Wabasta lehad mein ho meri zaat Ali se

Wabasta lehad mein ho meri zaat Ali se,
Mumkin ho ke hojaye kabhi baat All se,
Shaukat mujhe marna hai basad shauq Gawara,
Hoti hai agar marke mulaqaat All se.

Zikr E Ali se dilon ko suroor milta hai,
Nigah-e-fikr ko taza sha’oor milta hai,
Naseeb kaisa bhi ho, ya Ali madad keh kar,
Khuda se kuch bhi mango zaroor milta hai.

Har dour har jahan ne kaha Ya Ali Madad,
Har qalb har zaban ne kaha Ya Ali Madad,
Girta hua zameen pe baccha sambhal gaya,
Be sakhta jo ma’an ne kaha Ya Ali Madad.

Badli musibaton ki jo chaai thi chhat gayi,
Mushkil meri hayat ke raston se hat gayi,
Maine Ali ka naam liya jab jalaal mein,
Ghabra ke meri maut bhi wapas palat gayi.

Ali Ke Haath Ki Choti Si ek Jumbish Mein,
Nabi Ke Deen Ki Umr-e-Daraaz Milti Hai,
Tujhe Namaz Mein Mera Ali Nahi Milta,
Mujhe Ali Mein Hi Sari Namaz Milti Hai.

Bughz ka na Kota jo keeda dimaagh mein,
Ali ja rutba bhi ata dimagh mein,
Aata samajh mein tera bhi mimbar ghadeer ka,
Hota jo agar un ke bhi bheja dimagh mein

Ali ka Naam Bhi lelun to yeh Ibadat hai,
Yehi to Khoon ki Paaki ki Bhi Alamat Hai,
Nabi se Ishq ka Daawa hai, Bughz-e Haider Bhi,
Yeh haal jis ka hai uss pe Khuda ki Lanat Hai.

Fikro Nazar Ko Koi Saleeka Nahi Mila,
Jab Tak Dare Ali Se Aqeeda Nahi Mila,
Kafir Bata Rahe Hai Woh Haider Ke Baap Ko,
Khud Jinko Apne Baap Ka Shajra Nahi Mila.

Kam zarf kaun kaun hai halali hai kaun kaun,
Munkir hai kaun kaun mowali hai kaun kaun,
Aur mola ali ke nam ka nara laga ke dekh,
Chehre bataenge ke halali hai kaun kaun.

Jo Naraye Haidari Ko Gawara Nahi Karte,
Hun Unse Taluq Ko Sanwara Nahi Karte,
Hum Dete Hai Mola Teri Azmat Ko Salami,
Murde Hai Wo Jo TujKo Pukara Nahi Karte.