Mahshar Ki Subah Aaj Numayan Hai Shaam Me Marsiya Writeup, Lyrics
Mahsar Ki Subha Aaj Numayaan Hai Shaam Me
Kunbaa Shafee-E- Hashr Ke Hai Izdehaam Me
Sar Nange Rooh-E- Faatema Hai Ahtemaam Me
Khaasaan-E- Zuljalaal Hai Balwaa-E- Aam Me
Jibreel Ki Khuzaadiyaan Tashreef Laayi Hain
Mushkil Kusha Ki Betiyaa’n Bandi Me Aayi Hain
Hain Beech Me Khule Huwe Aal-E- Abaa Ke Sar
Naizoun Pa Unke Gird Hain Gouj-E- Qhuda Ke Sar
Bachchown Ke Sar, Buzurgoun Ke Sar Aqrobaa Ke Sar
Rote Hain Waarisoun Ke Saroun Ko Dikhaake Sar
Sar Rakh Ke Zaanuoun Pa Jo Waaris Ko Rote Hain
Zaalim Saroun Me Nezoun Ki Nokain Chubhote Hain
Neze Pa Hurmula Ke Chamaktha Hai Ek Hilaal
Bikhre Huwe Hain Chaand Se Mu Par Jhandole Baal
Aulaad Waale Kahthe Hain Aye Rabb-E- Zuljalaal
Is Bezubaan Ke Khoon Ka Kisne Kiya Wabaal
Gardish Me Haae Haae Ye Kiska Sitaara Hai
Lekar Balaaen Kahthi Thi Bano Hamaara Hai
Naagah Huva Yazeed Ka Darwaaza Aashkaar
Haazir Naqeebo Haajibo Darbaano Chobbdaar
Teighe Alam Kiye Huvey Jalladh-E Naabakaar
Mujrayi Beyhisaab Tamaashaayi Beyshumaar
Aiwaan Mey Bhi Raqs Ka Saamaan Tamaam Tha
Par Intezaar-E Ithrath-E Khairul Anaam Tha
Wo Boley Sab Aik Baar Wo Aye Gunaahgaar
Aye Qusoor Waar Wo Aye Gunaahgaar
Jalladoo Hoshiyaar Wo Aaye Gunaahgaar
Wo Aaye Bedayaar Wo Aye Gunaahgaar
Jabse Ke Aasmaan Qhudaa Ne Banaaye Hain
Aal-E- Rasool Aaj Hi Bandi Me Aaye Hain
Rokaa Umar Ney Baddkay Alam Ko Sipaah Ko
Mujraah Par Aa Jamaah Kay Kiya Baargaah Ko
Aur Hanskay Dekha Aal-E Risaalath Panaah Ko
Aawaaz Di Nabeera-E Shair-E Ilaah Ko
Haan Haan Mihaar Rokhnaa Oontoun Ka Thaamnaa
Ab Hai Yazeed Kay Dar-E Doulath Ka Saamnaa
Pahonche Muraad Ko Safar Apna Tamaam Hai
Uthro Aseero Uthra Adab Ka Muqaam Hai
Aage Tho Aasthaana-E- Sultaan-E Shaam Hai
Dekho To Kya Jalaal Hai Kya Ehthemaam Hai
Iski Vilaa Me Arsh Ko Hamne Hilaa Diya
Ghar Panjetan Ka Qhaak Me Bilkul Milaa Diya
Sun Naa Yeh Tha Kay Sab Kay Jigar Par Churee Chali
Oontoun Sey Uthri Bibiyaan Keh Keh Kay Ya Ali
Aankhein Phiraakay Rehgayee Baanu Ki Laadli
Roohey Hussain Ko Huvi Jannath Mey Beykali
Taaqath Badhan Ki Ghat Gayee Aur Zouf Badd Gaya
Uthrey Jo Bey Sahaarey Toh Dum Sab Ka Chadd Gaya
Seenay Mey Dam Abhi Na Samaaye They Hai Ghazab
Jo Aaye Reesmaan Liye Haathoun Mey Beyadab
Ghabraakay Poocha Beyvo Ney Tajveez Kya Hai Ab
Bolaa Umar Kay Majlis-E Haakim Mey Hai Talab
Manzoor Hai Kay Roohey Ali Phir Malool Ho
Majmay Mey Rooh Bakaariyeh All-E Rasool Ho
Mazloomiyath Se Roke Ye Mazloomoun Ne Kaha
Haakim Ki Ye Qushi Hai To Phir Uzr Hamko Kya
Baazaar Me To Phir Chuke Be Maqna-O Ridaa
Aasaan Karega Mushkile Darbaar Bhi Qhuda
Haazir Hain Ley Chalo Hamein Gumraaho Ley Chalo
Sar Par Nahi Hussain Jahaan Chaaho Ley Chalo
Naizoun Pa Nasb The Jo Shahidoun Ke Sar Tamaam
Zainab Ne Badh Ke Bhaai Ke Sar Ko Kiya Salaam
Chillaal Kyun Zibh Kiya Fida Shaah-E- Tishna Kaam
Marzi Hai Kya Huzoor Ki Kahthe Hain Kya Imaam
Darbaar Mitgaya Tera Qhoon Ran Me Bah Gaya
Mere Liye Yazeed Ka Darbaar Rah Gaya
Par Itna Tahro Waarisoun Ke Sar Se Pooch Lain
Shah-E- Umam Ke Farq-E- Mutahhar Se Pooch Lain
Darbaar Jaane Ko Ali Akbar Se Pooch Lain
Abbas Ibn-E- Hyder-E- Safdar See Pooch Lain
Murda Na Samjho Zinda Ye Hyder Ke Pyaare Kain
Muqtar Ham Nahi Hain Ye Maalik Hamaare Hain