Roke Kehti Thi Fatima Zehra Marsiya Writeup, Lyrics
Roke Kehti Thi Fatima Zehra
Sunlo Rudaad Ya Habeebe Quda
Gham Se Jalta Hai Ab Jigar Mera
Kya Yahi Ajr Hai Risalath Ka
Lab Pe Ummath Ka Hai Gila Baba
Qoob Pursa Mujhe Mila Baba
Aap Ke Baad Mujh Pe Zulm Huwe
Mujh Ko Ummath Ne Hai Diye Sadme
Wo Masayab Uthaye Hai Maine
Din Pe Padthe To Raat Hojaate
Ach-Cha Hota Jo Mai Guzar Jaati
Aap Se Pehle Kaash Marjaati
Be-Sabab Mere Ghar Pe Aae Bala
Kya Tha Mera Qusoor Aye Baba
Lakdiya Leke Aagaye Aada
Mere Darwaze Ko Jala Daala
Qatm Joro Jafa Huwi Mujhpar
Zulm Ki Inteha Huwi Mujhpar
Sun Sako To Suno Meri Rudaad
Dha-Ee Ummath Ne Mujh Pe Hai Bedaad
Ro Raha Hai Mera Dile Nashaad
Haai Kis Se Karoo Mai Ab Faryaad
Aag Le Le Ke Dushman Aaye Hai
Zulm Mujh Par Layee’n Ne Dhaaye Hai
Jalta Darwaza Jab Gira Mujh Par
Khadi Dewaar Se Thi Mai Lag Kar
Rahem Khaya Na Mujh Pe Baa-Niye Shar
Paaou Maloon Ne Rakha Dar Par
Mujh Ko Darwaaze Se Daba Dala
Aag Se Pairahan Jala Dala
Zarb Mere Shikamp Pe Aisi Lagi
Jiski Takleef Batth’n Tak Pahuchi
Pehlu Tuta Mera Jafa Ye Huwi
Daro Dewaar Se Mai Dabti Rahi
Koi Faryaad Ko Nahi Aaya
Koi Imdaad Ko Nahi Aaya
Shiddat-E Zarb Se Huwi Ee-Za
Dard Mere Shikamb Mey Hone Laga
Mai Idhar Tadpi Wo Udhar Tadpa
Margaya Batth’n Mey Mera Bach-Cha
Kis Se Faryaad Mai Karoo Bolo
Ab Mai Kis Tarah Se Jeyu Bolo
Mere Mohsin Ko Haaye Wawaila
Behaya-O Ne Qatl Kar Dala
Besabab Mujh Pe Zulm Hai Dhaya
Ab Nahi Koi Poochne Wala
Mu Ko Ashko Se Dhoti Rahti Hun
Apne Mohsin Ko Roti Rahti Hun
Mera Pursane Haal Koi Nahi
Jeene Ka Ab Sawal Koi Nahi
Karne Wala Malaal Koi Nahi
Zaqm Ka An-Dh Maal Koi Nahi
Jism Rah Rah Ke Sard Hota Hai
Mere Pehlu Me Dard Hota Hai
Siddat-E Dard Ka Asar Ye Huwa
Jism Se Tuta Jaan Ka Rishta
Jaan Leva Tha Dard Ka Hamla
Huwi Bejaan Fatema Zehra
Mujtaba Karke Bainn Rone Lage
Peet Kar Sar Hussain Rone Lage