Khula yeh raaz dey Asghar teri kahani se
ke kamsini bhi kam nahi kisi jawani se
Zamana aaj tak us ka jawab de na saka
Sawal tu ne kia tha jo be zubani se
“Har jung mein qanoon hai hathiyar say larhna,
Khanjar say kabhi, teer say, talwar say larhna,
Aata hi nahin logon ko ufkaar say larhna,
Samjhaaoon ga duniya ko mein kirdar say larhna;
Iss nasl say har nasl ko imdad milay gi,
Maa’on ko meray jhoolay say aulaad milay gi.”
“Suno! Furaat ki lehron say aa rahi hai sada,
Ali (a.s) kay laadlay potay ki tashnagi ko salam!
Najaf kay Shah (a.s) nay Karb-o-Bala kay Shah (a.s) say kaha
Hussain (a.s), mein bhi Ali (a.s) hoon; teray Ali (a.s) ko salam!”
“Aankh soti hai, hamaray dil kabhi sotay nahin,
Apnay mansab ki fazeelat ko kaheen khotay nahin;
Teer kha ke, muskura ke, keh gaye Asghar (A.S) humain,
Hum hain Aulad e Ali (A.S), maidan mein rotay nahin.”
Pani, pani kar gyi darya ko ek bachchay ki piyaas,
Tishnagi ko saans lenay ka qareena aa gya;
Teer kha kar hans parha Asghar (A.S) kuch iss andaaz say,
Sharm say qaatil kay maathay par paseena aa gya.”
Her payambar per jo ayee, woh musibat or hai
Karbala wallo pay jo guzri, qayamat or hai
Bab-e-khyber ka uthana, woh shujaat or thee
Teer kha kay muskurana, yeh shujaat or hai
Haan lashkar-e-yazeed ke borrhon ko dosto!
Maazi ki aik shakl dikhayi Hussain nay
Kar ke buland hath pe us doar ka Ali
Sab ko Ghadeer yad dilayi Hussain nay
Laashay kay munh ko daikh kay kehnay lagay ye Shah (A.S)
Bay-chaargi ka waqt hai, Asghar (A.S), Khuda gawaah,
Maa behnain ghar mein, baap pay yaan nargha-e-sipaah,
Ye raig-e-garm, aur ye badn-e-narm, aah,
aah; Dil saath nikla parhta hai, kyun-kar juda karoon,
Sonpoon kisay, litaaoon kahan, aah, kia karoon.”
Ek Bar Parh K Daikh Lay Tareekh e karbala
6 Mah K Sagheer Nay Kia Kaam Kar Diya
jitna Dya Hai Khoon Muhammad K Deen Ko
Asghar Nay Maa Ka Doodh Bhi Itna Nahi Piya