Maalik Se Bhare Ghar Ke Ujad Jaane Ko Poocho Marsiya Writeup, Lyrics
Maalik Se Bhare Ghar Ke Ujad
Jaane Ko Poocho
Ghar Waaloun Se Ye Tafreqa Padh Jaane Ko Poocho
Maa Baap Se Qismath Ke Bigad Jaane Ko Poocho
Shabbir Se Akbar Ke Bichad Jaane Ko Poocho
Allah Na Dikhlaae Alam Noor-E-
Nazar Ka
Bahjaatha Hae Aankhoun Se Lahoo
Khalb-O-Jigar Ka
Jis Waqt Ke Akbar Ko Laga Zaqm Jigar Ka
Seene Me Ruka Aake Dam Us Raashk -E- Qamar Ka
Girthe Huwe Ghode Se Qhayaal Aaya Pidar Ka
Chillae Ke Ab Kooch Hae Dunya Se Pisar Ka
Bekas Ki Musafir Ki Qhabar
Lijiye Baba
Apne Ali Akbar Ki Madad Kijiye
Baba
Bete Ki Sadaa Sunke Huwa Sadma-E- Jaankah
Ek Hook Kaleje Me Uthi Baith Gaye Shaah
Maloom Huwa Jaan Chali Aah Ke Hamraah
Dil Thaam Ke Hathoun Se Kaha Ya Asadullah
Rang Udgaya Tha Gesuoun Pa Gard
Padi Thi
Tewra Ke Jo Sambhale To Basarat
Me Kami Thi
Chilla-E- Batado Ali Akbar Kidhar Aaen
Dhoonden Tumhen Ab Bahar Me Ya Su-E- Bar Aaen
Betaab Hai Dil Qhalb Me Lashkar Kidhar Aaen
Tum Uth Nahin Sakte To Hameen Laash Pa Aaen
Maa Baap Ke Jeene Ka Mazaa
Legaye Beta
Ohdaa Jo Tumhara Tha Hamen De
Gaye Beta
Beta Hamen Phir Ya Abataa Kahke Pukaaro
Mazloom Ghareebul Ghuraba Kahke Pukaaro
Nashaad-O- Giraftaar-E- Balaa Kahke Pukaaro
Lab Tishna-O- Mazbooh-E- Qafaa Kahke Pukaaro
Jo Waqt Moiyaan Hae Wo Hargiz
Na Talega
Qhanjar Meri Gardan Pa Isi
Tarja Chalega
Le Aai Jo Betaabiye Dil Laashe Pisar Par
Jhukte Hi Nazar Pahle Padi Zaqme Jigar Par
Ek Teer Laga Qhalb-E- Shah-E- Jinn-O- Bashar Par
Seene Pa Kabhi Haath Ko Maara Kabhi Sar Par
Gopar Ke Dam Us Sher Ko Bharthe
Huwe Dekha
Baba Ne Jawan Bete Ko Marte
Huwe Dekha
Aye Dard Jigar Tham Ke Shah Bahrobar Aalen
Aye Jaan Na Ghabra Shah-E Jinn-O- Bashar Aalen
Aye Rooh Tawaqquf Shah-E- Wala Idhar Aalen
Aye Mout Tahar Jaa Pidar Aalen Pidar Aalen
Armaan-E- Dile-E- Zaar Pisar
Hosh Me Nikle
Hasrath Hai Ke Dam Baap Ki
Aaghosh Me Nikle
Chilla-E- Shah-E- Deen Ali Akbar Pidar Aaya
Uttho Mere Pyaare Mere Dilbar Pidar Aaya
Tum Dhoondthe The Aye Mah-E- Anwar Pidar Aaya
Nashaad Pidar Bekas-O- Be Par Pidar Aaya
Kuch Dil Ki Kaho Baat Karo Hosh
Me Aao
Sadqe Pidar Aao Meri Aaghosh Me
Aao
Mu Khole Ho Kyun Teer Ko Gardan Se Nikaaloon
Gar Dard Na Ho Haathoun Se Baazu Ko Sambhaloon
Girta Hai Pahaad Usko Mae Kis Tarha Se Taaloon
Marte Use Dekhoon Jise Aaghoush Me Paloon
Beh Beh Ke Lahu Me Jigar Aata
Hai Tumhara
Seene Se Kaleja Nazar Aata Hae
Tumhara
Kuch Mu Se To Bolo Ali Akbar, Ali Akbar
Aankhoun Ko To Kholo Ali Akbar, Ali Akbar
Ruqsath Bhi To Holo Ali Akbar, Ali Akbar
Lo Baap Ko Rolo Ali Akbar, Ali Akbar
Dulha Bhi Is Aaraam Se Sote
Nahin Beta
Ham Rote Hain Aur Tum Hamen
Rote Nahin Beta
Ghash Me Jo Suni Baap Ki Aawaaz Pisar Ne
Bas Haath Ko Phaila Diya Us Rashk-E Qamar Ne
Lipta Liya Chaathise Shah-E- Jinn-O- Bashar Ne
Mu Khol Ke Dikhlaai Zabaan Tishna Jagar Ne
Farmaya Ke Qatraa Mere Jaani
Nahi Milta
Majboor Hoon Beta Mujhe Paani
Nahi Milta
Ye Sunte Hi Bas Aankhoun Se Aansu Huwe Jaari
Mu Phair Ke Dekha Su-E- Sahra Kaee Baari
Ki Arz Huzoor Aai Hai Zehra Ki Sawari
Phir Dard Utha Seene Me Aur Ghash Huwa Taari
Khole Huwe Aankhoun Ko Musaafir
Huwe Akbar
Hichki Ka Bas Aana Tha Ke Aaqir
Huwe Akbar