Aye Momino Hussain Pe Shiddat Ki Pyaas Hai Marsiya Writeup, Lyrics
Aye Momino Hussain Pe Shiddat Ki Pyaas Hai
Jangal Me Fatema Ka Pisar Be Hawaas Hai
Yaawar Na Koi Hai Na Koi Bhaai Paas Hai
Laashe Uthaake Laane Se Moula Udaas Hai
Loo Chal Rahi Thi Pyaas Thi Waqt-E Zawaal Tha
Be Chain Ran Me Dhoop Se Zehra Ka Laal Tha
Aye Momino Qayaal Karo Dil Me Tum Zara
Wo Pyaas Aur Wo Zaqm Wo Sehraa-E Karbala
Wo Saamne Ki Dhoop Wo Zaqmoun Ka Mu Khula
Wo Loo Se Phat- Tha Zaqmoun Ka Wo Dard Wo Jafaa
Kya Dukh Uthaa-E Fatema Ke Noor-E Ain Ne
Aafath Sahi Tumhaare Liye Ye Hussain Ne
Aada Se Kahrahe The Ye Moula Ghareeb Hoon
Allah Ke Habeeb Ka Yaaro Habeeb Hoon
Ek Dam Me Dam Nikaltha Hai Ab Anqareeb Hoon
Zaqmi Hoon Begunaah Hoon Aafath Naseeb Hoon
Tum Jiske Kalma Go Ho Mai Uska Nawaasa Hoon
Paani Pilaake Zibha Karo Yaaro Pyaasa Hoon
Kahthe The Ye Hussain Ke Ek Zalzalaa Huwa
Saathoun Tabaq Zameen Ke Hile Aasmaan Hila
Naagaah Aai Fatema Zehra Ki Ye Sadaa
Waqt-E- Namaaz-E Asr Bhi Nazdeek Aagaya
Tifli Me Jo Kaha Tha Wo Waada Wafaa Karo
Jhuk Kar Hussain Shukr Ka Sajda Adaa Karo
Jisdam Suni Hussain Ne Zehra Ki Ye Sadaa
Qouf-E Qudaa Se Kaanp Gaye Sar Se Taaba Paa
Ghash Khaake Farsh-E Zeen Se Gire Wa Musibataa
Har Zaqm Se Mikalne Lagi Shukr Ki Sadaa
Sajde Me Sar Tha Dhyaan Tha Us Kaar-O- Saaz Par
Rote The Shaah Sar Dhare Qaak-E Niyaaz Par
Jisdam Laeen Ne Door Se Dekha Ye Maajara
Shimr-E Laeen Ko Paas Bulaakar Ye Tab Kaha
Sibt-E Rasool Qaak Pa Behosh Hai Padaa
Kya Dekhtha Hai Waqt Phir Aisa Na Aaega
Zaqmoun Se Choor Hai Tan-E Ather Hussain Ka
Haan Jald Jaake Kaatle Ab Sar Hussain Ka
Ye Mishda Sunke Aagaya Laalach Me Wo Laeen
Qanjar Pakad Ke Aaya Qareeb-E- Imaam-E Deen
Chaathi Pa Zaanu Rakh Ke Chadhaai Jo Aasteen
Tab Noor-E Chashm-E Fatema Ne Aankhen Khol Din
Dekha Tho Koi Dost Hai Na Ghamgusaar Hai
Qanjar Gale Pa Seene Pa Qatil Sawaar Hai
Farmaaya Shah Ne Koun Hai Too Aye Sitam Sheyaar
Kyun Mere Zaqmi Seene Pa Aakar Huwa Sawaar
Qanjar Mere Gale Pa Jo Rakhtha Hai Baar Baar
Samjha Hai Kis Qataa Pa Mujhe Too Gunaah Gaar
Deta Hai Ranj Rooh-E Risaalat Panaah Ko
Kyun Zibha Karne Aaya Hai Mujh Begunaah Ko
Ispar Bhi Kuch Na Dil Me Laeen Ke Asar Huwa
Qanjar Se Kaatne Laga Mazloom Ka Gala
Uswaqt Aai Fatema Zehra Ki Ye Sada
Aye Shimr Mera Laal Hai Be Jurm-O Be Qataa
Ye Zulm Mustafa Ke Nawaase Ke Halq Par
Qanjar Na Phair Bhuke Ke Pyase Ke Halq Par
Mai Ne Bade Dukhoun Se Hai Paala Hussain Ko
Naahaq Tu Zibha Kartha Hai Pyaasa Hussain Ko
Lillah Na Zere Tegh Tu Tadpa Hussain Ko
Phat The Hain Zaqm Hoti Hai Eizaa Hussain Ko
Zaalim Kaleja Phat-Tha Hai Mujh Dil Malool Ka
Bach-Che Ko Mere Chodd-De Sadqha Rasool Ka