Khaid Se Chutt Ke Aayi Hai Zainab Marsiya Writeup, Lyrics
Khaid Se Chutt Ke Aayi Hai Zainab
Sadme Dil Par Uthaai Hai Zainab
Qabr Shah Ki Banaai Hai Zainab
Kuch Yathimoun Ko Laai Hai Zainab
Kahthi Hai Roke Lo Qabar Bhaai
Qatm Ab Hogaya Safar Bhaai
Main Hoon Zainab Falak Sathaai Hoon
Tumse Milne Yahaan Mai Aai Hoon
Aur Lute Qaafele Ko Laai Hoon
Bhaai Kya Kya Sitam Uthaai Hoon
Shaam Tak Nange Sar Gayi Zainab
Kyun Na Pahle Hi Mar Gayi Zainba
Uth Ke Dekho To Ek Nazar Bhaai
Tukde Sadmoun Se Hai Jigar Bhaai
Hogaya Hai Sufaid Sar Bhaai
Jhuk Gayi Hai Meri Kamar Bhaai
Waada Poora Mai Kar Ke Aai Hoon
Pusht Par Taaziyaane Khaai Hoon
Saare Kunbe Ko Saath Laai Thi
Mehnathoun Se Ye Ghar Basaai Thi
Mai Ne Doulat Ye Maa Se Paai Thi
Hogayi Dafn Jo Kamaai Thi
Ab Ho Kyun Kar Meri Basar Bhaai
Haae Kis Mu Se Jaaun Ghar Bhaai
Ab Na Uth Ke Yahaan Se Jaaungi
Qabr Baaloun Se Apne Jhaadoongi
Phool Har Subha Mai Chadhaaungi
Shama Raathoun Ko Mai Jalaaungi
Yun Hi Ho Jaaegi Basar Bhaai
Kya Kare Jeeke Nouha Gar Bhaai
Gar Koi Pooche Kis Ki Jaai Hai
Qabr Kis Ki Ye Too Banaai Hai
Mujh Ko Qismath Kahoongi Laai Hai
Mai Bahan Hoon Ye Mera Bhaai Hai
The Nabi Ke Ye Maan-Ne Waale
Aur Musalmaan The Maarne Waale
Kya Bathaaun Shaheed Ki Haalath
Than Tha Zaqmi Thi Dhoop Ki Shiddath
Aur Namaazi Pa Pyaas Ki Shiddat
Sar Uthaane Ki Bhi Na Di Mohlat
Dafn Is Jaa Hai Naamhar Bhaai
De Diya Raah-E- Haq Me Sar Bhaai
Thi Muqaddar Me Mere Ruswaai
Kyun Na Darbaar Hi Me Mout Aai
Paish-E-Haakim Gayi Ye Dukhpaai
Ghussa Aaya Tha Pee Gayi Bhaai
Jo Huwe Zulm Sah Gayi Zainanb
Sab Ke Rone Ko Rah Gayi Zainab