Momino Aaj Qurasaan Me Hai Taaza Maatam Marsiya Writeup, Lyrics
Momino Aaj Qurasaan Me Hai Taaza Maatam
Thar Tharaate Hai Falak Arsh-E- Zameen Lowh-O-Qalam
Aathe Hain Aal-E- Abaa Khaak Udaathe Baaham
Aabed-O- Baaqer-O- Jaafar Wa Janaab-E- Kaazim
Mu Ko Sab Ye Jazaraat Aansoun Se Dhothe Hain
Jama Mayyath Ke Uthaane Ke Liye Hote Hain
Kya Kiya Qaher Ke Be Jurm-O- Qataa Ko Maara
Dilbar-E- Faatema-O- Shair-E- Quda Ko Maara
Zeher Dilwaake Gharibul Ghuraba Ko Maara
Aaj Maamoon Ne Mazloom Raza Ko Maara
Khaak Me Milgaya Ek Aur Gul-E- Baaghe Zehra
Gul Huwa Aaj Qurasaan Me Charaaghe Zehra
Is Tarha Waaqeya Hai Aaj Ka Raawi Ne Likha
Ibn-E- Haaroon Ne Hazrath Ko Junhi Bulwaaya
Aaye Darbaar Me Jiswaqt Imaam-E- Dosaraa
Taqt Par Apne Qarin Shaah Ko Bhi Bithlaaya
Phir Kaha Shaah Se Farmaaye Tho Paish Karoon
Aap Ke Waasthe Angoor May Le Rakha Hoon
Kaha Mazloom Ne Mujh Ko Nahi Angoor Kin Chaah
Kisi Lihe Saamne Hai Tasht Jo Toone Rakha
Kiya Israar Jo Sne To Imaam-E- Zeejaah
Khake Angoor Ko Kahne Lage Inna Lillah
Poocha Maamoon Ne Kya Baat Hai Farmaaiyega
Sar Jhuka Kar Kaha Masmoom Ne Maloom Huwa
Khake Angoor-E- Dagha Aaye Hain Ghar Ko Apne
Qhae Kiye Jaathe Hain Pakde Huwe Sar Ko Apne
Dard Hotha Hai Dabaathe Hain Jigar Ke Apne
Yaad Farmaathe Hain Hamsheer-O- Pisar Ko Apne
Syed-O- Bekas-O- Mazloom Gharibul Ghuraba
Muztarib Haae Ye Masmoom Gharibul Ghuraba
Mout Ka Aagaya Chere Pa Pasina Yaaro
Ghash Me Hai Waaris-E- Sultaan-E- Madina Yaaro
Aathwaan Mohr-E- Nabuwaath Ka Nagina Yaaro
Qaak Me Milta Hai Ahmed Ka Qazina Yaaro
Dar-O- Deewaar Ko Hasrath Se Raza Dekhthe Hain
Aur Unhen Yaas Se Sab Aal-E- Abaa Dekhthe Hain
Peet Thi Hai Kabhi Sar Ko Kabhi Tharrathi Hai
Faatema Istarha Rone Keliye Aathi Hai
Jaanib-E- Arsh-E- Ulaa Rooh-E- Razaa Jaathi Hain
Bekasi Laash Pa Roro Ke Ye Chillathi Hai
Mout Ki Khichkiyaan Ab Leta Hai Dibar Uske
Chaar Hammaal Uthaae The Janaaza Jiske
Sach Hai Ghurbath Ki Ajab Mout Hai Aye Ahl-E- Azaa
Naa Koi Mounis-O- Yaawar Na Dawaa Hai Na Ghizaa
Bistar-E- Marg Pa The Aap Tawakkal Ba Qudaa
Naa Koi Paani Pilaane Ko Dam-E- Aaqir Thaa
Wahi Bekas Hai Raza Naza Me Inna Lillah
Haae Kya Waqt Hai Mazloom Pe Allah Allah
Khaak Ka Farsh Ridaa Gard Tawakkal Takyaa
Uf Bhi Karta Nahi Qaamosh Hai Sone Waala
Naza Me Dekha Raza Ne Jo Shabhi-E- Zehraa
Band Aankhen Huwin Aur Qaatema Bilqair Huwa
Aik Hichki Ka Bas Aana Tha Ke Dam Tod Gaye
Mominoun Keliye Yaad Apni Raza Chowd Gaye
Aake Yasrab See Taqi Dekhthe Hain Kya Naqsha
Band Aankhen Kiye Behosh Pade Hain Baba
Sar Ko Baba Ke Utha Zaanu Pa Apne Rakha
Roke Chillane Lage Kya Ye Huwa Hai Abatha
Kab Se Chillatha Hai Sar Peet Ke Nalaane Taqi
Aankhoun Ke Kholo Zara Aap Ke Qurbaan Taqi
Baap Ka Pursa Do Betoun Ko Tum Aye Ahl-E- Azaa
Jisko Mamoon Ne Khilwaaya Hai Angoor-E- Daghaa
Neelgoon Hogaya Hai Jism-E- Mubarak Jiskaa
Jiski Mayyath Pa Nahi Koi Bhi Rone Waala
Be Pidar Hogaye Masmoom Taqi Waawaelaa
Haae Bejaan Huwa Kaazim Ka Wasi Waawaelaa