Aye Momino Hussain Se Maqtal Qareeb Hai Marsiya Writeup, Lyrics
Aye Momino Hussain Se Maqtal Qareeb Hai
Aaqir Hae Umr Manzil-E- Awwal Qareeb Hai
Shahr-E- Madina Door Hae Jangal Qareeb Hai
Zehra Ka Chand Chupta Hae Baadal Qareeb Hai
Lene Ke Waaste Malakul Mout Aate Hain
Marad Ko Apne Paaun Se Shabbir Jaate Hain
Al Qissa Manzil-E- Aaqir Ayaan Huwi
Lekin Ye Subha Sibte Nabi Ko Kahan Huwi
Jisja Sawari Ruki Na Aage Rawaan Huwi
Hairaan Sipaah Qusro Koun-O- Makaan Huwi
Che Ghode Badle Dosh-E- Nabi Ke Sawaar Ne
Lekin Qadam Badhaya Na Ek Raahwaar Ne
Jumbish Na Markaboun Me Na Paai Hussain Ne
Ek Mushk Qaak Jhuk Ke Uthaai Hussain Ne
Qud Sunghi Aur Bahan Ko Sunghaai Hussain Ne
Hamsheer Ki Suni Ye Duhaai Hussain Ne
Hae Hae Ye Qhaak Phainko Meri Jaan Jaati Hai
Bhayya Tumhare Khoon Ki Bu Is Me Aati Hai
Bashindoun Ko Wahan Ke, Ye Moula Ne Di Nidaa
Naam Is Zameen Ke Jitne Ho Lo Tum Juda Juda
Wo Bol Aap Ko Ho Mubarak Harek Balaa
Ye Nainawa Hae, Maariya Hae, Aur Karbala
Maabood Ye Qaleel Ka Gunbad Maseeh Ka
Shah Bole Ab Ye Hoega Madfan Zabeeh Ka
Abbas Ko Pukare Na Aage Alam Badhaao
Manzil Yahi Hae Chaoni Pardesiyoun Ki Chaao
Hamshakl-E- Mustafa Ko Nida Di Badhe Na Jaao
Beta Qanaathen Ghero Sarache Yahin Lagao
Ghurrah Ko Tu Huwa Bithaa Ke Bahan Ko Shah-E- Huda
Daswin Ko Hoga Fatima Zehra Ka Ghar Tamaam
Al Qissa Qaime Hogaye Istaada Ja Baja
Aur Qaimou Mey Utharney Lage Aale Mustafa
Dewdi Se Par Kajaawe Zainab Nahi Mila
Khud Ehtemaam Karne Lage Shah-E Karbala
Roki Qanaath Akbar-O Kasim Ne Aan Kar
Abbas Gird Phirne Lage Naiza Taan Kar
Masnad Pa Yaan Bithaa Ke Bahan Ko Shah-E- Huda
Kursi Bichaa Ke Baithe Qharibe Haram Sara
The Dast Bastha Gird Jawanaane Mahtaqa
Leleke Nazren Aai Zameen Daare Karbala
Istaadah Farte Gham Se Jo Shabbir Hogaye
Nazroun Pa Haath Rakh Ke Baghai Geer Hogaye
Bithlake Pahluoun Me Unhe Ye Kiya Bayaan
Aye Karbalaiyo Main Tumhara Hoon Mehmaan
Zalim Mujhe Sataate Hain Jata Hoon Main Jahan
Baecho Jo Ye Zameen To Chand Din Rahoon Yahaan
Rahne Se Yaan Hamare Sab Aaram Paaenge
Khaake Shifa Tumhari Zameen Ko Banaenge
Deenar Deke Saatt Hazaar Unko Ye Kaha
Main Ne Tumhe Ye Baqshi Zameen Tum Karo Hiba
Shabbir Ke Maamle Par Sab Ne Ro Diya
Likhne Laga Qabala Zamindaare Karbala
Ghul Padgaya Hussain Watan Ko Na Jaenge
Lo Moul- Li Zameen Yahin Basti Basaenge
Marqoom Horaha Tha Qhabala Ke Nagahaan
Qalme Se Ek Zan-E- Arabiya Huwi Ayaan
Sar Ta Qadam Libas Me Sara Badan Nehaan
Par Uspa Bhi Aya Se Larazthe The Isteqaan
Betaab Hoke Ulfate Akbar Me Aai Thi
Raavi Ne Ye Likha Hae Wo Zehra Ki Jaai Thi
Lekar Balaen Bhai Ke Kuch Kaan Me Kaha
Aur Jaldi Yun Phiri Ke Na Saaya Nazar Pada
Kursi Se Yaan Tadap Ke Gire Shah-E- Karbala
Abbas Ne Utha Ke Kaha Haae Kya Huwa
Moula Bataa Qhasam Tujhe Shireen Butool Ki
Kya Kahgayi Nawasi Janab Rasool Ki
Shah Bole Aah Mujh Se Ye Zainab Ka Tha Kalaam
Bhayaa Qhabala Me Ali Akbar Ka Huwe Naam
Yani Ke Uski Milk Me Ho Ye Zamin Tamaan
Abbas Jaao Kahdo Ke Majboo Hae Imaam
Attarah Saal Ke Ye Zamane Se Jaaenge
Ke Qabr Ki Jagah Ali Akbar Bhi Paaenge
Abbas Aaye Qaime Me Kehne Ko Ye Payaam
Zainab Ne Dekhte Hi Unhen Ye Kiya Kalaam
Kyun Bhai Meri Baat Pa Raazi Huwe Imaam
Likha Gaya Qhabala Me Akbar Ka Mere Naam
Dulha Banaaungi Main Dulhan Biyaah Laungi
Akbar Ke Naam Ki Yahan Basti Basaungi
Ab Waqt Hai Dua Ka Ke Hai Shiddath-E Buka
Aaye Kahi Dabeer Mohib-Baane Murtuza
Yarab Hai Jitne Shiyya Sultaane Laafata
Maqsad Baraaye Sabke My Baaniye Aza
Ya Rab Na Koi Gham Ho Inhe Juz Ghame Hussain
In Dostou Ke Haath Ho Aur Maatamey Hussain