Bano Ke Sheer Qhwaar Ko Haftum Se Pyaas Hai Marsiya Writeup, Lyrics
Bano Ke Sheer Qhwaar Ko Haftum Se Pyaas Hae
Bachche Ki Nabz Dekh Ke Maa Be-Hawaas Hae
Naa Doodh Hai Naa Paani Ke Milne Ki Aas Hae
Phirthi Hai Aas Paas Ye Jeene Se Yaas Hae
Kahthi Thi Kya Karoon Main Duhaai Hussain Ki
Puthli Phiri Hai Aaj Mere Noor-E- Ain Ki
Faryaad Ya Ali Main Kidhar Jaaun Ya Ali
In Daaghoun Ko Kahan Se Jigar Laaun Ya Ali
Kis Tarha Inki Saans Ko Tehraaun Ya Ali
Paani Ka Qhahat Hai Main Kahan Paaun Ya Ali
Pichli Ko Aankh Khole The Ab Kholthe Nahi
Rote Nahi Humakthe Nahi Bolthe Nahi
Aaqir Kaha Ye Sab Ne, Bulaao Imam Ko
Laao Khuda Ke Waasthe Laao Imam Ko
Is Bezabaan Ka Haal Sunaao Imam Ko
Neeli Ragen Gale Ki Dikhaao Imam Ko
Akbar Ki Laash Le Gaye Hain Qatlgaah Me
Koi Pukar Lo Woh Abhi Hongey Raah Me
Mu Par Jawaan Bete Ka Taza Lahu Lagaae
Matam Saraa Me Ganje Shahidaan Se Shaah Aaye
Jhule Pa Haath Pakde Huwe Ahlebaith Laye
Bachche Ke Haath Paaun Hila Kar Inhey Dikhaaye
Rokar Kaha Ke Sans Faqath Aashkaar Hai
Ho Iska Kya Hisaab Ke Dam Ka Shumaar Hai
Baithe Sarhaane Jhule Ke Shabbir Sar Jhukaaye
Asghar Ke Kaan Se Lab-E Moujiz Numa Milaae
Chupke Se Kuch Kaha Ke Wo Sunte Hi Muskuraaye
Soo-E- Hussain Haath Bhi Be Saaqtha Badhaae
Boli Sakina Baba Ne Mushkil Kushaayi Ki
Amma Mubarak Aankh Khuli Mere Bhaai Ki
Hathoun Pa Isko Leke Chale Shaah-E Karbala
Aur Saath Saath Goudh Ko Khole Huwe Qhazaa
Likha Hae Dhoop Tezz Thi Aur Garm Thi Hawa
Asghar Pa Maa Ne Daal Di Ujli Si Ek Ridaa
Chaadar Na Thi Wo Chahra-E Pur Aab-O- Taab Par
Tukda Sufaid Abr Ka Tha Aaftaab Par
Pahonche Qareeb-E- Fouj To Tyoraa Ke Reh Gaye
Chaaha Kare Sawaal Pa Sharma Ke Reh Gaye
Ghairath Se Rang Udd Gaya Tharra Ke Rah Gaye
Chaadar Pisar Ke Chehre Se Sarka Ke Rah Gaye
Aankhen Jhuka Ke Bole Ye Ham Inko Laaye Hain
Asghar Tumhaare Paas Gharz Leke Aaye Hain
Phir Hont Bezubaan Ke Choome Jhuka Ke Sar
Rokar Kaha Jo Kahna Tha So Kah Chuka Pidar
Baaqi Rahi Na Baath Koi Aye Mere Pisar
Sookhi Zabaan Tum Bhi Dikhado Nikaal Kar
Pheri Zaban Laboun Pa Jo Is Noor-E- Ain Ne
Tharra Ke Aasmaan Ko Dekha Hussain Ne
Moula Falak Ko Dekh Rahe The Ke Naagahaan
Li Hurmula Ne Shaane Se Do Taank Ki Kamaan
Tarkash Se Jab Ke Kheench Liya Teer-E Jaan Fishaan
Chodda Kamaan Se Taak-Ke Halqoome Be Zubaan
Chut-The Hi Halq Bachche Ka Cheydaa Jo Teer Ne
Tharra Ke Aasman Ko Dekha Sagheer Ne
Kya Sin Tha Teer Khatey Hi Bachchaa Dahel Gaya
Sookhe Gale Se Khoon Ka Darya Ubal Gaya
Tadpa Jo Shay Ke Hathoun Pa To Manka Dhal Gaya
Topi Giri Zameen Pa Aur Dam Nikal Gaya
Nanhi Kalaiyoun Me Tash-Nujh Se Bal Padey
Hichki Jo Aai Mu Se Angotte Nikal Padey
Mu Aasmaan Se Sheh Ne Phiraya Ke Kya Huwa
Dekha Ke Paar Halq Se Teer-E Jafaa Huwa
Bachcha Tadap Raha Hai Lahu Me Bhara Huwa
Aur Nanha Haath Zaqme Gulu Par Dhara Huwa
Aankhen Phiraae Dete Hain Teywar Badalthe Hain
Aage To Doodh Ugley They Ab Khoon Ugalthey Hain
Khaincha Gale Se Bachche Key Aahistha Shay Ne Teer
Aur Hatoun Pe Bulandh Kiya Laasha-E Sagheer
Gardan Jhuka Ke Bole Ke Aye Khaliqh-E Qadeer
Maqbool Ho Hussain Ka Ye Fidya-E- Aqeer
Shashmaha Koi Kushta-E Teere Sitam Nahi
Ye Bezubaan Naaqa-E-Saaleh Se Kam Nahi