Pidar Ki Maut Hai Marna Jawan Bete Ka Marsiya Writeup, Lyrics
Pidar Ki Maut Hai Marna Jawan Bete Ka
Safar Jahaan Se Karna Jawan Bete Ka
Ghazab Hai Qhoon Me Bharna Jawan Bete Ka
Sitam Hai Ji-Se Guzarna Jawan Bete Ka
Shabaab Tha Ke Shah-E- Mashraqain Se Choote
Mohibbo Peeto Ke Akbar Hussain Se Choote
Quda Pidar Ko Na Dikhlaae Marge Raahat-E Jaan
Kaleja Zaqmi Ho Jab Dil Ko Phir Qaraar Kahan
Udhar To Sina-E Akbar Se Guzri Nok-E Sinaan
Lahu Idhar Huwa Chasm-E Imam-E- Deen Se Rawan
Tadap Ke Janib-E Gardoon Nigaah Ki Shah Ne
Zaameen Hilgayi Ek Aisi Aah Ki Shah Ne
Pukarthe Huwe Dowdhe Mere Shaheed Pisar
Mere Jawan Mere Mahroo Mere Saeed Pisar
Mere Haseen Mere Yousuf Mere Rasheed Pisar
Qareeb Ho Kahin Maidan Se Ya Baeed Pisar
Pidar Pa Aaj Nai Waaredaat Hai Beta
Qabar Nahi Mujhe Din Hai Ke Raat Hai Beta
Kidhar Gaye Mere Gulpah-Rahan Ali Akbar
Mere Qaleeq Mere Kamsuqan Ali Akbar
Jawana Marg Gharibul Watan Ali Akbar
Ujaad Kar Gaye Mera Chaman Ali Akbar
Bula Ke Ghar Se Yahan Ashqiye Ne Loot Liya
Duhaai Hai Ke Mujhe Karbala Ne Loot Liya
Pukaarte The Ke Aye Sher Phir Pukaar Mujhe
Nahi Batane Ke Laasha Ye Naabakaar Mujhe
Tere Firaaq Me Hai Zeest Naa Gawaar Mujhe
Sadaa Sunaade Main Sadqe Phir Aik Baar Mujhe
Gale Lagaalo Ke Seena Hamara Jalta Hai
Kaleja Mu Se Koi Dam Me Ab Nikalta Hai
Pukari Dewdhi Se Bano Pisar Mila Ke Nahi
Bataao Marham-E Zaqme Jigar Mila Ke Nahi
Sitam Ke Abr Me Mera Qamar Mila Ke Nahi
Ali Ke Laal Wo Aali Gohar Mila Ke Nahi
Shitaab Laao Mere Mannatoun Ke Paale Ko
Tumhi Se Loongi Main Apne Muraad Waale Ko
Ye Zikr Tha Ke Sada Aai Door Se Nagaah
Janaab –E- Qibla –O- Kaaba Ab Aaiye Lillah
Huzoor Haal Se Bete Ke Kya Nahi Aagaah
Zabaan Ainth Gayi Hai Ghulaam Ki Ya Shah
Ukhad Raha Hae Dam Ab Mouth Jaan Leti Hai
Pukaarne Ki Bhi Taaqat Jawaab Deti Hai
Sadaa Ye Sunte Hi Sultaan-E- Bahrobar Dowdhe
Ye Darde Dil Tha Ke Thame Huwe Jigar Dowdhe
Kabhi To Fouj Pa Maaninde Sher-E- Nar Dowdhe
Kabhi Idhar Gaye Rote Kabhi Udhar Dowdhe
Luti Huwi Wo Kamaai Basad Talaash Mili
Zameen Pa Qhoon Me Ghaltaan Pisar Ki Laash Mili
Ajeeb Haalathe Farzand-E- Noujawaan Dekhi
Atash Se Hontoun Pa Nikli Huwi Zabaan Dekhi
Qamar Se Chehre Pa Zardi Laboun Pa Jaan Dekhi
Kaleja Phat Gaya Seene Me Jab Sinaan Dekhi
Pidar Ke Saamne Bete Ka Dam Ukhadta Tha
Hussain Dekhte The Aur Ghar Ujadtha Tha
Qareeb Lash-E- Pisar Baith Ke Ye Farmaae
Zameen-E- Garm Se Beta Utho Ke Ham Aae
Sadaa Ye Sunte Hi Akbar Ne Haath Phailaae
Lipat Ke Laash Se Shah Lab Pa Ye Suqan Laae
Gale Lagalo Mohammed A Main Nawasa Hoon
Zabaam Dikhake Kaha Ya Hussain Pyaasa Hoon
Ye Kah Ke Shaah Se Khainchi Ghareeb Ne Ek Aah
Jigar Me Hone Laga Dard Aah Ke Hamraah
Ajeeb Yaas Ki Nazoun Se Dekh Kar Ruq-E- Shaah
Kaha Ke Ashhadu An Laa Ilaaha Illallah
Bas Aur Kah Na Sake Kuch Ye Haale Ghair Huwa
Sue Behisht Gaye Qatema Baqair Huwa