Jab Sadr E Zeen Se Gir Pade Abbas E Bawafaa Marsiya Writeup, Lyrics
Jab Sadr-E- Zeen Se Gir Pade Abbas-E- Baawafaa
Jangal Se Aai Girya-E- Zehra Ki Bhi Sadaa
Akbar Ne Doudh Kar Shah-E- Waala Se Ye Kahaa
Chaliye Huzoor Naher Pa Maare Gaya Chacha
Be Dast Dushmanoun Ne Kiya Is Diler Ko
Ro Aaiye Taraai Me Hyder Ke Sher Ko
Ye Sun Ke Peet The Huwe Utthe Zameen Se Shaah
Farmaaya Hai Ghazab Mere Bacche Huwe Tabaah
Ye Kya Kaha Ke Aankhoun Me Din Hogaya Siyaah
Mazloom Se Bichad Gayeabbas Aah Aah
Muddat Huwi Tamaam Sakina Ke Chain Ki
Thodaa Falak Ne Aaj Kamar Ko Hussain Ki
Ye Kahke Soo-E- Naher Chale Shah-E- Karbala
Maanind-E- Baid Kaanpthe The Shah Ke Dast-O- Paa
Ammama Tha Na Farq Pa Ne Dosh Par Ridaa
Tasveer Waar The Hamathan Sibthe Mustafa
Maqtal Ki Qaak Se Tan-E- Anwar Atta Huwaa
Seena Khula Huwa Tho Garebaan Phata Huwa
Pahonche Hunhi Taraai Me Baadeeda-E- Pur Aab
Dekha Tapaan Hai Qaak Pa Farzand-E- Buturaab
Shaanoun Pa Ki Nazar To Jigar Me Rahi Na Taab
Bas Haae Bhaai Kahke Giraa Wo Falak Janaab
Bekaar Dast-O-Paa The Shah-E Qushqisaal Ke
Le Aae Laash Tak Ali Akbar Sambhaal Ke
Mu Rakh Ke Qoon Bhare Huwe Chehre Pa Di Sadaa
Bhayya Hussain Aaya Hai Aawaaz Do Zaraa
Hae Haath Dono Haath Badan Se Huwe Judaa
Baazu Ke Sadqe Un Tere Shaanoun Pa Mai Fidaa
Bhayya Hamaare Haath Tho Bekaar Hogayed
Tum Haath Khoke Jaafar-E- Tayyar Hogaye
Sunkar Sadaa-E- Hazrathe Shabbir-E- Naamdar
Khola Lahu Bhari Huwi Aankhoun Ko Aikbaar
Sar Rakh Ke Paa-E- Shah Pa Ye Bola Wo Ziwiqaar
Tashreef Aap Laae Zah-E- Izz-O- Ifteqaar
Jee Chaahtha Hai Ye Ke Nisaar-E- Huzoor Hoon
Kis Tarha Uth Ke Gird Phiroon Choor Choor Hoon
Baithe Hain Aap Aur Mai Letaa Hoon Aah Aah
Kya Dowr Hai Huzoor Agar Baqsh Den Gunaah
Sar Shaq Hai Zarb-E-Gurz Se Ya Shaah-E-Deen Panaah
Karwat Bhi Ab To Le Nahi Saktha Hai Qair Qwaah
Dukhthe Hain Bolne Me Jarahat Phate Huwe
Dekhen Huzoor Mere Hain Baazu Kate Huwe
Mu Rakh Ke Mu Pa Kahne Lage Shaah-E- Qushqisaal
Abbas Mai Kin Aankhoun Se Dekhoon Tera Ye Haal
Is Dam Bhi Hai Tumhen Mere Aadaab Ka Qayaal
Jab Zibha Honge Hum To Kisee Hoega Malaal
Sadqe Hussain Tere Tan-E- Paash Paash Ke
Ekbaar Hamko Gird To Phirne Do Laash Ke
Ye Sun Ke Us Diler Ne Ek Sard Aah Ki
Mashkize Pe Tadap Ke Ba Hasrath Nigaah Ki
Mu Sharm Se Chupaa Liya Goudi Me Shaah Ki
Haalath Tabh Ho Gayi Hyder Ke Maah Ki
Jab Dil Ko Bekali Hoto Kis Tarha Kal Pade
Zaanu Pa Shah Ke Aankhoun Se Aasu Nikal Pade
Farmaya Shah Ne Kis Liye Rote Ho Zaar Zaar
Lo Ab Kuch Apna Haal Kaho Tum Pa Mai Nisaar
Kya Jee Pa Hai Bani Jo Tadapthe Ho Baar Baar
Ki Arz Is Jari Ne Ke Hai Waqt-E- Iqtesaar
Aaqa Se Chootne Ka Khalq Hai Ghulaam Ko
Paaunga Ab Kahaan Shah-E- Gardoun Maqaam Ko
Ye Kahthe The Ke Phirgayi Aankhoun Ki Putliyaan
Hichki Ke Saath Aagayi Sookhe Laboun Pa Jaan
Hasrath Se Dekhkar Tara-E- Shaah-E- Inso-O- Jaan
Dunya Se Kooch Kargaye Abbas-E- Noujawaan
Chouda Jari Ne Saath Shah-E- Mashraqain Ka
Ek Ghul Uthaa Ke Margaya Aashiq Hussain Ka
Chillathi Hai Ye Zouja-E- Abbas-E- Naamwar
Choudo Mujhe Qudaa Ke Liye Peetne Do Sar
Waaris Mera Guzar Gaya Loota Ajal Ne Ghar
Hae Hae Yateem Hogaya Dono Mere Pisar
Pardes Me Ali Ke Pisar Se Bichad Gayi
Ab Khaak Udaane Do Ke Meri Maang Ujad Gayi