Aye Soug Waaro Aah O Buka Ka Maqaam Hai Marsiya Writeup, Lyrics
Aye Soug Waaro Aah O Buka Ka Maqaam Hai
Ab Ruqsath-E Hussain Alaihis Salaam Hai
Mehmaan Tumhaara Jaatha Hai Jo Tashna Kaam Hai
Sar Peeto Khaak Udaao Ke Maatam Tamaam Hai
Ab Wo Sadaa-E Haae Hussaina Na Aaegi
Ghar Me Tumhaare Faatema Zehra Na Aaegi
Aye Shaah-E Karbala Teri Qidmath Na Ho Saki
Aye Kushta-E Jafaa Teri Qidmath Na Ho Saki
Aye Jaane Faatema Teri Qidmath Na Ho Saki
Mehmaan-E- Nainawa Teri Qidmath Na Ho Saki
Jee Bhar Ke Rosake Na Ye Gardish Naseeb Ki
Majlis Ye Aaqri Hai Hussain-E Ghareeb Ki
Agle Bara Hussain Muharram Me Aaenge
Baaqi Rahi Hayaath Tho Ye Gham Manaaenge
Aur Faatema Ke Laal Par Aansu Bahaaenge
Gar Margaye Tou Qabr Me Ham Khaak Udaaenge
Tayaar Qaafela Hai Shah-E Mashraqain Ka
Lo Karbala Ko Jaatha Hai Kunba Hussain Ka
Abbas-E Baawafa Ali Akbar Na Jaaiye
Jhule Ko Qaali Chowd Ke Asghar Na Jaaiye
Lekar Baraath Qaasim-E Bepar Na Jaaiye
Veeran Makaan Hote Hai Sarwar Na Jaaiye
Aye Sadaa Na Rowo Azaadar Aaenge
Phir Agle Saal Apne Bhare Ghar Ko Laaenge
Bin Byaah Noujawaan Ali Akbar Bhi Aayenge
Nasgj-E Akan Je Saath Baradar Bhi Aayenge
Baano Ki Godh Me Ali Asghar Bhi Aayenge
Noushaah Banke Qaasim-E Bepar Bhi Aayenge
Zainab Ka Haath Thaame Sakina Bhi Aaegi
Ek Shab Ki Byaahi Fatima Kubra Bhi Aaegi
Zainab Ke Laal Baandhke Hathyaar Aaenge
Soghra Mareez Aabed-E Beemaar Aaenge
Shabbar Ke Saath Hyder-E Karrar Aaenge
Zehra Ko Thaame Ahmed-E Muqtaar Aaenge
Dil Kyun Na Beqaraar Ho Bint-E Rasool Ka
Majrooh Aaj Tak Bhi Hai Pahlu Butool Ka
Be Chain Faatema Hai Na Aansu Bahaao Tum
Mai Jaaraha Hoon Roke Na Mujh Ko Rulaao Tum
Zehmath Na Ho Tho Meri Ziyaarath Ko Aao Tum
Turbat H Pe Aake Ashkoun Ki Chaadar Chadhaao Tum
Mehmaan Jo Karbala Me Mere Paas Aaenge
Un Sab Ki Paishwaai Ko Abbas Aaenge
Lo Alvidaa Hota Hai Ruqsath Ye Tashna Kaam
Tum Rorahe Ho Maah-E Muharram Se Subh-O Shaam
Kousar Pe Apne Haath Se Doonga Mai Bhar Ke Jaam
Ruqsath Hussain Hota Hai Tum Par Mera Salaam
Dono Jahaan Me Qush Raho Aur Shaad Tum Raho
Amma Duaaen Dethi Hain Aabaad Tum Raho
Haan Aashiqo Hussain Ki Aah-O Bukaa Karo
Zehra Ka Saath Do Madad-E Mustafa Karo
Haqq-E Mohabbath-E Shah-E Bekas Adaa Karo
Ab Kooch Hai Hussain Ka Mehshar Bapaa Karo
Lo Ab Vidaa Kijiyo Aal-E Rasool Ko
Do Aaqri Hussain Ka Pursa Butool Ko
Aye Tashna Kaam-O Bekas-O Nakaam Alwedaa
Aye Mubtelaa-E Hasrath-O Aalam Alwedaa
Aye Bekafan Ali Ke Gul Andaam Alwedaa
Mazbooh Taigh-E Shimr Bad Anjaam Alwedaa
Muzlumiyath Pe Aapki Jaan Apni Khoenge
Jab Tak Hai Zinda Aapke Maatam Me Roenge
Aye Shah-E Karbalaa-E Moalla Salaam Lo
Ham Bekasoun Ke Waali-O Moula Salaam Lo
Aqaa Salaam Lo Shah-E Waala Salaam Lo
Aye Faatema Ke Chaand Hamaara Salaam Lo
Ruqsath Ye Aaqri Hai Dilafgaar Aaye Hain
Moula Salaam Lo Ye Azaadaar Aaye Hain