Nanha Sa Ek Sipahi Godhi May Aa Raha Hai Salaam Writeup, Lyrics
nanha sa ek sipahi godhi may aa raha hai
ghurbat ka bekasi ka badal sa cha raha hai
sab kat gaye mujhaid qaimo may kya raha hai
nanha sa ek sipahi….
khuddariyo se lab par aahein tehar gayi hai
ruk ruk gayi hai saansein nafsein tehar gayi hai
tehra hua wo jhoola kya dil hila raha hai
nanha sa ek sipahi….
kaisi luti hai basti kaisi miti hai jaanein
kya shukr kar rahi hai sookhi hui zubanein
kya sabr bad raha hai kya zapt cha raha hai
nanha sa ek sipahi….
sattar ki maut dekho aur do pahar ko dekho
asghar ke sin ko dekho uske jigar ko dekho
jo dashte karbala may daulat luta raha hai
nanha sa ek sipahi….
aisay kahin sipahi dekhe nahi aneele
maa ki taraf se koi rukh ki balayein lele
pehle pahal mujahid maidan ko ja raha hai
nanha sa ek sipahi….
ye zindagi ki pehli karwat hai raas aaye
shabbir la rahe hai ghar se galay lagaye
aur maut ka firishta aankhein bicha raha hai
nanha sa ek sipahi….
nanha sa ye musaafir dehkho rahe riwa ka
tareekh usko faateh likhengi karbala ka
jhoole ko chor kar jo maqtal basa raha hai
nanha sa ek sipahi….
saare jahan se kehdo kaun o makan se kehdo
ye roohe karwan hai har karwan se kehdo
pyasa hai teen din ka aur teer kha raha hai
nanha sa ek sipahi….
sajjad ki shabahat akbar ki shan hota
ay maut kaash aisa bacha jawan hota
do din ki zindagi may tewar dikha raha hai
nanha sa ek sipahi….