Jaan E Nabi O Qaasa E Daawar Hai Fatima Marsiya Writeup, Lyrics
Jaan E Nabi O Qaasa E Daawar Hai Fatima
Kuch Shak Nahi Hai Shafa-E Mahshar Hai Fatima
Sibtain-E Zeewiqaar Ki Maadar Hai Fatima
Afsos Aaj Bekas-O Bepar Hai Fatima
Jannath Me Chain Hoega Kyunkar Rasool Ko
Todaa Hai Baqdiyoun Ne Mazaare Butool Ko
Din Aaj Hi Ka Tha Ye Qayaamath Huwi Bapaa
Taariq Aathween Thi Mahina Yahi To Thaa
Aada Ne Dhaa Diya Lahed-E Bint-E Mustafa
Hairath Ahi Kyun Jahaan Me Na Mahshar Bapaa Huwa
Naazil Azaab Unpe Ilaahi Shitaab Ho
Be Deen Qoum-E Baqt Ka Qaana Qaraab Ho
Zinda Raheen To Baap Ko Rone Nahi Diya
Mahroom Jaaedaad-E Mohammed Se Kar Diya
Darwaaze Ko Giraaya To Mohsin Ne Ki Qaza
Pahlu Shikastha Hogaya Zulm Aisa Huwa
Raahath Na Di Hayaath Me Bint-E Rasool Ko
Mismaar Aaj Kar Diya Qabr-E Butool Ko
Kya Zulm Kar Gaye Ke Nahi Jis Ki Inteha
Kaabe Ko Tou-Da Qabroun Ko Mismaar Kar Diya
Allah Ahlebaith Se Kya Unko Bughz Tha
Marne Ke Baad Bhi Ye Sitam Waa Musibatha
Ya Rab Giraade Baghdiyoun Par Aasmaan Ko
Dikhlaade Qaher Apna Too Ahle Jahaan Ko
Zinda Rahin To Dukh Me Hamesha Huwi Basar
Zehra Ne Chain Paaya Na Dunya Me Ek Paher
Baad-E Rasool Khall Gayi Apni Jaan Par
Ummath Se Tang Hoke Jahaan Se Kiya Safar
Ki Thi Ye Faatema Ne Wasiyath Imaam Se
Dafnaana Shab Me Mujh Ko Chupa Kar Awaam Se
Qabren Bhi Thi Banaai Ali Ne Kai Jaga
Thi Isme Maslehath Badi Shak Ki Nahi Hai Jaa
Bint-E Rasoole Paak Ko Aada Se Qouf Tha
Qaani Na Khowd Daalen Laeen Qabr-E Sayyeda
Afsos Iska Hai Ye Baqdi Na Margaya
Us Waqt Jo Na Hosaka Wo Aaj Kar Gaya
Aye Qabre Syeda Teri Rahmath Ke Mai Nisaar
Aye Qabre Syeda Teri Izzath Ke Mai Nisaar
Aye Qabre Syeda Teri Azmath Ke Mai Nisaar
Aye Qabre Syeda Teri Ghurbath Ke Mai Nisaar
Aada Ne Martaba Tera Jaana Na Haif Hai
Aqwaale Mustaf Ko Bhi Maana Na Haif Hai
Kis Mu Se Ye Kahoon Ke Miti Qabre Syeda
Towdi Gayi Mazaare Hassan Waa Musibatha
Zainul Aba Wo Baaqer Wo Jaafar Ki Qabr Ka
Hai Hai Nishaan Bhi Koi Baaqi Nahi Raha
Is Zulm Ki Nazeer To Aye Aasmaan Nahi
Saadaath Ki Bh Qabroun Ka Naam-O Nashaan Nahi