Imaan Ki Jaan Kya Hai Mohabbat Ali Ki Hai Marsiya Writeup, Lyrics
Imaan Ki Jaan Kya Hai Mohabbat Ali Ki Hai
Raahat Jo Qabr Ki Hai Wo Ulfat Ali Ki Hai
Saail Bakaf Hain Sab Wo Saqawat Ali Ki Hai
Khaatil Ko Di Amaan Wo Murawwat Ali Ki Hai
Aadil Ho, Peshwa Ho, Madaarul Mahaam Ho
Gar Ho Nabi Ke Baad To Aisa Imam Ho
Sadqhe Ghulam Teri Musibat Ke Ya Ali
Aye Jaanashin Janabe Risalath Ke Ya Ali
Qurbaan Lahu Bhari Teri Surat Ke Ya Ali
Ayyam Hain Ye Teri Shahadath Ke Ya Ali
Ye Zulm Bey Jehat Ye Sitam Bey Sabab Huwa
Talwar Tere Sar Pe Lagi Kya Ghazab Huwa
Unniswin Se Aapka Matam Hai Ya Ali
Khoon Hogaye Diloun Ka Ye Aalam Hai Ya Ali
Daftar Jahan Ka Darham-O- Barham Hai Ya Ali
Maahe Siyam Maahe Muharram Hai Ya Ali
Moula Ki Nazr Ko Gohar-E Ashk Laaye Hain
Ye Rozedaar Aapke Purse Ko Aaye Hain
Moula Shigafta Huwa Sajde Me Sar Tera
Syed Tabah Hogaya Kufe Me Ghar Tera
Sarwar Alam Diloun Ko Hai Shaam-O- Sahar Tera
Aaqa Inhi Dinoun Me Huwa Tha Safar Tera
Aalam Se Be Qabar The Khuzu-O Khushu Me
Talwar Jab Lagi Thi Jhuke The Ruku Me
Ghar Me Quda Ke Qatl Huwa Rozedaar Haae
Hai Hai Imam Haae Shah-E Zulfiqar Haae
Aye Khanazad Haq Shahe-E- Taa-At Guzaar Haae
Moulud Haram Me Hai Tou Najaf Me Mazaar Haae
Ye Bandagi Nisaar Janabe Ameer Ke
Nikle To Ghar Se Marke Qudaye Qadeer Ke
Laya Tha Zehar Me Wo Jafa Jo Bujha Ke Tegh
Moula Gire Zameen Pa Sajde Me Khake Tegh
Ghul Padhgaya Ke Sar Pa Lagi Murtaza Ke Tegh
Khaai Qhuda Ke Sher Ne Ghar Me Quda Ke Tegh
Gehra Hai Zaqm Farqe Imame Hijaaz Par
Sar Se Tapak Raha Hai Lahu Jaa- Namaz Par
Shera Khuda Jo Hathoun Se Thame The Apna Sar
Khoon Dono Kohniyoun Se Tapakta Tha Khaak Par
Bhaga Jo Ibn-E Muljim-E Maloon-O Bad Siyar
Pakda Use Ali Ke Muhibbou’n Ne Doud Kar
Laaye Jo Haath Baandh Ke Moula Ke Saamne
Qaatil Pa Muskura Ke Nazar Ki Imam Ne
Farmaya Main Ne Kounsi Ki Thi Teri Qataa
Padaash Nekiyoun Ki Yahi Hai Jahan Me Kya
Kya Main Bura Imam Tha Aye Baniye Jafaa
Roya Jo Sar Jhuka Ke To Moula Ne Ye Kaha
Is Dard Me Bhi Sab Ke Maraz Ki Dawa Hain Ham
Baandho Na Iske Haath Ke Mushkil Kusha Hain Ham
Dono Shabey Ali Ko Tadapte Huwin Basar
Lete The Is Taraf Kabhi Karwat Kabhi Udhar
Rokar Dabaate Paun Jo Shabbir-E- Naamwar
Reh Jaate The Imam-E- Do Alam Hilake Sar
Rudaad Thi Nazar Me Mujassam Hussain Ki
Awaaz Sun Ke Rote The Zainab Ke Bain Ki
Jab Bees-Wi Ka Din Bhi Tadapkar Huwa
Tamaam Ummul Baneen Se Chounk Ke Kahne Lage Imam
Do Din Se Aah Sab Mere Bache Hain Be Ta-Aam
Faaqe Me In-Pe Guzregi Kya Aaj Ki Bhi Shaam
Accha Hoon Ab To My Ye Abas Be Qaraar Hain
Khana Inhe Khilao Ke Sab Rozedaar Hain
Bole Hussain Baap Se Hathoun Ko Jood Kar
Sab Khaaen Phir Jo Aap Tanawul Karen Agar
Farmaya Rizq Utth Gaya Majboor Hai Pidar
Paani Bhi Ab Gale Se Utarta Nahi Pisar
Daawath Ali Ki Aaj Hai Ghar Me Ilaah Ke
Roza Khulega Saath Risalath Panah Ke
Chup Hogaye Ye Kahke Shahinshah-E Kaaenath
Samjhe Ye Sab Ke Ghash Me Hain Shah-E- Niko Sifath
Jis Waqt Baaqi Rahgayi Kuch Kam Ghadi Wo Raat
Teghe Ajal Ne Qhata Kiya Rishta-E- Hayath
Tadka Tha Noor Ka Ke Safar Kar Gaye Ali
Sab Shiya Bey Imam Huwe Mar Gaye Ali