Jab Zaaereen E Shaah Ghareebul Watan Phire Marsiya Writeup, Lyrics
Jab Zaaereen-E- Shaah Ghareebul Watan Phire
Yaani Sooe Watan Haram-E- Panjetan Phire
Ek Daste Tohfa Leke Nishaane Haram Phire
Ghul Tha Ke Ahl-E-Baith-E- Hussain Aur Hassan Phire
Sattar Do Tan Ko Zair-E- Zameen Sounp Aaye Hain
Kuch Surre Qaake-E- Paak Ke Hamraah Laaye Hain
Naagaah Guzar Qaafele Ka Shaher Me Huwa
Aur Lashkar-E- Basheer Me Naqqaara Bhi Bajaa
Awaaz Taiz Gaami-E- Aspan Huwi Bapaa
Hamsaaiyoun Ko Faatema Sughra Ne Di Sadaa
Logo Sawaari Aathi Hai Kis Baadshaah Ki
Sab Ne Kahaa Ke Sibt-E- Risaalath Panaah Ki
Itne Me Umme Haaniya Usdam Falak Wiqaar
Sar Par Qazaa Ba Paaun Me Mouze Bhi Aashkaar
Ummul Baneen Ke Saath Wahaan Aai Aik Baar
Sughra Ne Poocha Ab To Na Hoga Tumhain Buqaar
Ghul Hai Ke Zainab Aathi Hai Shabbir Aathe Hain
Chalthi Ho Tum Bhi Hum Tho Unhain Lene Jaathe Hain
Wo Boli Paishwaai Ko Moujood Hoon Magar
Hai Qasd Chup Rahoon Kisi Goushe Me Baith Kar
Akbar Talaash Me Phirain Aawaaz Dain Pidar
Asghar Bhi Ghutniyoun Mujhe Dhoonde Idhar Udhar
Jab Sab Kahen Ke Margayi Chut-Te Hi Aap Se
Hansthi Huwi Main Aake Lipat Jaaun Baap Se
Ek Martaba Saroun Pe Pade Mard-O- Zan Ke Haath
Jaana Sabhoun Ne Qatl Huwe Shaah-E- Naik Zaath
Sughra Ne Poocha Daadi Ye Kiski Hai Waaredaath
Ye Gouj To Gayi Thi Na Mere Pidar Ke Saath
Hae Hae Musaaferoun Pa Mere Kya Guzar Gayi
Poocho To Unse Fouj-E- Hussaini Kidhar Gayi
Aaqir Na Rah Saki Sooe Lashkar Ye Di Nidaa
Tum Karala Me Taaza Mulaazim Huwe Ho Kya
Akbar Ke Paae Naam Hai Tum Logoun Ka Paraa
Baare Kaho Gurohe Hussainin Kahaa Rahaa
Batlaao Momino Hoon Mai Pyaari Hussain Ki
Ab Kitni Door Hogi Sawaari Hussain Ki
Naaghaah Aaya Syedoun Ka Ghoul Nange Sar
Daamaan-E- Sabz Kurtoun Ke The Chaak Sar Basar
Aage Alam Liye Huwe Ek Tifl-E- Be Pidar
Maatam Ke Neel Chaand Se Seene Pe Jalwagar
Mashkeeza-E- Sakina Alam Me Bandha Huwa
Ek Teer Usme Behre Gawaahi Laga Huwa
Zair-E- Nishaan Padhthe The Nouha Har Ek Qadam
Maatam Hussain Pyaase Ka Karthe The Dam Badam
Gham Se Larazne Lagtha Tha Jab Panja-E-Alam
Badhthe The Aage Saahebo Maatam Ba Chashme Nam
Faaregh Jo Maatam-E- Shah-E- Waala Se Hote Hai
Phir Kahke Haae Hazrathe Abbas Rote The
Ummul Baneen Ne Naam Jo Abbas Ka Suna
Aankhoun Se Noor Seene Se Dil Hogaya Juda
Sughra Ko Umme Salma Ki Aaghosh Me Diya
Boli Mai Badh Ke Poochoon To Ye Maajra Hai Kya
Aqlab Hai Unse Sibt-E- Nabi Ki Qabar Mile
Kis Ke Yateem Aathe Hain Paa Nange Sar Khule
Ye Kahke Chand Gaam Badhi Wo Basad Bukaa
Kaandhe Pe Jis Yateem Ke Wo Hai Alam Dharaa
Hairath Se Us Ghareeb Ka Mu Dekha Khoob Saa
Beenaai Jaa Chuki Thi Na Pahchaana Mutlaqaa
Poocha Ke Ye Nishaan Tujhe Kab Ataa Huwa
Aye Haamil-E- Alam Mera Abbas Kya Huwa