Jab Ibn E Bu Turaab Baru E Zameen Giraa Marsiya Writeup, Lyrics
Jab Ibn-E- Buturaab Baroo-E- Zamin Giraa
Be Dast Ho Ke Qaak Pa Wo Mah Jabeen Giraa
Aur Haath Ek Taraf Alam-E- Shah Kahin Gira
Chillai Fatema Ke Mera Naazneen Giraa
Kat- Ta Hai Koi Dam Me Sar Is Noujawaan Ka
Mit- Ta Hai Ab Nashaan Ali Ke Nashaan Ka
Sunte Hi Is Sadaa Ko Shahinshaah-E- Bahrobar
Dowdhe Gire Uthe Na Sambhalaa Gaya Jigar
Kaanpe Jo Paaun Thaam Liya Baazu-E- Pisar
Chillate The Kaho Ali Akbar Chale Kidhar
Majma Hataao Fouj-E- Sitam Kaa Taraai Se
Beta Milaado Jald Mujhe Mere Bhaai Se
Akbar Ujad Gaya Mere Ghar Waa Musibataa
Seedhi Na Hogi Ab Ye Kamar Waa Musibataa
Hai Aaj Taaza Daagh-E- Pidar Waa Musibataa
Kaata Gaya Churi Se Jigar Waa Musibataaa
Pursa To Doon Najaf Ki Taraf Mu To Mod Do
Sar Peet- Tha Chalunga Mere Haath Chodhdo
Akbar Qareeb-E- Laash Jo Laaye Hussain Ko
Abbas Jaan Balab Nazar Aaye Hussain Ko
Tadpa Wo Sher Su Ke Sadaa-E- Hussain Ko
Akbar Ne Haath Uthaake Dikhaae Hussain Ko
Do Koh-E- Gham Ke Dilpa Jo Ekbaar Girpade
Pahlu Me Laash Ki Shah-E- Abraar Girpade
Ek Baar Ghash Se Chounk Ke Abbas-E- Ziwiqaar
Aur Jaankani Me Aankhoun Ko Khola Ba Haal-E- Zaar
Poocha Kidhar Ho Aye Mere Aghaa-E- Naamdaar
Hazrath Lipat Ke Bhaai Se Bole Ke Main Nisaar
Sadme Me Jaankani Ke Fuzoon Ki Judaai Ke
Bhai Ka Daagh Pooche Koi Dil Se Bhaai Ke
Bhaai Tuhaari Baali Sakina Jigar Figaar
Bacchown Se Kahrahi Hai Ye Bachashm Ashkbaar
Ek Laehza Aur Sabr Karo Tumpa Mai Nisaar
Dekhoon Ke Jaan Balab Hai Mera Bhaai Sheerqhaar
Pyaasi Hoon Mai Bhi Teen Din Aur Teen Raat Se
Ab Paani Laate Hoenge Ammu Furaat Se
Hain Kuch Wasiyaten Meri Iswaqt Ya Imaam
Un Me Se Aik Ye Hai Tasadduq Ho Jab Ghulaam
Saahil Se Laash Uth Ke Na Jaae Su-E- Qayaam
Jis Jaa Pada Hoon Qabr Ka Bhi Ho Wahin Maqaam
Sarke Na Qaanazaad Imaam-E- Diler Ka
Maskan Rahe Taraai Me Hyder Ke Sher Ka
Aur Doosri Ye Arz Hai Aye Shaah-E- Naik Qoo
Shahzaadiyaan Mahal Se Na Nikle Kushaada Moo
Dekhe Na Aake Baali Sakina Mera Lahoo
Aur Aik Marte Marte Ye Hai Dil Ki Aarzoo
Aaye Lahad Me Boo-E- Imaam-E- Zaman Mujhe
Baqshen Huzoor Apni Abaa Ka Kafan Mujhe
Sun Kar Ye Haal Dil Pa Laga Aur Teer-E-Gham
Roe Lahu Ke Ashkoun Se Abbas-E- Zee-O- Hashm
Itna Kaha Ke Rah Gaye Sharminda Us Se Ham
Pahonchaate Mashk Haath Na Hote Agar Qalam
Kuch Bas Chala Ajal Se Na Is Bequsoor Ka
Majboor Hogaya Ye Behishthi Huzoor Ka
Sar Peer Ke Ya Kahne Lage Shaah-E- Bahrobar
Abbas Tukde Karte Ho Kyun Bhaai Ka Jigar
Accha Na Laash Uthaaega Yaan Se Ye Nouhagar
Turbat Banegi Aapki Be Shubah Naher Par
Sach Hai Ke Behre Sher Taraai Zaroor Hai
Bhaai Magar Tumhaari Lahed Ham Se Door Hai
Ye Kahke Daal Deen Tan-E- Purnoor Par Abaa
Farmaaya Ab To Shaad Huwe Tum Pa Main Fidaa
Ye Qillat-E- Aaqhir Hai Aye Mere Dilrubaa
Is Ko Loot Lenge Magar Baaniye Jafaa
Chin Jaaegi Ridaaen Bhi Is Ashdham Me
Sar Nange Raanden Niklengi Balwaa-E-Aam Me
Ye Sun Ke Paa-E-Shaah Ki Jaanib Jhukaaya Sar
Kaanpe Lahoo Bhari Huwi Aankhoun Ko Khol Kar
Tapke Mishrah Se Qoon Ke Qatre Idhar Udhar
Kis Yaas Se Hussain Pa Ki Aaqri Nazar
Manka Jari Kaa Dhal Gaya Bhai Ke Saamne
Bhaai Ka Dam Nikal Gaya Bhaai Ke Saamne