Jab Daaqil E Behisht Rasoole Khuda Huwe Marsiya Writeup, Lyrics
Jab Daaqil E Behisht Rasoole Khuda Huwe
Yaani Jahan Se Raahi-E- Mulke Baqaa Huwe
Mahzoo-Wo Dil Malool Shah-E- Lafatha Huwe
Sibtain Gham Me Nana Ke Sarf-E Buka Huwe
Sadma Har Aik Ko Tha Janab-E- Rasool Ka
Par Haal Ghair Sab Se Huwa Tha Batool Ka
Gaahey Ali Se Kahti Thi Rokar Wo Dardnaak
Waali Nabi Ko Tum Ne Sulaya Ba Zere Khaak
Kyun Kar Chupaya Qabr Me Tumne Wo Roo-E-Paak
Hai Hai Pidar Halaak Ho Beti Na Ho Halaak
Itna To Kahte Paainti Kisko Sulaoge
Pucha To Hota Fatima Ko Kab Bulaoge
Bhula Tha Is Qalq Me Hussain-O Hassan Ka Pyar
Aur Pyar Tha To Ye Tha Ke Kahti Thi Baar Baar
Kandhe Pa Apne Nana Ke Hote Nahi Sawar
Ab Gesu-E- Nabi Ko Banate Nahi Mehaar
Bete To Maa Se Kahte The Nana Kidhar Gaye
Maa Poochti Thi Betoun Se Babaa Kidhar Gaye
Bistar Se Tharthara Ke Uthey Tham Kar Asaa
Qabre Nabi Pa Fateha-E- Akhri Padha
Hamsaioun Ke Ghar Gaye Ruqsat Ko Aur Kaha
Lo Sahebo Bahel Karo Ab Kooch Hai Mera
Eizaa Thi Tum Saboun Ko Mere Shour-O Shain Se
Kal Fatima Na Hoyegi Tum Sona Chain Se
Ham Saaiyaah Ke Huqooq Se Aagah Hai Jahaan
Logo Mere Yatimoun Se Rehna Nigah Baan
Ab Sath Inka Aur Tumhara Hai Ham Kahan
Bin Maa Ki Hoti Hain Meri Dukhyari Betiyan
Bachpann Pa Apne Bachchoun Ke Aansu Bahati Hoon
Tum Par Hassan Hussain Ko Main Chodde Jaati Hoon
Rokar Kabhi Hassan Ko Gale Se Lagaa Liya
Aaghosh Me Hussain Ko Gaahe Bitha Liya
Ruqsath Kiya Kisi Ko, Kisi Ko Bulaa Liya
Padhne Ke Waaste Kabhi Quraan Utha Liya
Kahti Thi Gaah Bachown Se Mu Apna Modd Kar
Kal Soone Ghar Me Sona Hai Basti Ko Chodd Kar
Sunlo Waseeyatey Meri Is Waqt Ya Imam
Fizza Se Mere Baad Adalath Se Lena Kaam
Hushyar Fatima Ki Amanath Se Subh-O Shaam
Doh Betiyan, Doh Bete Hain Bas Aur Quda Ka Naam
Main Ne Badey Dukhoun Se Ye Sab Bache Paale Hain
Haq Ke Hawale Tum Ye Tumhare Hawale Hain
Sab Hashmi Qasam Meri Ismath Ki Khate Hain
Mujh Ko Arab Ki Rasm Se Andeshe Aate Hain
Aurath Ka Murda Taqthe Pa Rakh Kar Uthaate Hain
Aasaar Is Me Murde Ke Sab Paae Jaate Hain
Deti Hoon Main Qasam Tumhain Rooh-E Rasool Ki
Waali Na Yun Uttha-E-Yo Mayyath Batool Ki
Hai Aarzu Ke Qabr Me Mujh Ko Hassan Litaae
Shabbir Mere Laashey(Murde) Ka Mu Qibla Roo Phiraae
Phir Qud Kaha, Nahi Nahi Bachcha Hai Dar Na Jaaye
Nagaah Khelte Huwe Dono Yateem Aaye
Chaati Lagaa Ke Boli Ke, Lo Ham Toh Marte Hain
Tum Se Sulook Dekhiye Kya Log Karte Hain
Leykar Balaayen Beti Ki Zehra Ne Ye Kaha
Roti Toh Hoon Ziyadah Na Zainab Mujhe Rulaa
Kuch Bhaaeyoun Ke Sounp-Nay Ka Samjhi Mudh-Duaa
Too Unki Rone Wali Hai Zehra Tere Fidaa
Kya Bas Mera, Jo Marzi-E- Parwardigaar Hai
Zainab Tamaam Kunbe Ki Too Sogwaar Hai
Ye Kahti Thi Ke Ghash Ne Diya Mauth Ka Payaam
Hujre Se Nikle Rote Huwey Aqroba Tamaam
Tarteeb-E- Laash Kay Liye Bahar Gaye Imam
Zehra Ne Yaa Musalle Pa Apna Kiya Muqaam
Likha Hai Bas Namaaz Ishaa Ki Adaa Huwi
Aur Ghul Utha Ke Binte Nabi Ki Qazaa Huwi
Maatha Hassan Ne Laashey(Murde) Ke Maathe Pe Rakh Diya
Ro Ro Ke Amma Amma Kaha Aur Ghash Huwa
Talwoun Se Apne Maathe Ko Shabbir Ne Malaa
Paaun Me Dam Na Paya, To Ye Kaan Me Kaha
Main Aap Ka Ghulam Hoon Aur Noor-E Ain Hoon
Aawaz Do Hussain Hoon, Amma Hussain Hoon