Jab Kat Gaye Dariya Pe Alamdaar Ke Baazu Marsiya Writeup, Lyrics
Jab Kat Gaye Dariya Pey Alamdaar Kay Baazu
Shaanou Se Judaa Hogaye Jaraar Kay Baazu
Rethi Pa Giray Shah Kay Ghamkhwaar Kay Baazu
Tharraaney Lagey Syed-E Abraar Kay Baazu
Rang Uddgaya Tasweer-E Alam Hogaye Shabbir
Sadma Yeh Hua Zouf Sey Kham Hogaye Shabbir
Girney Lagga Jis Dum Alam-E Syed-E Waala
Abbas Ney Jhuk Kar Isey Gardan Sey Sambhaala
Ek Teer Lagaa Chashm Pey Aur Seenay Pey Bhaala
Bandh Aankhein Huveen Muh Sey Lahu Shair Ne Dala
Ek Gurz Lagaa Phir Jo Kisi Aur Shaqi Ka
Shaq Hogaya Sar Hazrat-E Abbas-E Ali Ka
Kuch Guzar Garaan Baar Ka Sadmaa Nahin Thoda
Sar Shaq Huva Phir Mashkko Daatoun Sey Na Chodaa
Zeen Sey Jo Giray Aap Khadaa Hogaya Ghodaa
Ek Teer Ney Mashkizey Ko Aur Seenay Ko Thodaa
Paani Jo Bahaa Eid Huvi Fouj-E Adu Mey
Machli Sey Tadapney Lagey Abbas Lahu Mey
Nagaah Yeh Aawaaz-E Ali Dasht Mey Aayi
Shabbir Qabar Lo Kay Tasadduqh Huva Bhaai
Chillaayi Yeh Zainab Kay Dohaai Hai Dohaai
Hazrat Ney Kahaa Lutt Gayi Baba Ki Kamaayi
Tashreef Shahey Har Do Saraa Laaye Hain Zainab
Abbas Kay Laashey Pey Ali Aaye Hain Zainab
Yeh Suntey Hi Hazrat Ney Amaamey Ko Uthaara
Akbar Sey Kaha Kar Do Garebaan Ko Dopaara
Aashiq Meray Bachchou Ka Zamaaney Se Sidhaara
Hum Sogh Mey Hain Qatl Huva Sher Humaara
Aafath Mey Phasi Paani Ki Mohtaaj Sakina
Bus Hogayi Duniya Mey Yateem Aaj Sakina
Farmaakey Yeh Girtey Huvey Doudey Shahey Waala
Sambhley Kabhi Khud Kabhi Akbar Ne Sambhaala
Tha Seena-E Aqdas Mey Kalejaa Taubaala
Chillati Thi Hai Hai Meray Aaghosh Ka Paala
Jaldi Kabhi Chaltey Kabhi Phir Badtey They Shabbir
Ghabraakay Har Ek Laash Pey Gir Padte They Shabbir
Kehtey They Utthaakar Yeh Ali Akbar-E Zeejaah
Darya Ki Taraayi Toh Abhi Door Hai Ya Shaah
Farmaatey They Aankhon Mey Basaarat Nahi Aye Maah
Abbas-E Ali Chodd Gaye Ab Toh Hamey Aah
Ab Kheincheingey Talwaar Jo Rastaa Na Mileygaa
Akbar Hamey Kya Bhaai Ka Laasha Na Mileygaa
Hazrat Ko Sambhaley Huvey Darya Pey Jo Laaye
Abbas-E Alamdaar Sisaktey Nazar Aaye
Akbar Ney Katey Haath Tadaptey Huvey Paaye
Bhaai Ko Khuda Bhaai Ka Laasha Na Dikhaaye
Jhukney Jo Lagey Kaampkay Ghash Kargaye Shabbir
Sabit Ali Akbar Pey Huva Margaye Shabbir
Hai Hai Shahey Deen Kehkay Jo Roye Ali Akbar
Sadmey Sey Tadapney Lagey Abbas-E Dilaawar
Ghabraakay Bhatijey Sey Kaha Aye Merey Dilbar
Bathlaado Kidhar Hain Merey Aaqa Merey Sarwar
Akbar Ney Kahaa Gham Shahey Waala Ko Badey Hain
Woh Aapkay Qadmou Ki Taraf Ghash Mey Padey Hain
Gash Mey Yeh Sukhan Pukaarey Shahey Zeeshan
Yeh Kiski Sadaa Hai My Is Aawaaz Kay Qurbaan
Akbar Ney Kahaa Kab Sey Tadaptey Ian Chachajaan
Mil Lijiye Kay Abas Kuch Dum Kay Hain Mehmaan
Phir Ho Na Sakaa Zabt Imam-E Azali Sey
Liptey Shahey Deen Laasha-E Abbas-E Ali Sey
Chillaaye Basad Gham Merey Bhaai Meray Bhaai
Kya Dil Ka Hai Aalam Merey Bhaai Merey Bhaai
Kyun Chashm Hai Purnam Merey Bhaai Merey Bhaai
Ukhddaa Hai Tera Dum Merey Bhaai Merey Bhaai
Seene Mey Ajal Saans Teharney Nahin Deti
Hichki Tumhein Kuch Baat Bhi Karney Nahin Deti
Yeh Kehtey Hi Hazrat Pey Qayaamat Huvi Taari
Abbas-E Alamdaar Karaaye Kayi Baari
Atkaa Jo Dum Aankhon Mey Toh Aansoon Huvey Jaari
Tanh Rehgaya Aur Rooh Su-Ey Khuld Sidhaari
Chillakay Jo Sheh Roye Toh Ghabraayi Sakina
Nikla Tha Dum Unka Kay Nikal Aayi Sakina
Mayyat Sey Lipat Ney Ko Jo Woh Douddti Aayi
Hazrat Ne Abaa Bhai Kay Chehrey Sey Hataayi
Chillaayi Sakina Kay Dohaayi Hai Dohaayi
Rethi Mey Alamdaar Ney Shakl Apni Chupaayi
Tharraaney Lagaa Laasha-E Saqqa-E Sakina
Laashey Sey Bhi Aayi Yeh Sadaa Haaye Sakina