Kya Haal Ho Raza Ke Jigar Band Ka Bayaan Marsiya Writeup, Lyrics
Ibn E Raza Bhi Saalikay Raahey Raza Rahaa
Sajjadaa-E Rasool Pey Shagley Dua Rahaa
Har Ranj Mey Zabaan Pa Shukr-E Khuda Rahaa
Ginti Kay Dostdaar They Dushman Hazaarhaa
Badh Khwaah Kitney Is Qamr-E Murtuza Kay They
Tha Ek Chiraagh Sainkdo Jhonkay Hawa Kay They
Kya Haal Ho Raza Ke Jigar Band Ka Bayaan
Pyaara Tha Murtua Ka Wo Sultan-E Ins-O Jaan
Moujiz Numa Imaam-E Zaman Haadiye Jahaan
Aise Wali Ke Dar Pe Eizaa The Badh-Gumaan
Souz-E Alam Se Dil Me They Chaaley Padey Huwey
The Rashkay Gul Ko Jaan Ke Laaley Padey Huwey
Laanath Quda Ki Motesim Naabekaar Par
Bheja Payaam Chodiye Ghar Aayiye Udhar
Darpaish Aah Phir Huwa Baghdaad Ka Safar
Par Is Safar Ne Manzil-E Aaqir Ki Di Qabar
Mazoom Ka Ye Kooch Watan Se Aqeer Tha
Mushtaaq-E Kanj Qabr Ka Wo Goshageer Tha
Hamraah Umme Fazl Bhi Thi Mouride Azaab
Yasrab Se Jaane Ki Thi Qushi Isko Be Hisaab
Uska Chacha Tha Moutasim-E Qaanumaa’n Qaraab
Baghdaad Me Pahonch Gaye Shaah-E Falak Janaab
Touqeer Zaaheri To Bahut Bewafaa Ney Ki
Par Fikr-E Qatl-E Shaah Is Ahl-E Jafaa Ne Ki
Baghdaad Me Muqeem Rahe Saal Bhar Huzoor
Naari Ye Chaahtha Tha Ke Gul Ho Charaagh-E Noor
Waaqif Tha Umme Fazl Ki Haalat Se Pur Futoor
Rakhthi Thi Bughz Rahbar-E Aalam Se Be Shaoor
Zaalim Ke Mashvarey Se Wo Khirsand Hogayi
Kahne Pe Motasim Ke Raza Mand Hogayi
Ye Bey Murawwati Ye Sitam Ye Ghazab Ye Qahar
Wo Bekasi Imaam Ki Wo Door Apna Shaher
Dekhey Toh Ahle Dil Khalash Khaar Baagh-E Dahar
Angoor Raazaqi Mey Diya Faaqakashi Me Zehar
Le Karwatein Ali-O Wali Ko Pukaar Ke
Aazaa-E Paak Sooj Gaye Dil Figaar Ke
Rone Lagi Wo Dekh Ke Hazrath Ka Haal-E Zaar
Farmaaya Aap Ne Kay Abas Hai Toh Ashkbaar
Is Aarzey Sey Degaa Sazaa Tujhko Kirdagaar
Jis Ka Koi Ilaaj Nahi Aye Jafaa Shiyaar
Deti Jawaab Kya Sar-E Maloona Jhuk Gaya
Dam Shaahey Deen Ka Zaher Ke Sadme Se Ruk Gaya
Takleef Paai Chand Shab-O Roz Jaan Ghusul
Taasir-E Sam Se Aag Thi Seene Me Mushtiaal
Woh Karb-O Jigar Ki Haraarath Woh Dard-E Dil
Hota Gaya Rasool Ka Dildaar Muzmahil
Haakim Ne Ki Madad Na Tawajjoh Tabeeb Ne
Aaqir Safar Kiya Suye Jannat Ghareeb Ne
Kumla Ke Rahgaya Gule Tar Buturaab Ka
Murjhaya Nounehaal Risaalat Maab Ka
Dekha Jawaane Marg Ne Rang Inqilaab Ka
Wo Maut Bekasi Ki Woh Mausam Shabaab Ka
Kyun Peer Charkh Jaaye Ta Saf Hai Ya Nahi
Kamsin Imaamou Me Koi Aisa Huwa Nahi
Anjaam Is Tarha Bhi Kitaaboun Me Hai Raqam
Shiyoun Ne Aap Ke Jo Suna Ye Naya Sitam
Rothe Huwe Gaye Sar-E Tasleem Karke Kham
Mayyath Ko Baher-E Ghusl Uthaya Ba Chashma Nam
Seenoun Ko Apne Qastha Jigar Peetney Lage
Amaamey Phaink Phaink Ke Sar Peetney Lage
Nahlaaya Is Musaafir-E Daarus Salaam Ko
Bhar Aaye Dil Kafan Jo Pinhaaya Imaam Ko
Taaboot Me Litaake Shah-E Qaas-O Aam Ko
Pursa Diya Ali Ko Rasool-E Anaam Ko
Naale Tawaaf Karthey They Arshe Majeed Ka
Maatam Kiya Uthaake Janaaza Shaheed Ka
Jis Jaa Thi Qabr Moosiye Kaazim Falak Wiqaar
Pahlu Me Is Lahad Ke Khuda Doosra Mazaar
Posheeda Zair-E Khaaq Huwa Noor-E Kirdegaar
Hasrath Pukaar Ti Thi Key Is Shaan Ke Nisaar
Taaqeer Dafn Se Bhi Sharaf Aashkaar Hai
Ye Waaris-E Hussain Ghareeb Ud Dayaar Hai