Sar Peeto Aaj Moosa E Jafar Huwa Shaheed Marsiya Writeup, Lyrics
Sar Peeto Aaj Moosa E Jafar Huwa Shaheed
Ibn-E Ali-O Ibn-E Payambar Huwa Shaheed
Ghurbath Me Aaj Kaazim-E Bepar Huwa Shaheed
Lo Mominoun Ka Saathwaan Rehbar Huwa Shaheed
Pilwaaya Zaher Baadey Shah-E Qaaso Aam Ko
Haaroon Ne Rasheed Ne Maara Imaam Ko
Kis Tarha Se Bayaan Karoon Zulm-E Ahl-E Keen
Afsous Paitt Bhar Kabhi Khaana Mila Nahin
Faaqe Pe Faaqe Kartha Ahmed Ka Jaanashin
Zindaan Me Chowdaa Saal Tha Mahboob-E Shaah-E Deen
Taaqath Na Thi Zaraa Bhi Qawood-O Qiyaam Ki
Haalath Ye Thi Imaam Alalhis Salam Ki
Di Ummath-E Nabi Ko Na Hazrath Ne Badd Duaa
Har Waqt Sheh Ke Lab Pe Raha Shukr-E Kibriyaa
Sindi Ke Taaziyaanoun Ki Har Roz Thi Jafaa
Bahtha Tha Khoon Jism Se Roohi Lakal Fidaa
Eizaa-E Qaid Aisi Kisi Ne Sahi Nahi
Bedaad Istarha Ki Kisi Par Huwi Nahi
Al Qissa Zaher Aap Ko Angoor Me Diya
Jis Se Janaab-E Moosa-E Kaazim Ne Ki Qazaa
Baazoun Ne Likha Hai Ye Shahadath Ka Maajra
Pighlaake Sheesh Aapko Jabran Pilaa Diya
Kaisey Kahoon Ke Haal Huwa Kya Imaam Ka
Jalkar Huwa Kabaab Kaleja Imaam Ka
Ghul Padh Gaya Ke Moosiye Kaazim Ne Ki Qazaa
Laashe Ko Laake Jasr Pe Aada Ne Rakh Diya
Aur Chehra-E Imaam Se Kapda Hataa Diya
Do Roz Yun Hi Laash Ka Chehra Khula Raha
Thi Laash Bekafan Shah-E Aali Maqaam Ki
Touqeer Thi Ye Aal-E Rasool-E Anaam Ki
Nazdeek Bhaai Tha, Na Pisar Tha, Na Bhaanja
Tanhaai Me Ye Zulm-O Sitam Waa Musibataa
Do Roz Tak Toh Jasr Pe Laasha Padha Raha
Mayyath Pe Rone Waala Bhi Hai Hai Koi Na Thaa
Sadme Uthaake Haae Jahaan Se Guzar Gaye
Ghurbath Me Aah Kaazim-E Zeeshaan Margaye
Shia Nisaar Aap Ki Ghurbath Ke Yaa Imaam
Ghurbath Me Tum Shaheed Huwe Aye Shah-E Anaam
Be Jurm Maara Aap Ko Ya Shah-E Qaas-O Aam
Haaroon Ne Haif Kardiya Kaam Aap Ka Tamaam
Qouf-E Quda Na Qouf-E Rasool-E Quda Kiya
Shammey Hayaath Aapki Zaalim Bujhaa Diya
Misl-E Tamaashaa Dekhthe Hain Saare Mard-O Zan
Hai Zer-E Aaftaab Imaam-E Huda Ka Tan
Haaroon Ka Bhaai Laash Pe Aaya Basad Mehan
Hazrath Ko Apne Ghar Se Diya Qeemthi Kafan
Kaazim Ke Paas Bhejaa Quda Ne Fidaayi Ko
Lekin Kafan Mila Na Shahe Karbalayi Ko