Jab Uth Gaye Mehboob E Khuda Daar E Fana Se Marsiya Writeup, Lyrics
Jab Uth Gaye Mehboob E Khuda Daar E Fana Se
Matam Ki Sada Aane Lagi Arzou Sama Se
Sar Peettey The Ahmed-E Mursal Ke Nawase
Ek Tehalka Tha Fatema Zehra Ki Buka Se
Na Raat Na Din Ko Buka Karti Thi Zehra
Baba Ke Liye Peet Ke Sar Rothi Thi Zehra
Chillathi Thi Hai Hai Mere Baba Mere Baba
Tang Aaye Hai Is Rone Se Hamsa-E-Ye Zehra
Hyder Se Kiya Fatema Ke Rone Ka Shikwa
Neendh Udh Gayi Zehra Se Ye Kehdeejiye Aaqa
Yaa Din Ko Buka Keejiye, Ya Ro-E-Ye Shab Ko
Rone Se Shab-O Roz Ke Takleef Hai Sab Ko
Farzandoun Ko Phir Fatima Zehra Ne Bulaya
Chaati Se Lagaya Kabhi Seene Se Lagaya
Balaae Jabey Bose Diye Aur Ye Sunaya
Lo Pyaro Ke Hangaam Judaai Ka Ab Aaya
Ab Tum Se Juda Hoti Batool-E Uzra Hai
Ye Aaqri Zehra Ne Tumhe Pyar Kiya Hai
Hyder Se Kaha Inko Na Pahonche Koi Eeza
Ye Hain Mere Pyare Kabhi Inko Na Ghuraknaa
Aur Aap Se Ek Arz Yeh Ab Karti Hai Zehra
Padhiyo Mere Laashey(Murde) Pe Namaz, Ae Mere Aaqa(Moula)
Furqat Me Na In Dono Ko Tadpaiyo Saaheb
Bachhown Ko Meri Qabr Pey Tum Laaiyo Saaheb
Nazuk Hai Mizaaj Inka Ye Maalum Hai Moula
Har Baat Me Be Saaqta Rodeyta Hai Chota
Hai Khouf Ulatt Jaae Na Seene Me Kaleja
Tum Usko Mere Laashey(Murde) Pe Bhi Rone Na Dena
Sab Goudh Me Ley Martaba Quraan Ka Samajh Kar
Ghur-Ke Na Koi Ab Ise Bin Maa Ka Samajh Kar
Ye Kahke Kiya Band Dare Hujra-E Ather
Sab Khurd-O-Kalaa’n Aan Ke Rone Lage Baher
Aawaz Suni Kalmae Tayyab Ki Baraabar
Phir Kuch Na Sada Aai Kaha Sab Ne Ye Rokar
Rahlat Huwi Bas Aaj Rasul-E Arabi Ki
Lo Uth Gayi Dunya Se Nishani Bhi Nabi Ki
Phir Kholke Hujre Ko Basad Naalao Afghan
Matam Ka Kiya Fatima Ke Murde Pa Saaman
Farzandoun Ne Bhi Aake Kiya Chaak Garebaan
Chillate The Qurbaan Hon Ham Bolo To Amma
Fizza Ne Kaha Fatima To Margayi Pyaro
Amma Kahan Amma To Qazaa Kargai Pyaro
Al Qissa Wo Din Matam-E Zehra Me Jo Guzra
Shab Aayi Khule Gesuoun Se Deney Ko Pursa
Hyder Ne Kiya Ghusl Ka Samaan Mohiyya
Masooma Ke Ek Haath Me Jo Zaqm Laga Tha
Wo Daste Batool Aah Qameeda Nazar Aaya
Ye Dekhte Hi Muh Ko Ali Ke Jigar Aaya
Nehla Ke Jo Kafnane Lage Mayyat-E Zehra
Zainab Ne Kaha Hathown Se Sar Peet Ke Apna
Amma Ka Mere Hath Tou Seedha Karo Baba
Wo Roke Pukare Ye Qameeda Hi Rahega
Tabooth Me Phir Mayyat-E Zehra Ko Lita Kar
Sabse Kaha Lo Bibiyo Ruqsat Karo Aakar
Kehte They Ali Fatema Ke Laashey(Murde) Se Ye Baath
Bas Fatema Bas Ho Chuki Betou Se Mulaqaath
Farzandou Ki Gardan Se Juda Kijiye Ab Haath
Ruqsath Bhi Ho Ab Zindou’n Ka Aur Laashe Ka Kya Saath
Chalne Mey Musafir Ke Ye Deyri Nahi Hoti
Mayyath Se Sada Aaye Ke Seyri Nahi Hoti
Saheb Mere Bachown Ko Chudhaao Na Qudaraa
Qaatir Se Meri Deyr Karo Aur Gawaaraa
Hoega Meri Rooh Pa Ahsaan Tumhara
Bachown Se Ziyada Mujhe Koi Nahi Pyara
Masoomoun Se Dam Bhar Me Bichad Jaaegi Zehra
Phir Kaahe Ko Yuh Seeney Se Liptaegi Zehra