Dozakh Se Jab Azad Kiya Hur Ko Khuda Ne Marsiya Writeup, Lyrics
Dozaq Se Jab Aazad Kiya Hurr Ko Quda Ne
Khul-Wadiye Firdous Ke Dar Uqda Kusha Ne
Zaanu Pa Rakha Sar Ko Imam-E- Dosara Ne
Aala Kiya Adna Ko Buzurgoun Ki Duaa Ne
Sab Jiske Talabgaar The Jannat Me Wo Dar Tha
Hooran-E-Jinaa’n Gird Theen Aur Beech Me Hurr Tha
Jab Dechuke Sab Qair Azeezo Ki Tarha Sar
Bejaa Huwe Do El-Chi Shah Ke Dilbar
Marne Pe Kamar Baandh-Te The Kasim-E Be Par
Kehti Thi Jhukaaye Huwe Sar Shah Ki Kohar
Hai Saqth Ajab Dono Ki Daanayee Se Mujh Ko
In Betou Ne Mehboob Kiya Bhai Se Mujh Ko
Ye Zikr Abhi Tha Ke Sada Rone Ki Aai
Darwaze Se Akbar Ne Ye Awaaz Sunaai
Looti Gayi Hai Hai Phupi Amma Ki Kamaai
Maare Gaye Do Saath Ke Khele Huwe Bhaai
Rote Huwe Abbas Bhi Hamraah Gaye Hain
Qud Laashe Uthane Keliye Shaah Gaye Hain
Fizza Ki Sada Aai Ke Aye Peetne Walo
Sab Milke Are Meri Quzadi Ko Sambhalo
Roti Hai Kidhar Bano-E- Aalam Ko Bulalao
Loota Gaya Ghar Qaak-E- Azaa Baloun Pa Daalo
Maqtal Se Hussain Ibn-E-Ali Laate Hain Laashe
Saidaaniyo Dewdhi. Pa Chalo Aate Hain Laashe
Lashoun Ko Shah-E- Deen Saf-E- Matam Pa Jo Laae
Sab Ahl-E- Haram Peet- Te Rote Huwe Aae
Zainab Ne Na Faryaad Ki Ne Ashk Bahaae
Baithi Rahi Sar Zaanu-E- Aqdas Pa Jhukaae
Lab Qushk The Mu Faq Tha, Miza Ashkoun Se Tar Thi
Nae Apne Na Bhai Ki Na Lashoun Ki Qabar Thi
Bano Ne Rakhe Zaano-E- Zainab Pa Sar Unke
Jo Bibiyaan Thi Aagaye Mu Ko Jigar Unke
Zainab Ne Jo Ki Jhuk Ke Ruqoun Pe Nazar Unke
Dikhlaai Diye Chand Se Mu Qoon Me Tar Unke
Ruqsaar Bhi Majrooh The, Abru Bhi Kate The
Shane Bhi Juda Chand Se Baazu Bhi Kate The
Mu Chatiyoun Pe Rakh Ke Wo Nashaad Pukari
Aaram Me Hoti Hai Ghashi Pyas Se Taari
Hota Hai Bayaan Shoukatou Himmat Ka Tumhari
Tasleem Karo Qibla-E- Kounain Ko Wari
Samjhi Mai Ke Ba As Hai Ye Bedariye Shab Ka
Pyaro Ye Tariqha Nahi Arbabe Adab Ka
Ta-Reef-E Imama-E- Dosara Karte Hain Uttho
Abbas-E- Alamdar Sana Karte Hain Uttho
Hamshakle Nabi Madhe Vigha Karte Hain Uttho
Sab Log Na Uthne Ka Gila Karte Hain Uttha
Aaqa Se Musibath Me Juda Ho Nahi Jaate
Sadqe Gayi Youn Jung Ke Din So Nahi Jaate
Pyaro Tum Akele Kabhi Nikle Nahi Ghar Se
Rastoun Se Na Waqif Na Soobat-E- Safar Se
Raahen Wo Ke Qaali Nahi Jo Qouf-O-Qatar Se
Jo Qaasa-E- Baari Hain Wo Tharrate Hain Dar Se
Is Qouf Se Ratoun Ko Na Sote The Mohammed
Jab Mout Ka Zikr Aata Tha Rote The Mohammed
Hae Hae Wahi Rasta Tumhen Darpaesh Hai Pyaro
Tum Mard Ho Jarrar Ho Himmath Ko Na Haaro
Ab Aankhoun Se Chhup Jaaoge Aye Arsh Ke Taaro
Bacho Mujhe Manzil Ka Pata Deke Sidharo
Virane Me Ya Gulshane Hasti Me Rahoge
Tum Aajki Shab Kounsi Basti Me Rahoge
Ab Zeest Se Amma Ka Bhi Dil Sair Hai Pyaro
Jeeti Hoon Main Qismat Ka Meri Phair Hae Pyaro
Kya Jaane Meri Mout Me Kya Deyr Hai Pyaro
Tum Margaye Dunya Mujhe Andher Hai Pyaro
Hae Kounsi Doulat Jise Khone Ko Rahi Hoon
Maloom Nahi Ab Kise Rone Ko Rahi Hoon
Taariki Me Vaari Tumhe Neend Aayegi Kyon Kar
Shab Hogi To Bachown Ko Ye Maa Paaegi Kyon Kar
Maadar Dil-E- Betaab Ko Samjhaegi Kyon Kar
Waan Tak Mere Rone Ki Sada Jaaegi Kyon Kar
Nikloon Jo Tajassus Me To Bejaa Nahi Waari
Maa Hoon Mera Pathar Ka Kaleja Nahi Waari
Maqtal Me Qiyaam Aaj Kahan Hoga Batado
Maa Sadqe Muqaam Aaj Kahan Hoga Batado
Din Tumko Tamaam Aaj Kahan Hoga Batado
Bistar Sar-E- Sham Aaj Kahan Hoga Batado
Hamwaar Zameen Shab Ke Bichone Ko Milegi
Kaisi Hae Jagah Jo Tumhen Sone Ko Milegi
Hamraah Na Takiya Hai Na Rahath Ka Bichona
Do Bhai Ho Tum Ek Jagah Raat Ko Sona
Maloom Hai Chote Ka Tumhe Chouk Ke Rona
Sadqe Gayi Gaafil Mere Bach-Che Se Na Hona
Be Ma Ke Sehar Rone Me Hojati Thi Usko
Pehlu Mera Milta Tha Tou Needh Aati Thi Usko
Tukde Tha Kaleja Ye Bayaan Dard Ke Sun Kar
Ek Hashr Tha Saidaniyaan Jab Peet- Ti Thi Sar
Bano Ne Kaha Qibla-E- Kounain Se Uth Kar
Marjaaegi Maa Lashoun Ko Le Jaiye Bahar
Farzandoun Ka Gham Qhaleqe Aalam Na Dikhae
Allah Kisi Maa Ko Ye Maatam Na Dikhae