Bilqees Paasbaan Hai Ye Kiski Janaab Hai Marsiya Writeup, Lyrics
Bilqees Paasba’n Hai Ye Kiski Janaab Hai
Maryam Durood-E-Kha’n Hai Ye Kis Ki Janab Hai
Shan-E- Quda Ayaa’n Hai Ye Kiski Janaab Hai
Dahleez Aasmaa’n Hai Ye Kiski Janaab Hai
Kursi Zami’n Se Leti Hai Goshe Panaah Kay
Baitha Hai Arsh Saaye Me Kis Bargaah Kay
Ulfath Quda Ke Baad Habeeb-E Quda Ki Hai
Munsif Ke Paas Ye Bhi Vila Kibriya Ki Hai
Parva-Na Faaqe Ki, Na Shikayat Ghiza Ki Hai
Eiza Faqat Judaai-E- Khairul Wara Ki Hai
Aab-O- Ghiza Ki Fikr Na Sone Ka Dhyan Hai
Aankhoun Me Shakl Baap Ki Rone Ka Dhyan Hai
Betey Pukarte Hain Ke Lillah Bahar Aao
Amma Na Itna Rowoh Ghulamoun Pa Raham Khao
Nana Kahan Gaye Hain, Bulalayen Ham Batao
Ham Kapde Phadte Hain Nahi To Gale Lagao
Nana Ke Baad Haae Ye Be Qadr Ham Huwe
Sab Ek Taraf Huzoor Ke Bhi Pyaar Kam Huwe
Aaqir Wafure Girya Se Aajiz Huwe Arab
Hyder Ke Paas Rone Ki Faryaad Laaye Sab
Ki Arz Fatima Se Kaho Aye Wali-E-Rab
Ya Syyeda Tumhari Ra-E-Yath Hai Jaa’n Balab
Khane Ka Koi Waqt, Na Sone Ka Waqt Hai
Jo Waqt Hai Wo Aap Ke Rone Ka Waqt Hai
Bahar Se Murtaza Gaye Ghar Me Jhukaae Sar
Mu Dha-Pe Rorahi Thi Akeli Wo Qush Seer
Dene Lage Payaame Arab Shah-E- Bahrobar
Ghabra Ke Boli Haye Karoon Kya Main Be Pidar
Khaabu Me Mout Howe To Marjaun Ya Ali
Baba Ka Sog Leke Kidhar Jaun Ya Ali
Meri Taraf Se Ahl-E- Madina Ko Do Payaam
Logo Qafaa Na Ho Meri Ruqsath Hai Subha Shaam
Do Chaar Din Tumhare Muhalle Me Hai Muqaam
Rone Ki Dhoom Ho Chuki Ab Kaam Hai Tamaam
Ghabrati Hoon Watan Me Safar Ke Mahine Se
Baba Sidhare Kaam Mujhe Kya Madine Se
Ek Din Nigah Karte Hain Kya Shah-E- La Fatah
Madbaqh Hai Garm Aaride Jo Hai Gundha Huwa
Nahla Rahi Hai Bachown Ko Malmal Ke Dast-O- Pa
Phaila Diye Hain Kurte Bhi Dhokar Juda Juda
Pucha Ke Itne Kamoun Ka Jo Shugul Aaj Hai
Is Waqt Kuch Bahaal Tumhara Mizaaj Hai
Boli Ke Aaj Raat Ko Ho Jaungi Bahaal
Kal Mere Karobar Me Tum Honge Qud Nidhal
Qidmath Ka Mere Bachown Ki Hoga Kise Qhayaal
Nahla Dhula Diya Ke Parishan Tha Unka Haal
Kurte Bhi Dhowe Khooth Bhi Kal Tak Ka De Chali
Sehra Na Dekha Aik Ye Armaan Le Chali
Phir To Har Ek Muhalle Me Mahshar Bapa Huwa
Apne Paraae Dowdhe Ke Hai Hai Ye Kya Huwa
Fizza Pukari Syeda Ka Waqeya Huwa
Hujra Batool-E- Paak Ka Matam Sara Huwa
Chaati Khalaq Se Dekhne Waloun Ki Phat Gayi
Muh Rakh Ke Muh Pe Murde Ke Zainab Lipat Gayi
Mai Doodh Baqshwane Na Paai Ke Chal Basey
Sharbath Banake Lane Na Paai Ke Chal Basey
Kuch Haale Dil Sunane Na Paai Ke Chal Basey
Mai Be Naseeb Aane Na Paai Ke Chal Basey
Kya Jaid Tar Zamana Huwa Inteqaal Ka
Hai Hai Abhi To Sin Tha Kul Attharah(18) Saal Ka
Aye Meri Faaqa Kash Meri Naadar Amma Jaan
Aye Meri Be Dawa Meri Beemar Amma Jaan
Kaabe Ki Aabro Meri Sardaar Amma Jaan
Aye Meri Sabera Meri Naachar Amma Jaan
Nana Mu-Ee To Thi Koi Taaza Qitaab Do
Amma Jawab Do Meri Amma Jawab Do
Nanhe Se Sar Khule Hain Nahi Sar Pa Topiyan
Kahte Hain Kuch To Muh Se Nikalta Hai Haae Maa
Likha Hai Jab Janaze Pa Pahonche Wo Neem Jaan
Hasrath Se Dekha Murde Ka Muh Aur Ye Ki Fughaan
Amma Ghulaam Aaye Hain Ruqsath Ke Waaste
Jaati Ho Tum Nabi Ki Ziyarath Ke Waaste