Ka Bhi Daagh Uthaaya
Aur Laasha-E- Asghar Ko Bhi Chaathi Se Lagaya
Dil Tukde Huwa Qatl-E- Imaam-E- Madani Se
Sooraaq Pade Pusht Me Naize Ki Ani Se
Al Qissa Kay Zainab Ko Sadaa Bhaai Ki Thi Yaad
Tha Dushman-E- Aabid Jo Yazeed-E- Sitam Eejaad
Guzri Ye Qabar Usko Ke Kya Baittha Hai Dilshaad
Ijmaah Hai Shiyoun Ke Pa-Ye Yaari-E Sajjad
Waaris Hai Wo Teigh-E Kamar Shair-E- Quda Ka
Ab Tujh Se Iwaz Leyga Woh Khoon-E- Shohada Ka
Moujood Hoon Haazir Hoon Mai Qaidi Hoon Tumhaara
Lekin Mujhe Batlaao Ye Tum Jald Qudaara
Zainab Ko To Ab Qaid Karoge Na Dobaara
Moujood Hai Wo Bhi Nahi Kuch Zour Hamaara
Gar Kaam Nahi Is Se To Kah Do Ye Qushi Se
Mill Aaun Mae Hamsheer-E- Hussain Ibn-E-Ali Se
Aada Ne Kaha Jaao Pa Jald Aaiyo Baahar
Aabid Gaye Pahne Huwe Aah Ye Zalwar
Baaqer Tho Gire Haae Pidar Kahke Zameen Par
Zainab Ne Lipat Kar Ye Kaha Kya Huwa Dilbar
Naachaar Hain Kuch Zour Hamaara Nahin Pyaare
Durra Tho Kisi Ne Tumhe Maara Nahi Pyaare
Jab Manziley Aafath Ki Wo Thay Keen Saher-E- Shaam
Pahoncha Wo Giraftaar-E- Balaa Muttasil-E- Shaam
Ek Baagh Me Shab Baash Huwa Aabid-E- Naakaam
Wo Raath Thi Zainab Ke Liye Mauth Ka Paighaam
Allah Se Kahne Lagi Haath Apne Uthaa Kar
Kya Shaam Ke Balwe Ko Mai Phir Dekhoongi Jaa Kar
Ye Sunkay Diya Hukm Shaqi Ney Sar-E Darbaar
Abid Ko Giraftaar Karein Jaakay Kuch Aswaar
Zanjeer Bhi Aur Tauq Bhi Bhaari Saa Ho Tayyaar
Lo Ab Qisaas-E Shohadaa Ka Hai Talabgaar
Kis Baath Pah Magroor Woh Ibne Shahey Deen Hai
Kya Pehli Aseeri Ka Mazaa Yaad Nahin Hai
Baazu Mey Rasan Baandhi Thi Aur Paaun Mey Zanjeer
Abid Yehi Kehthey They Kay Kya Hai Meri Taqseer
Woh Kehthey They Yaan Poocho Na Aye Naaeb-E Shabbir
Ab Shaam Mey Ho Jaayegi Jo Honi Hai Taqdeer
Abid Ney Kaha Khair Chalo Darr Mujhey Kya Hai
Mazloom Ka Farzand Toh Raazi Ba Riza Hai
Abid Ka Sukhan Koyi Bhi Khaatir Mey Na Laaya
Naaqey Pa Usi Shakl Sey Beykas Ko Bitthaaya
Aur Rokay Zann-O Mard Ney Ek Shor Machaaya
Naagah Yeh Ek Shaqs Ney Abid Ko Sunaaya
Kya Baittey Ho Naaqey Pa Zaraa Dekho Udhar Ko
Hamsheer-E Hussain Aathi Hai Kholey Huvey Sar Ko
Yaa Rab Mujhe Us Shaher Ko Ab Too Na Dikhaana
Sar Nange Phir Us Mulk Me Mujh Ko Na Phiraana
Hai Yaad Mujhe Shaam Ka Wo Ranj Uthaana
Hamraah Sar Shah Ke Huwa Tha Mera Aana
Ab Paish-E- Nazar Bhai Ki Tasveer Nahi Hai
Aayi Hoon My Tanha Sar-E- Shabbir Nahi Hai
Ya Baar-E- Quda Waastha Shaahe Madani Ka
Sadqa Pisar-E- Fatima Ki Be Kafani Ka
Aur Waastha Aabed Ki Ghareebul Watani Ka
Sadqa Shah-E- Mazloom Ki Tishna Dahani Ka
Zainab Taraf-E- Shaam Yahaan Se Na Rawaan Ho
Kal Subha Mulaaqaat-E- Imaam-E- Do Jahaan Ho
Us Raath Ko Zainab Rahin Mashghool-E- Munaajaat
Nagaah Saher-E Kooch Numaayaan Huwi Hai Haat
Sajjad Ne Zainab Se Ye Ro Ro Ke Kahi Baat
Lo Bhaai Se Tum Apne Karo Aaj Mulaaqaat
Kis Dard Se Kal Aap Thee Mashghool-E- Duaa Me
Maqbool Duaa Hogayi Dargaah-E- Qudaa Me
Zainab Ne Kaha Aaya Yaqeen Ab Mujhe Betaa
Par Mouth Ke Aasaar Tho Ab Tak Nahi Paidaa
Ab Aage Ye Hai Mughbir-E- Aqbaar Ne Likhaa
Is Baagh Me Badkhaah Hai Ek Aal-E- Nabi Kaa
Tha Baagh Me Parqaar-E- Gulistaan-E- Jafaa Tha
Gulshan Ki Rawish Bailche Se Khod Rahaa Tha
Haal Us Ne Suna Aamad-E- Zainab Ka Jo Saaraa
Zainab Ke Qareeb Aaya Wo Be Raham Qazaara
Us Zulm Ke Kahne Ka Zabaan Ko Nahi Yaaraa
Bas Pusht Pe Zainab Ke Wahi Bailcha Maara
Zainab Ne Kaha Hogaya Saamaan Qazaa Ka
Mushkil Meri Aasaan Huwi Shukr Quda Ka