Haae Kis Bekas O Mazloom Ka Ye Maatam Hai Marsiya Writeup, Lyrics
Haae Kis Bekas-O Mazloom Ka Ye Maatam Hai
Fatema Aai Hai Rone Ko Ye Kis Ka Gham Hai
Nange Sar Saath Hain Hooren Bhi Ajab Aalam Hai
Rone Waloun Se Ye Irshaad Bhi To Paiham Hai
Rone Waalo Tumhen Rone Ka Silaa Dene Ko
Fatema Aai Hain Tum Sab Ko Dua Dene Ko
Aye Azadaro Tumhen Qhaleqe Akbar Ki Qasam
Kown Mazloom Hae Wo Tum Ko Payambar Ki Qasam
Naam Lo Uska Zubaan Se Tumhen Hyder Ki Qasam
Be Zabaan Hasliyon Wale Ali Asghar Ki Qasam
Roke Kahdo Ke Koi Bekas-O Maghmoom Nahi
Juz Hussain Ibn-E Ali Aur Koi Mazloom Nahi
Yahi Mazloom Madine Ka Hai Rahne Wala
Aik Saidaani Ne Faaqoun Me Jise Tha Paala
Nayyar-E Burj-E Imamat Ka Yahi Hae Haala
Aik Bekas Pa Sitam Hae Ye Falak Ne Dala
Subha Se Asr Talak Ghar Ko Lutaaya Is Ne
Margaye Sob To Gala Apna Kataya Is Ne
Shabe Haf-Tumse Huwa Bandh Isi Par Paani
Isi Mazloom Ke Qismath Me Ye Thi Hairaani
Zibha Jab Hota Tha Ran Mey Jo Ali Ka Jaani
Peet-Ti Phirthi Thi Maqtal Mey Koi Saidaani
Kon Saidaani Wahi Fatema Ki Jaayi Thi
Bhai Ke Pyar Me Sar Nange Nikal Aaye Thi
Haan Payambar Ke Madine Ka Musaafir Hai Yahi
Apne Nana Ki Lahad Ka Bhi Mujaawer Hai Yahi
Jisko Paani Na Mila Tha Dam-E- Aqir Hae Yahi
Jis Pa Sadqe Huwe Ayyub Wa Sarwar Hai Yahi
Bekas-O Be Watan-O Tashnadahan Kahte Hain
Isi Mazloom Ko Mohtaaj-E- Kafan Kahte Hain
Ya Hussain Aapki Mazloomi-O Ghurbath Ke Nisaar
Sar Ko Katwadiya Kis Shaan Se Himmat Ke Nisaar
Tah-E- Qhanjar Bhi Kiya Sajda Ibadath Ke Nisaar
Nange Sar Dekha Na Hamsheer Ko Ghurbath Ke Nisaar
Hoon Fida Aap Pa Mu Ashkoun Se Dhone Wale
Ya Hussain Aap Pa Sadkhe Hon Ye Rone Wale
Dekha Is Bekas-O- Mazloom Ki Shane Ghurbath
Chote Betey Ki Lahad Khodi Hae Uf Ye Himmath
Kaanpthe Hatoun Se Aaqa Ne Banaai Turbath
Kya Kahen Kis Se Kahen Kalb Ki Apni Haalath
Chand Ko Apne Tahe Qhaak Chupaya Hae Abhi
Hasliyon Wale Ko Turbath Me Sulaya Hae Abhi
Kis Qadar Bekas-O Mazloom Tha Ye Shah-E- Ghareeb
Naa Kafan Chote Se Sayyad Ko Huwa Us Ko Naseeb
Sar Ko Katwaae Huwe Sote Hain Sab Uske Habeeb
Pyaas Se Teen Shab-O Roz Se Haalat Hae Ajeeb
Ya Ali Kahke Sambhala Hae Dil-E- Muztar Ko
Qhoon Bhare Kurte Me Dafnaya Ali Asghar Ko
Roke Dete Hain Sada-E Mah-E Anwar Bolo
Aye Mere Chote Shaheed Aye Mere Dilbar Bolo
Baap Ko Chowdh Ke Tanha Gaye Kynkar Bolo
Dard Kaisa Hae Gale Me Ali Asghar Bolo
Goud Me Baith Ke Sab Haal Sunaana Beta
Teer Ka Zaqm Bhi Daadi Ko Dikhana Beta