Hai Qasd Kuch Fazael E Baqar Raqam Karoon Marsiya Writeup, Lyrics
Hai Qasd Kuch Fazael E Baqar Raqam Karoon
Tahreer Mojizaatey Imam-E Umam Karoon
Likhney Mey Misley Khaama-E Sar Ajz Kham Karoon
Lauh-O Qalam Ko Geeratey Lauh-O Qalam Karoon
Anwaarey Mojizaat Sey Raushan Kitaab Ho
Khaama Shuaa Ho Toh Waraqh Aftaab Ho
Ek Din Pidar Ki Godh Mey Tha Woh Falak Muqaam
Ek Shiya Laya Nazrey Dirahem Paey Imam
Sajjad Kay Huzoor Woh Dirham Rakhey Tamaam
Dirham Sey Khelney Lagaa Farzand-E Nekh Naam
Kya Aql Di Thi Khaaliq-E Roz-E Hisaab Ney
Dirham Zameen Pey Phaink Diya Us Janaab Ney
Tab Doud Kar Mohib Ney Dirham Uttha Liya
Aur Us Ko Darmiyaan-E Dirham Par Milaa Diya
Baquar Ney Chunkay Phir Wahi Dirham Judaa Kiya
Tifli Mey Thi Yeh Aap Pey Taaeed-E Kibriyaa
Likha Hai Teen Baar Yehi Maajera Huva
Us Dum Mohib Ko Sheh Kay Tahyur Bada Huva
Abid Sey Ki Yeh Shia-E Abid Ney Iltejaa
Irshaad Aap Kijiyeh Yeh Maajera Hai Kya
Sheh Ney Kaha Yeh Aadat-E Tifli Na Jaantaa
Hoga Imam Baad Hamarey Yeh Mehlaqaa
Dirham Yeh Ek Gazbi-O Maal-E Haraam Hai
Kyun Kar Issey Qubool Karey Yeh Imam Hai
Baquar Pey Woh Nisaar Huvaa Paaoon Choom Choom
Tifli Sey Sheh Kay Ilm-E Khuda Daad Ki Thi Dhoom
Baquar Ki Sharaa Kartey Hain Yeh Khaas Aur Amoom
Yaani Hai Woh Imam Shagafandah-E Uloom
Tha Koi Raaz-E Ghaib Na Shah Sey Chupaa Hua
Uqdaa Woh Kaun Tha Jo Na Hazrat Sey Waa Hua
Likhta Hoon Ab Shahadat-E Maula-E Khoosh Nihaad
Tha Bas Kay Zaid Ibn-E Hassan Ko Hasad Ziyaad
Rakhta Tha Bughz Aap Sey Woh Baani-E Fasaad
Karta Tha Majlison Mey Hiqaarat Sey Sheh Ko Yaad
Tha Munhareef Woh Baquar-E Aali Muqaam Sey
Karta Tha Adaa-E Imamat Imam Sey
Sougandh Khaakay Zaid Ney Is Waqt Yeh Kahaa
Daawaa Na Ab Karoonga Imamat Ka Mutleqaa
Phir Suey Mulk Shaam Woh Maloon Rawaan Huvaa
Abdul Malik Sey Jaakay Kahaa Sab Yeh Maajeraa
Aakhir Ko Yeh Kaha Kay Hamaarey Gumaan Mey
Baquar Sa Ab Nahin Koyi Saarey Jahaan Mey
Abdul Malik Ko Bughz-O Khusumath Huvi Ziyaad
Kya Kya Na Usney Shahey Umam Sey Kiye Fisaad
Akhir Imam Ko Yeh Likhaa Az Rahey Anaad
Main Bhejtaa Hoon Zaid Ko Aye Shahey Khush Nihaad
Ibn-E-Hasan Ko Laayeq-E-Takreem Kijiyeh
Taadeeb Kijiyeh Usay Taaleem Kijiyeh
Aur Ek Zeen Taabiye Jis Mey Kiya Tha Sam
Hum Raah Zaid Bheijaa Baraaye Shahey Umam
Aaya Jo Zaid Rubaru-E Shahey Ba Karam
Shah Boley Hai Jo Qasd Tera Jaantey Hain Hum
Aey Ibne Amm Yeh Zulmo Sitam Tu Ney Kya Kiya
Is Zeen Mey Hai Taabiye Zehr-E Dagaa Kiya
Is Zeen Par My Hothaa Hoon Daanista Ab Sawaar
Bandey Ko Kya Mashiyat-E Izd Mey Ekhtiyaar
Bandha Woh Zeen Asp Pey Allah Rey Inkesaar
Aur Zaib-E Raahwaar Huva Shaahey Bawaqaar
Maut Apni Pasand Raza-E Ilaah Mey
Us Zaher Ney Nafooz Kiya Jism-E Shah Mey
Sheh Ney Muraaje-Ath Ki Sawaari Sey Aah Jab
Bas Aashkaar Hogaye Aasaar-E Maut Sab
Farmaaya Teen Roz Kay Hum Mehmaan Hain Ab
Jaffar Ko Laao Aur Kafan Bhi Karo Talab
Talib Kafan Kay Badley Hain Is Pairahan Kay Hum
Kabey Ka Tawaaf Kartey They Jis Ko Pahen Kay Hum
Laaye Woh Jaama Hazrat-E Sadiq Bachashm-E Tarr
Hazrat Ney Pyaar Karkay Kahaa Unko Aye Pisar
Jaata Hoon Mai Jahaan Sey Tu Hotaa Hai Beypidar
Duniya Sey Aaj Kartaa Hoon Uqbaa Ka Main Safar
Pyarey Pidar Kay Marney Ka Tum Gham Na Khaaiyo
Mazloomi-E Hussain Pey Aansoo Bhaaiyo