Takmil-E-Deen Naam Hay Jashn-E-Ghadeer Ka
Bheja Hay Taaj Rab Ne Nabi K Wazeer Ka
Aao Ali A.S K Chahne Walon Khushi Khushi
Yeh Jashan Ho Raha Hay Janab-E-Ameer Ka
Koi Ali A.S Ko Maula Kahay Koi Na Kahay
Yeh Masla Azal Say Hay Zarf-O-Zameer Ka
Humein Woh Likhte Hein Deewar-O-Dar Pe Aaj
Hay Jin K Dill Mein Zakham Abhi Tak Ghadeer Ka
Mushkil To Us K Qadmon Mein Khud Lotne Lagi
Jiss Ne Bhi Naam Le Liya Qanbar K Peer Ka
Suraj Ye Keh Ke Din Ka Ubhra Ghadeer Mein
Takmeel Aaj Paayega Kalma Ghadeer Mein
Baazu Uthha Uthha Ke Dikhaate Rahe Rasool
Andhon Ne Phir Bhi Kuchh Nahi Dekha Gadeer Mein
Sadiyon Ka Faasla Hai Mere Unke Darmiyaan
Lekin Main Jaanta Hoon Ke Main Tha Ghadeer Mein
Nabi Ke Baad To Rehbar Bana Dye Laikin
Kahin Ghadeer Sa Mimbar Mile To Le Aaao
Ali Ki Baat Bari Hai, Ali To Mola Hain
Jawab E Hazrat E Qambar Mile To Le Aao
Muqam E Ishq Koi Be Zameer Kya Janay
Hussainiyat Ki Haqeeqat Haqeer Kya Janay
Nabi (S.A.W.W) Ki Zaat Pe Hazyan Ka Ho Shak Jis Ko
Woh Do Rakat Ka Namazi Ghadeer Kya Janay
Mankunto Jab Nabi Ne Sunaya Ghadeer Me
Nikhra Khuda Ke Deen Ka Chehra Ghadeer Me
Aur Kisko Sabka Maula Banate Rasule Haq
Tha Kon Dusra H.Ali A.S Jesa Ghadeer Me
Jo Nasal E Yazeed (L.A) Se Rakhta Hai Rabita
Jalta Hai Aaj Roza E Shabbeer (A.S) Ko Dekh Kar
Majlis Mein Aana Is Liye Biddat Bata Diya
Yaad E Ghadeer Aati Hai Mimber Ko Dekh Kar
Jo Dushmane Ali Tha Wo Roya Ghadeer Mai
Nikla Munafeqat Ka Janaza Ghadeer Mai
Aaj Bhi Wo Pherte Hy Muh Ko Namaz Me
Jaise Laga Ho Muh Pe Tamacha Ghadeer Me
Han Han Khyal Sabka Saja Tha Ghadeer Me
Maula Mera Imam Bana Tha Ghadeer Me
Jashne Wilayat Me Kuch Log Aesy Khamosh The
Jesy Ki Unka Baap Mra Tha Ghadeer Me
Eid E Ghadeer Ishq Ki Manzil Ka Naam Hai
Mehfil Saaji Hay Dhop Mein Kiya Ahtamaam Hay
Bheeja Rab Ny Taj Naabi Ky Hath Main Gooyya
Aj Dulha Banna Mera Imam Hay
Dushmanaane Haider Ko Jo Qareeb Rakhte Hain
Mera Aisay Logon Se Faasla Zaroori Hai
Ahlubayt Ke Haq Baat Jab Bhi Aaye Gi
Har Ghadeer Wale Ka Bolna Zaroori Hai
Ban Kar Sawaar E Dosh E Risalat Ghadeer Me
Pehna Ali Ne Taaj E Wilayat Ghadeer Me
Dast E Rasool E Paak Pe Quraan Ki Tarah
Parwaan Chadh Rahi Hai Imamat Ghadeer Me
Pakiza Nafs Jo The, Wo Khush Ho Ke Jhoom Uthe
Or Tilmila Rahi Thi Najasat Ghadeer Me
Aelan Ye Sunado Payambar Ghadeer Me
Maula He Sabka Aaj Se Haidar Ghadeer Me
Ballig Ne Aa Ke Kardiya Jab Deen Mukammal
Baatil Ke Dil Pe Chal Gaya Khanjar Ghadeer Me
Mankunto Maula Jo Kaha Mimbar Se Rasul Ne
Kuch Laug Jal Gaye The Sunkar Ghadeer Me
Hontho Pe Han Thi Dil Me Tha Hasad Bhara Hua
Mayusiyo Tha Khub Manzar Ghadeer Me
Jalti Zamin Pe Jalta Tha Dil Bugze Ali Me
Mansube Fail Ho Gaye Aakar Ghadeer Me
Haris Ne Jab Ikar Kiya Hukme Khuda Ka
Bankar Azaab Aa Gaya Patthar Ghadeer Me
Malte The Hath Sare Munafiq Ye Jaan Kar
Haidar Bane Hai Deen Ke Rahbar Ghadeer Me
Aelan E Wilayat Ko Na Bhule Koi Ahmad
Ye Soch Kar Banaya Tha Mimbar Ghadeer Me
Ab Aur Kya Bayaan Ho Azmat Ghadeer Ki
Qura’an Mein Ayaa’n Hai Fazeelat Ghadeer Ki
Haqdaar Hai Wo Laanat E Parwardigaar Ka
Jis Shakhs Ke Hai Dil Mein Shikayat Ghadeer Ki
Aaj Bhaagne Wale, Raasta Na Painge
Maimana Ghadeeri Hai, Maisara Ghadeeri Hai
Naam Leke Haider Ka, Ham Ye Jaan Lete Hain
Kon Hai Saqeefaaai Kon Sa Ghadeeri Hai