Kahti Thi Roke Zainab-E-Nalaa’n Jawab Do Marsiya Writeup, Lyrics
Kahti Thi Roke Zainab-E-Nalaa’n Jawab Do
Qaamosh Kyun Ho Aye Meri Amma Jawab Do
Kya Hogaya Ye Hashr Ka Samaan Jawab Do
Hoti Hai Beti Aap Pa Qurbaan Jawab Do
Ab To Bara-E Qaleq E Yazdaan Jawab Do
Amma Jawab Do Meri Amma Jawab Do
Hamsaa-E-Youn Ki Thi, Thi Ye Shikayatke Ammajaa’n
Ya Din Ko Roye Ya Toh Karey Raat Ko Fugha
Rone Se Aap Ke Hai Qalal Kaam Me Yaha
Nana Ke Baad Phir Gaye Jo Jo-The Meherbaan
Kaise The Kalma Gowo Musalmaa Jawab Do
Amma Jawab Do Meri Amma Jawab Do
Nana Ka Saya Sar Se Utha Sabr Karliya
Pahlu Pa Dar Giraya Gaya Sabr Karliya
Ummath Ne Jojo Zulm Kiya Sabr Karliya
Is Zulm Ka Gila Na Kiya Sabr Karliya
Kaisi Thi Saabera Meri Amma Jawab Do
Amma Jawab Do Meri Amma Jawab Do
Bhaai Hassan Hussain Hain Giryan Utho Utho
Kunba Hai Ab Tumhara Parishan Utho Utho
Kuch Bolti Nahi Meri Amma Utho Utho
Kaisi Lagi Hai Neend Mai Qurbaa’n Utho Utho
Zainab Kahegi Ab Kise Amma Jawab Do
Amma Jawab Do Meri Amma Jawab Do
Bhai Ka Byaah Bhi Na Rachana Huwa Naseeb
Hai Hai Dulhan Ko Ghar Me Na Lana Huwa Naseeb
Bas Haae Tum Ko Rona Rulana Huwa Naseeb
Dil Mey Na Chain Tumko Basana Huwa Naseeb
Kya Kya Tha Dil Me Aap Ke Armaan Jawab Do
Amma Jawab Do Meri Amma Jawab Do
Aye Gham Naseeb Madar-E- Muztar Utho Utho
Aaega Sabr Ab Mujhe Kyunkar Utho Utho
Ab To Bara-E- Qhaleqhe Akbar Utho Utho
Sar Peet-Ti Hai Aapki Duqtar Utho Utho
Mahboob-E Kibriya Ki Dil-O Jaa’n Jawab Do
Amma Jawab Do Meri Amma Jawab Do
Dene Lage Jo Ghusl To Roe Bahot Ali
Thaama Jigar Ko Pahlu Pa Jisdam Nazar Padi
Faaregh Jo Ghusl Se Huwe Rokar Sada Ye Di
Zainab Ab Aao Dekhlo Deedar Aaqri
Beti Tumhari Aati Hai Nalaa’n Jawab Do
Amma Jawab Do Meri Amma Jawab Do
Bhai Hussain Rote Hain Uthkar Gale Lagao
Gham Mey Tumhare Peet The Hain Sar Inhe Manao
Kunbe Se Apne Aaqri Milte Huwe To Jaao
Phir Aik Baar Beti Ko Apni Sada Sunaao
Kya So Rahe Ho Tum Pa Main Qurbaan Jawab Do
Amma Jawab Do Meri Amma Jawab Do
Aye Meri Ghamzada-O Dilafgaar Amma Jaan
Mahboob-E- Kibriya Ki Azadaar Amma Jaan
Kya Hogayi Jahaan Se Bezaar Amma Jaan
Kuch Tou Kaho Zabaan Se Ek Baar Amma Jaan
Beti Khadi Hai Muztar-O- Hairaan Jawab Do
Amma Jawab Do Meri Amma Jawab Do
Baba Hai Sarfey Giriya-O Zari Utho Utho
Dekho Toh Saare Ghar Ki Tabahi Utho Utho
Tum Ko Khasam Hai Haqh Ki My Wari Utho Utho
Lo Aagayi Tumhari Sawari Utho Utho
Aaye Hai Dar Pe Bu-Zaro Salma Jawab Do
Amma Jawab Do Meri Amma Jawab Do
Jannat Ko Ay Nabi Ki Dilo Jaan Jaeye
Ab Ghar Hamara Hogaya Sunsaan Jaeye
Phir Ek Baar Holoo Tou Qurbaan Jaeye
Qhalekh Hai Ab Tumhara Nigehbaan Jaeye
Kya Daagh Hum Ko Dey Gayey Amma Jawab Do
Amma Jawab Do Meri Amma Jawab Do
Gham Me Hai Sogwaar Himayat Bhi Aap Ka
Ye Marsiya Bhi Aap Ka Purdard Hai Likha
Talib Hai Roze Hashr Sahara Ho Ba Mala
Faryaad Is Ki Aap Sune Behre Kibriya
Baare Gunah Se Hai Wo Hiraasaa’n Jawab Do
Amma Jawab Ddo Meri Amma Jawab Do