Alam Sajao Kisi Berida Ko Yaad Karo Noha Writeup, Lyrics
Bicha Ke Farshe Aza, Fatema Ko
Yaad Karo
Alam Sajao Kisi Berida Ko Yaad Karo
Siyah Kapde Badan Par Ho Sirf Is Gham May
Ruke Na Aankh Se Aansu Kabhi Moharram May
Libaas-E-Hazrate Zainuleba Ko Yaad Karo
Alam Sajao Kisi Berida Ko Yaad Karo
Kabhi Sabeel Se Pani Piyo To Ye Kehkar
Mai Teri Pyaas Pe Kurban Hussain Ki Dukhtar
Kabhi Sakina Kabhi Ba Wafa Ko Yaad Karo
Alam Sajao Kisi Berida Ko Yaad Karo
Galay May Shaal E Aza Aur Haath
Seeno Par
Alam Uta Ke Chalo Yun Dahakte Sholon Par
Jo Bekaso Pe Huwi Us Jafa Ko Yaad Karo
Alam Sajao Kisi Berida Ko Yaad Karo
Jhoola Jhulao Kisi Be Zaban Ka Jab Bhi
To Yaad Karna Zara Bekasi Wo Bano Ki
Kabhi Rubab Ki Aaho Buka Ko Yaad Karo
Alam Sajao Kisi Berida Ko Yaad Karo
Ghame Hussain Mila Hai Tumhe Muqaddar Se
Sada Hussain Ka Matam Ki Aaye Ghar Ghar Se
Hussain Hussain Karo Karbala Ko Yaad Karo
Alam Sajao Kisi Berida Ko Yaad Karo
Wo Jis Ne Deen Ke Khaatir Luta Diya Ghar Ko
Khuda Ki Raah May Jis Ne Kata Diya Sar Ko
Pado Namaz To Us Be-Khata Ko Yaad Karo
Alam Sajao Kisi Berida Ko Yaad Karo
Alam Jo Hazrate Abbas Ka Utha-Te Hai
Dil E Batool Se Lakho Duayein Paate Hai
Alam Ke Saye May Aao Dua Ko Yaad Karo
Alam Sajao Kisi Berida Ko Yaad Karo
Kabhi Ye Soch Ke Tum Dekhna Pharay-Re Ko
Yahi To Zainab-E-Muztar Ki Aas Tha Logon
Alam Ko Dekho To Us Berida Ko Yaad Karo
Alam Sajao Kisi Berida Ko Yaad Karo
Bahen Ke Saamne Dulha Bane Koi Bhai
Jo Apne Bhai Ka Sehra Na Dekhne Paayi
Usi Ghareeb Behen Ki Sada Ko Yaad Karo
Alam Sajao Kisi Berida Ko Yaad Karo
Khuda Na Khasta Kismat Ye Din Jo Dikhlaye
Kisi Jawan Ko Jawani May Maut Aajaye
To Hum Shabihe Nabi Ki Kaza Ko Yaad Kare
Alam Sajao Kisi Berida Ko Yaad Karo
Jo Qatl-Gaah Ko Balon Se Jhaad Kar Royi
Sada Hai Mazhar O Irfan Ye Usi Maa Ki
Meri Ghareeb Mere Be-Khata Ko Yaad Karo
Alam Sajao Kisi Berida Ko Yaad Karo