Shora Jahaan Me Hasan E Askari Ka Hai Marsiya Writeup, Lyrics
Shora Jahaan Me Hassan-E Askari Ka Hai
Naqsha Nageen Ye Arsh Ki Angushtari Ka Hai
Konain Me Ye Gul Chaman-E Hyderi Ka Hai
Durr-E Yateem Maadan-E Paighambari Ka Hai
Mazlumiyath Misaaley Janaab-E Hussain Hai
Aur Dabdabe Me Faatahey Badr-O Hunain Hai
Par Motamad Ne Qair Kiya Waa Musibatha
Aise Wali Ko Zaher Diya Waa Musibatha
Emaan Ke Ghar Ko Loot Liya Waa Musibatha
Khoone Jigar Haram Ne Piya Waa Musibatha
Phaada Kafan Ali Ne Nabi Nange Sar Huwe
Bachpan Me Haae Mahdi-E Deen Be Pidar Huwe
Arwaahe Panjetan Ko Sataaya Hazaar Haif
Jannath Me Mustafa Ko Rulaaya Hazaar Haif
Turbath Se Faatema Ko Uthaaya Hazaar Haif
Qabr-E Shah-E Najaf Ko Hilaaya Hazaar Haif
Ghul Saamere Me Hota Tha Jis Waqt Bayn Ka
Yaan Karbala Me Hiltha Tha Marqad Hussain Ka
Hairaan The Zaaerin-E Hussaini Ke Kya Hai Aaj
Kyun Zalzale Me Qabr-E Shah-E Karbala Hai Aaj
Mahshar Miyaane Ganj-E Shaheedaan Bapaa Hai Aaj
Aathi Hai Ye Sadaa Hamay Sadma Badaa Hai Aaj
Zaqmi Badan Ko Merey Adoo Ne Hilaa Diya
Po-They Ko Merey Zahrey Halahal Pilaa Diya
Hairath Hai Kyun Zameen Pe Na Arshe Ulaa Giraa
Is Zulm Se Ammaama-E Mushkil Kushaa Giraa
Abbasiyoun Pe Kyun Na Falak Jaabajaa Giraa
Baalaa-E Khaak Taaj-E Rasoole Quda Giraa
Sar Apna Khole Sog Me Aal-E Rasool Ne
Jannath Me Sar Se Phaink Di Chaadar Batool Ne
Likha Hai Jab Imaam Huwe Aazim-E Jinaan
Ek Dafaa Saamere Me Qayaamath Huwi Ayaan
Doulath Saraa-E Shaah Se Aane Lagi Fughaan
Lo Momino Yateem Huwe Saaheb-Uz Zamaan
Sar Garm Zulm Chaaroun Taraf Bad Qisaal Hai
Aur Haif Hai Ke Mahdi-E Deen Qurd Saal Hai
Saaya Na Baap Ka Na Koi Bhaai Saath Hai
Sar Par Imaam-E Asr Ke Bas Haq Ki Zaath Hai
Is Bepidar Ki Simth Kise Isteqaath Hai
Ab Sharm Ahle Baith Ki Zehra Ke Haath Hai
Laashe Ke Gird Shour Jo Nouhe Ka Hota Tha
Masoom Phoot Phoot Ke Baba Ko Rota Tha
Ab Is Tarha Se Ahle Khabar Karthe Hai Bayaan
Maatam Saraa Me Bibiyaan Karthi Thi Ye Fughaan
Nahla Chuke Jo Laasha-E Moulaa-E Do Jahaan
Kafnaaya Usko Rakhtay Mutahir Ke Darmiyaan
Aawaaz Aai Faatema Ke Shour-O Shain Ki
Sab Shiyaa Roye Bekafani Par Hussain Ki