Bala Utha Kay Haram Karbala Me Aatey Hai Marsiya Writeup, Lyrics
Bala Utha Kay Haram Karbala Me Aatey Hai
Mareez Shaam Kay Daarushafaa Mey Aathey Hain
Ajab Shikosey Dasht-E Balaa Mey Aathey Hain
Gham-E Hussain Mey Yaad-E Khuda Mey Aathey Hain
Jigar Kay Tukdey Bharey Daamanou Mey Aaye Hain
Yeh Qabr-E Sheh Par Chaddhaaney Ko Phool Laaye Hain
Bihaar Mey Hain Raqam Yeh Rivaayath-E Jaankar
Jab Aaye Ahley Haram Jaanib-E Shahaadath Gaah
Na Gul Na Shamma Mili Beykasoun Ki Qabr Pa Aah
Mujaaveri Ko Faqath Jabir Ibney Abdullah
Qureshi Aaye Hain Aur Haashmi Bhi Haazir Hain
Musaaferoun Kay Mujaaver Bhi Sab Musaafir Hain
Doh Shaamiyaaney Hain Baala-E Qabr-E Sibtey Rasool
Woh Ek Rehmath-E Haq Ek Aur Aahey Batool
Falak Sey Hoor-O Malak Ka Hai Fouj Fouj Nazool
Ziyarath-E Shahey Mazloom Kar Rahey Hain Husool
Lahadh Sey Akbar-O Asghar Kay Daagh Roushan Hain
Mazaar Ek Hai Par Doh Charaagh Roushan Hain
Idhar Aayaan Huvi Bas Zainab-E Khoojistha Khisaal
Udhar Lahadh Mey Tadapney Lagaa Rasool Ka Laal
Nida Mazaar Sey Jaabir Ko Di Ba Ranj-O Malaal
My Jeetha Hotha Toh Kartha Bahen Ka Isteqbaal
Sharaf Hai Fatema Ka Fatema Ki Jaayi Ko
Meri Tarf Sey Tu Jaa Uski Peishwaayi Ko
Chalaa Mayeh Rufaqaah Jaabir Khoojistha Nihaadh
Sar-E Hussain Liye Haathoun Par Milay Sajjad
Qadam Pa Gir Padhaa Jaabir Ba Naala-O Faryaad
Pukaari Abid-E Beykas Ko Zainab-E Naashaad
Galeh Lagaao Muhib-E Nabi Yeh Jaabir Hai
Yeh Turbath-E Shahey Mazloom Ka Mujaaver Hai
Galeh Lagaa Liya Jaabir Ko Shaahey Waala Ney
Galeh Pa Neel Rasan Kay Dikhaaye Aaqaa Ney
Kahaa Kay Loot Liya Bhaai Humko Aadaa Ney
Jo Hum Pah Hogaya Hum Jaaney Ya Khuda Jaaney
Sar-E Hussain Badee Mehnathoun Sey Laaya Hoon
Dubaarah Baap Ko My Dafn Karney Aaya Hoon
Taneh Hussain Sey Mulhaq Kiya Hussain Ka Sar
Huva Zameen Mey Goyaa Qiraan-E Shams-O Qamar
Lahadh Pa Taqtha-E Toobaah Qareenay Sey Rakh Kar
Pukaarey Abid-E Beykas Muhibboh Aao Idhar
Suno Bagoush Kay Is Dum Rasool Rothay Hain
Dubaarah Dafn Merey Babajaan Hothey Hain
Yeh Kehkay Roney Lagey Haaye Abid-E Beemaar
Mazaar-E Shaahey Ghareebaan Jo Ho Chukaa Taiyaar
Sarhaaney Bhait-Kay Sab Faateha Paddhey Ek Baar
Gharazz Kay Khaima-E Jaabir Mey Aaye Sab Deendaar
Haram Ney Qabr Pa Saamaan-E Ashko Aah Kiya
Sar-E Mazaar Bapaa Khaimaa-E Siyaah Kiya
Siyaah Khaimey Mey Uthrey Siyaah Poush Haram
Tawaaf-E Qabr Kiya Halqaa Baandh Kar Baaham
Sabhoun Ney Qabr Ko Baaloun Sey Jhaada Jab Usdam
Larazz Larazz Gayi Sadhmey Sey Qabr-E Shaahey Umam
Lahadh Pa Shah Ki Masnadh Bichaayi Zainab Ney
Salaam Kay Liye Gardhan Jhukaayi Zainab Ney
Lipatt Kay Qabr Sey Aawaaz Di Duhaayi Hai
Ek Arbayeen Sey Bahen Bhaai Mey Judaai Hai
Hussain Bhaai Bahen Bhooki Pyaasi Aayi Hai
Ummeedwaar-E Ziyafath Yeh Amma Jaayi Hai
Na Farsh Hai Na Makaan Hai Na Daana Paani Hai
Saqee Kay Laal Yehi Meri Mehmaani Hai