Rawana Nehr E Laban Ko Jo Sheer Khaar Huwa Marsiya Writeup, Lyrics
Rawana Nahr-E-Laban Ko Jo Sheerkhwar Huwa
Zabaan Dekhaney Pa Gardan Se Teer Paar Huwa
Tadap Ke Hathoun Pa Hazrath Ke Hamkanaar Huwa
Qizaan Huwa Jo Wo Gul Tou Gale Ka Haar Huwa
Idhar To Shaah Ko Ye Sadma-E- Jigar Pahoncha
Udhar Madine Se Sughra Ka Naamabar Pahoncha
Lahu Me Gharq Khade The Kamar Jhuka-E- Huwe
Pisar Ki Nanhi Si Mayyath Gale Lagaa-E- Huwe
Lahu Bhara Huwa Daaman Use Udhaae Huwe
Kafan Ki Fikr Me Qhaime Ko Mu Phira-E- Huwe
Ye Haal Dekh Ke Qaasidh Ki Aas
Toot Gayi
Huwa Ye Raasha Ke Fouran Mehaar
Choot Gayi
Utar Ke Naaqhe Se Aadaab Wo Bajaa Laaya
Magar Hussain The Behosh Kuch Na Farmaaye
Wo Nouha Padhtha Huwa Aur Muttasil Aaya
Nigaah-E- Yaas Se Mu Dekh Kar Ye Chillaya
Qharaar Do Mujhe Main Beqaraar
Hota Hoon
Hussain Jaan Ke Tumpar Nisaar
Hota Hoon
Kaho Baqeeya-E Aulad-E- Murtaza Ho Tum
Ameer-E- Lashkar-E- Allah-O- Mustafa Ho Tum
Gareeb-E Koofa-O- Mazloom-E- Karbala Ho Tum
Bataa-O- Qasim-E- Nashaad Ke Chacha Ho Tum
Jawaab Do Pidar-E- Namuraad-E-
Akbar Ho
Janab-E Hazrathe Abbas Ke
Baraadar Ho
Bahan Hai Aapki Zainab Sakina Duqtar Hae
Har Awwal Aapkay Lashkar Ka Hurr-E- Safdar Hae
Watan Me Bhi Koi Beti Aleel-O Shashdar Hae
Huzoor Ka Koi Nanha Sa Laal Asghar Hae
Zohair Aur Habeeb Aap Ke Musaaheb
Hae
Janab Aun-O Mohammed Kay Maamu
Saheb Hae
Hussain Bharke Dam-E Sard Bole Ay Ghamkhar
Ameer Koun Hae Main Toh Hoon Bekas-O- Nachaar
Kahan Hain Akbar-O- Qasim Kahaan Alambardaar
Qhuda Ke Bande The Ye Sab Huwee Qhuda Pa Nisaar
Sipaahe Zulm Ne Tanha Samajh Ke
Ghera Hai
Hazaroun Tegh Hai Aur Aik Halq
Mera Hai
Hataayi Chehre Se Asghar Ke Qhoon Bhari Chadar
Paseena Mauth Ka Maathe Se Pouncha Sar Ta Sar
Pukare Laashey(Murde) Ki Aankhoun Pa Hontoun Ko Rakh Kar
Likhi Hae Fatima Ne Deedaa Bosi-E Asghar
Gawah Rahiyo Kay Faaqe Se
Jhoomtha Hai Hussain
Aur Unke Bhai Ki Aankhon Ko
Choomtha Hai Hussain
Benaaloon Nanhi Si Qabr Inki Aye Khujistha Siyar
Toh Le Chaloon Pisar-E- Noujawan Ke Laashe Par
To Padhiyo Lasha-E- Akbar Pa Naama-E- Khaahar
Ye Kahke Ghodey Se Utrey Imam Jinn-O- Bashar
Zameen Qabr Ki Khatir Pasandh
Karney Lage
Mazaar Khod Ke Naale Baland
Karney Lage
Lahu Se Ghusl To Asghar Ko Dey Chuki Thi Qazaa
Malee Basoorath-E- Kaafoor Shay Ne Qhaake Shifa
Utaara Qabr Me Asghar Ka Khoon Bhara Laasha
Lita-Ke Qhaak Pa Qibla Ki Simth Mu Phe-Ra
Phir Apne Chand Ko Jab Qhaak Me
Chipaney Lage
To Ya Ali Kaha Aur Haath Thar
Tharraaney Lage
Ye Haal Dekh Ke Qaasid Ne Ki Madadgaari
Lahad Me Ungliyoun Se Qhaak Daali Ekbaari
Pukari Qaime Ke Dar Se Ye Bano Dukhiyaari
Ye Kis Ki Qabr Ki Hothi Hai Ran Me Tayyari
Hussain Bole Ke Sadme Naye
Guzarthe Hain
Tumhare Hansliyaan Waale Ko
Dafn Karte Hain
Giri Zameen Pa Kaleja Pakad Ke Wo Nachaar
Pukari Meri Kamaal Hai Aye Zameen Hushiyaar
Na Murda Jaaniyo Hae Meri Jaan Ye Dildaar
Zameen Me Tere Sadqe Tere Makeen Ke Nisaar
Ye Zair-E- Qhwaab Meri
Mannatoun Ka Baagh Mila
Mujhe Ye Phool Mila Aur Dil Ko
Daagh Mila
Balaen Door Se Lele Ke Phir Kiya Ye Bayaan
Tumhari Nanhi Lahad Ki Mai Waari Asghar Jaan
Andhera Ghar Hai Na Ghabraiyo Ye Maa Qurbaan
Akele Soney Ki Mushkil Qhuda Kare Aasaan
Tumhare Chahne Wale Gale
Lagaaenge
Mujhe Yaqeen Hai Janaab-E Ameer
Aaenge