Mujrae Qalq May In Ankhon Ne Kya Kya Dekha Salaam Writeup, Lyrics
mujrae qalq may in ankhon ne kya kya dekha
par kaheen sibte payambar sa na aaqa dekha
maine dekha alam e shah ko aaluda e khoon
maine abbas ko bejaan labe darya dekha
maine dekha ali asghar ka gala khoon may tar
maine zaqmi ali akbar ka kaleja dekha
ek ghatri shahe deen pusht pe laaye usmay
maine tukde huye qasim ka sarapa dekha
berida qalq ne us bibi ke sarko dekha
jiski maadar ka kisi ne na janaza dekha
kehti thi zainab e muztar ke khuda qair kare
raat ko khaab may uryan sar e zahra dekha
gir pade sibte nabi thaam ke haathon se jigar
ali akbar ko jo reti pe tadapta dekha
haye kyun ho na gayi kaur ke in aankhon ne
qaaid khane may sakina ka janaza dekha
jaake zainab ne madine may kaha sughra se
kahoo kis moo se ke pardes may kya kya dekha
zulm ay mujraee sajjad ne kya kya dekha
ghar luta qaid huwe baap ka laasha dekha