Jab Izn Paani Laane Ka Abbas Ko Milaa Marsiya Writeup, Lyrics
Jab Izn Paani Laane Ka Abbas Ko Milaa
Bacchown Ko Jama Karke Sakina Ne Ye Kaha
Jaate Hain Ab Furaat Pa Dekho Mere Chacha
Kuch Deyr Aur Sabr Karo Tum Pa Mai Fidaa
Paani Ki Mai Sabeel Yahaan Par Lagaaungi
Asghar Ko Sab Se Pahle Mai Paani Pilaaungi
Lahraaraha Hai Dekho Fazaaoun Me Wo Alam
Tezi Se Jaaraha Hai Soo-E- Naher Dam Badam
Chaaya Huwa Alam Pa Hai Abbas Ka Karam
Ab Hogaya Yaqeen Ke Paani Piyenge Ham
Mashkeeza Bhar Ke Naher Se Abbas Aaenge
Pyaasoun Ko Dono Haathoun Se Paani Pilaaenge
Pyaasa Hai Teen Roz Sey Maasoom Be Khata
Paani Ka Ek Qathraa Bhi Usko Nahin Mila
Karbobala Ki Dhoop Hai Aur Garm Hai Hawaa
Sookha Huva Hai Pyaas Sey Beysheer Ka Gala
Labb Tarr Karoongi Unkay Toh Woh Muskuraaengay
Pehlaaye Dono Haathoun Ko Godh Mey Aayengay
Ye Zikr Is Taraf Tha Udhar Fouj-E- Naabakaar
Baadal Ki Tarha Chaane Lagi Phir Se Aikbaar
Ahl-E-Jafaa Se Bhar Gaya Maidaan-E- Kaarzaar
Chilla Rahe The Saar-E Jafaa Jo Sitam Shiyaar
Paani Pahonch Sakey Na Imaam-E- Hussain Tak
Mashkeeza Jaa Sakey Na Qiyaam-E- Hussain Tak
Naagaah Aik Waar Kameen-Gaah Se Huwa
Shaana Jari Ka Hoke Juda Jism Se Gira
Kuch Door Aur Aage Badey The Ke Aah Aah
Tegh-E Sitam(Dagha) Se Doosra Shaana Bhi Kat Gaya
Daathoun Se Mashk Thaam Ke Abbas Rahgaye
Darya Lahoo Ke Jism-E Mubarak Se Beh-Gaye
Aise Me Aik Teer Laga Aake Mashk Par
Mashk-E- Sakina Chidd Gayi Tharragaya Jigar
Paani Ke Saath Beh-Gaye Ummeed Key Gohar
Jhuk Kar Alam Ne Ghode Ki Baagoun Mey Di Qabar
Saqqa-E- Ahlebaith Ke Shaane Qalam Huwe
Bin Bhaai Ke Jahaan Me Shah-E- Umam Huwe
Ye Kehkay(Sunke) Hamlaawar Huwe Foujoun Pa Shaah-E-Deen
Hamshakl-E- Mustafa Ne Ulatdi Jo Aasteen
Tharraa Gayi Furaath Larazne Lagi Zamin
Jaaney Bachake Bhaag Gaye Ran Se Sab Laeen
Pahonche Hussain Tezi Se Bhaai Ki Laash Par
Hasrath Baras Rahi Thi Tan-E- Paash Paash Par
Bhaai Ke Sar Ko Shaah Ne Zaanu Pa Rakh Liya
The Paayenthi Khade Huwe Hamshakl-E- Mustafa
Phir Rokay Apney Bhaai Sey Bolay Shahey Huda
Dekhohussain Aaya Hai Aye Jaan-E- Murtuza
Ab Aa Chukaa Hai Waqt-E- Judaai Pukaar Lo
Jaaney Se Pahle Bhaai Ko Bhaai Pukaar Lo
Aankhoun Ko Apni Khol Ke Bola Wo Tashnakaam
Sharminda Hai Sakina Se Abbas Ya Imam
Laasha Uthaane Kaa Na Karen Aap Ehthemaam
Ab Hashr Tak Rahega Hamara Yaheen Muqaam
Lillah Baqsh Dijiye Shafaath Ke Naam Se
Taqseer Agar Huwi Ho Koi Is Ghulaam Se
Sunna Tha Ye Ke Hazrath-E- Abbas Ne Kaha
Ye Sab Karam Hai Aap Ka Ya Shaah-E- Karbala
Riqqat Ka Josh Badh Gaya Ghutne Laga Gala
Bhaai Ke Aik Lafz Me Tha Poora Marsiya
Bhaai Kaha To Rooh Badan Se Nikal Gayi
Zaanu Pa Shah Ke Gardan-E- Abbas Dhal Gayi
Phir Sheh Key Samth Dekh Kay Abbas Ney Kaha
Yeh Sab Karam Hai Aapka Ya Shaahey Karbala
Riqqath Ka Josh Badd Gaya Ghuttney Laga Galaa
Bhaai Kay Ek Lafz Mey Tha Poora Marsia
Bhaai Kaha Toh Rooh Badhan Sey Nikal Gayee
Zaanu Pa Sheh Kay Gardhan-E Abbas Dhal Gayee
Bole Hussain Roke Alamdar Alwedaa
Aye Bekassoun Ke Mounis-O- Ghamqhwaar Alweda
Ahl-E- Haram Ke Qafela Saalar Alweda
Jaao Sidhaaro Mere Wadaadar Alweda
Shaane Katake Bhaai Ko Be Aas Kar Gaye
Be Dast Hamko Hazrath-E- Abbas Kargaye
Laae Hussain Mashk-O- Alam Qaima Gaah Me
Qushyoun Ke Baaje Bajthe The Shaami Sipaah Me
Rone Ka Shor Tha Haram-E- Deen Panaah Me
Maatam Ki Kaifiyat Thi Sakina Ki Aah Me
Boli Lipat Ke Ammu Huwe Kya Bataiye
Baba Bataiye Mere Baba Bataiye
Ab Qatm Kar Bayaan Masaaeb Ka Aye Hassan
Tar Aansuoun Se Ho Chuka Majlis Ka Pairahan
Taskeen-E- Fatema Ka Sabab Hai Tera Suqan
Degi Duaaen Tujh Ko Alamdar Ki Bahan
Kar Arz Shah Se Bhaai Ka Pursa Quool Ho
Abbas Ka Ye Marsiya Moula Qubool Ho