Insaan Ke Liye Maut Hai Gham Be Watani Ka Marsiya Writeup, Lyrics
Insaa’n Ke Liye Maut Hai Gham Be Watani Ka
Jaankah Hae Andow-O- Alam Bewatani Ka
Sadma Nahi Kuch Mout Se Kam Bewatani Ka
Aaath Hae Qayamath Hae Sitam Bewatani Ka
Kantoun Ke Alam Syed-E- Sajjad Se Poocho
Eizaa-E- Safar Muslim-E- Nashaad Se Poocho
Ki Saqt Dagha Kufiyoun Ne Ghar Se Bula Ke
Sab Phir Gaye Jin Logoun Ke Daawe The Wafa Ke
Lakhoun Hai Adu Jaaen Kidhar Jaan Bachake
Aafath Me Giraftar Huwe Kufe Me Aake
Yawar Nahi Hamdam Nahi Ghamkhwar Nahi Hae
Narghe Me Hain Aur Koi Madadgar Nahi Hae
Hain Sangdil Aise Wo Jafaakar-O- Sitamgar
Kothown Se Lagane Lage Mazloom Pa Pathar
Noorani Badan Hogaya Majrooh Sarasar
Aur Saamne Se Mu Pa Laga Zulm Ka Qanjar
Kyun Gir Na Pada Haae Falak Phat Ke Zamin Par
Laale Lab-E- Jaan Baqsh Gire Katke Zamin Par
Muh Karke Soo-E- Charq Kaha Shukr Khudaya
Raahath Hae Ye Bande Ne Jo Kuch Zulm Uthaya
Gham Ye Hai Ke Hai Door Yadullah Ka Jaaya
Shabbir Ke Hathown Se Kafan Ham Ne Na Paya
Dunya Se Sue Quld Koi Dam Me Safar Hae
Yaan Hampe Jo Kuch Bangayi Kya Unko Qabar Hai
Ye Kahte The Muslim Ke Laeenoun Ne Khazaara
Ek Sange Sitam Is Labe Majrooh Pa Mara
Resh Aur Garebaan Me Lahu Bhar Gaya Saara
Jab Haal Ye Poocha To Kaha Jang Ka Yaara
Aada Se Kaha Dil Me Zara Raham To Jaa Do
Ghash Aata Hae Paani Mujhe Thoda Sa Pilado
Kab Sune The Bbas Ka Suqan Zulm Ke Baani
Tha Qatl Ki Tadbeer Me Wo Dushmane Jaani
Le Aai Zaeefa Wahin Ek Jaam Me Paani
Qismath Ne Magar Bujhne Nadi Tishna Dahani
Sookhi Huwi Thi Gul Si Zabaan Qushk Gulu Tha
Us Paani Ko Mu Se Jo Lagaya To Lahu Tha
Phainka Use Jab Khaak Pa Baa Didae Giryaan
Ek Jaam Zaeefa Ne Diya Phir Unhe Us Aan
Peene Bhi Nahi Paya Koi Ghoont Wo Zishan
Paani Me Juda Hoke Gire Gouhar-E- Dandan
Farmaya Ke Saabit Huwa Pyase Hi Marenge
Ab Saaqiye Kousar Hame Sairaab Karenge
Dushman To Kal Sow The Ye Be Yaar-O- Madadgar
Barchi Kabhi Padhti Thi Kabhi Padhthi Thi Talwar
Andowh Pe Andowh The Aazad Pa Aazad
Kis Aas Se Ek Aik Ka Mu Takte The Har Baar
Baazu Ko Sitamgaar Jo Baandhthe The Rasan Se
Fawwara Khoon Chut-Ta Tha Har Zaqme Badan Se
Al-Qissa Labe Baam Jo Laaye Unhen Saffak
Tar Aansuoun Se Hogaya Muslim Ka Ruq-E- Paak
Faryaad Sue Kaaba Ye Ki Baadil-E- Ghamnaak
Roohi Be Fidak Ay Pisar-E- Syed-E- Loulaak
Karta Hae Safar Qalq Se Ghamqhaar Tumhara
Mouqoof Hae Ab Hashr Pa Deedar Tumhara
Farmaake Ye Gardan Tarafe Qhibla Jhukaai
Shamsheer Jafaakaar Ne Chamka Ke Uthaai
Aawaaz Ye Maqdooma-E- Kounain Ki Aai
Marta Hae Har Awwal Mere Bacche Ka Dahaai
Is Zulm Se Baaz Aa, Jo Khuda Ka Tujhe Dar Hai
Zaalim Sar-E- Muslim Pa Mera Haath Sipar Hai
Mere Liye Kam Hashr Ke Din Se Ye Nahi Kam
Turbat Se Main Nikli Hoon Liye Laasha-E- Mohsin
Mazloom Koto Qhati Tu Karta Hae Wo Lekin
Bin Baap Ke Hojaaenge Bacche Kayi Kamsin
Khoon Sar Pe Na Le Chodh De Aawarah Watan Ko
Kar Raand Na Abbas-E- Dilawar Ki Bahan Ko
Zehra Ne Kai Baar Tadap Kar Ye Pukara
Kya Dil Tha Ke Mutlaq Na Dara Wo Sitam Aara
Zalim Ne Kayi Zarb Me Sar Tan Se Utaara
Phat- Ta Hae Jigar Ab Nahi Goyaai Ka Yaara
Likha Hai Chala Leke Jo Khaatil Sar-E- Muslim
Kowthe Ke Tale Phaink Diya Paikar-E- Muslim