Jab Qatl Kiya Nahar Pa Saqqa E Haram Ko Marsiya Writeup, Lyrics
Jab Qatl Kiya Nahar Pa Saqqa-E-Haram Ko
Bhaai Ka Diya Daagh Shahinshaah-E Umam Ko
Paani Na Diya Pyaas Me Us Bhar-E- Karam Ko
Tha Shour Ke Ab Qouf Kisi Ka Nahin Ham Ko
Ghaazi Ko Jigar Band-E- Yadullah Ko Maara
Abbas Ko Kya Qatl Kiya Shaah Ko Maara
Aada Tho Ye Kahthe The Shah-E-Deen Ka Ye Tha Haal
Tar Aansuounse Hotha Tha Rumaal Pa Rumaal
Farmaathe The Kya Hogaye Abbas-E- Qush Iqbaal
Dunya Me Nahi Jeene Ka Ab Fatema Ka Laal
Bin Bhai Basar Hogi Na Ek Aan Hamaari
Abbas Ke Maatam Me Gayi Jaan Hamaari
Bekas Huwe Ab Koi Nahi Hamdam-O- Yaawar
Paaenge Kahan Aisa Wafaadar Baradar
Bar Aae Kahin Aarzu-E- Sibte Payambar
Jaldi Meri Gardan Pa Chale Zulm Ka Qanjar
Dushman Pa Bhi Ye Aalam-E- Tanhaai Na Howe
Jeene Ka Mazaa Khaak Hai Jab Bhaai Na Howe
Ye Kahke Tadapne Lage Sultan-E- Do Aalam
Barpaa Tha Ajab Qaima-E- Shabbir Me Maatam
Chillati Thi Zainab Ke Jigar Phat-Te Hai Is Dam
Bhaai Ke Alam Me Na Jiyenge Shah-E- Akram
Andher Jahan Hai Jo Alamdar Nahi Hai
Koi Mere Bhaai Ka Madadgaar Nahi Hai
Samjhaake Use Ran Ko Chale Jab Shah-E- Abraar
Dewdhi Aqab-E- Shaah Sakina Jigar Afgaar
Chillai Ke Baba Mujhe Yaan Chodho Na Zinhaar
Dikhlaade Mujhe Laasha-E- Abbas-E- Alamdar
Paani Na Mila Margaye Wo Qhoon Me Naha Kar
Mai Roungi Ab Laasha-E- Abbas Pa Jaakar
Dekhaa Jo Use Shaah Ne Ba Deeda-E- Giryaa
Kahne Lage Beti Se Basad Naala-O- Fughaa
Maare Na Koi Teer Tumhen Dushman-E- Eemaa
Chalna Tera Laashe Pa Muaasib Nahi Is Aan
Wo Kahthi Thi Mai Ji Se Guzar Jaaungi Baba
Waan Leke Na Chaliyega Tho Marjaaungi Ba Ba
Aaqir Use Darya Ki Taraf Leke Chale Shaah
Yun Kahne Lage Fouj Se Badh Kar Kai Gumraah
Kya Qasd Hai Jaathe Ho Kidhar Aye Shah-E- Zeejaah
Darya Pa Wo Maare Gaye Thi Jinki Tumhen Chaah
Paani Ke Liye Laakh Jawaanoun Se Lade Hain
Aur Haath Kataae Huwe Rethi Pa Pade Hain
Naagaah Nazar Aaya Unhen Laash-E- Abbas
Chilla-E- Ke Kaha Haae Ham Ab Hogaye Be Aas
Pahoonchunge Na Tum Tak Tha Yahi Bhaai Ko Wiswaas
Ab Kown Bijhaaega Sakina Ki Bhala Pyaas
Haathoun Ke Tasadduq Tan-E- Sad Paash Ke Sadqe
Aye Jaan-E- Baradar Mai Teri Laash Ke Sadqe
Aankhoun Ko Zara Kholo Tho Qurbaan Ho Bhaai
Qaime Se Sakina Tumhe Lene Ko Hai Aai
Kyun Reth Me Ye Chaand Si Surat Hai Chupaai
Sar Peet Ke Tab Kahne Lagi Shaah Ki Jaai
Hae Hae Ujhe Surat Nahi Dikhlaathe Hain Ammu
Mai Pyaasi Rahi Isliye Sharmaathe Hain Ammu
Tadpi Jo Ye Kah Ke Sakina Jigar Afgaar
Tharrane Lage Laasha-E- Abbas-E- Alamdar
Laashe Se Lipat Kar Ye Pukaare Shah-E- Abrar
Sadqe Teri Ulfath Ke Hussain Aye Mere Ghamqhwaar
Rone Na Diya Tha Kabhi Is Tashna Dahaan Ko
Tharrathe Ho Ab Su Nke Sakina Ki Fughaan Ko
Qaatoon-E- Qayamath Ki Sada Itne Me Aai
Maara Gaya Hae Hae Mere Shabbir Ka Bhaai
Farzand Se Farmaya Ye De De Ke Duhaai
Pursaa Tumhen Deti Hai Ye Gardoun Ki Sataai
Shabbar Bhi Basad Dard-O- Bukaa Peet Rahe The
Laashe Ke Qareen Shere Qudaa Peet Rahe The
Ye Sunke Tadapne Laga Abbas Ka Dildaar
Chillaya Ke Ab Hogaye Ham Bekas-O- Naachaar
Ham Jeethe Rahe Qatl Huwa Shaah Ka Ghamqhwaar
Ta Hashr Na Ab Dekhenge Ham Baap Ka Deedaar
Is Umr Me Kya Zulm-O- Sitam Hogaye Hae Hae
Faryaad Ke Bin Baao Ke Ham Hogaye Hae Hae