Zindaan Ke Andhere Me Sakina Kay Thay Naale Salaam Writeup, Lyrics
zindaan ke andhere me sakina kay thay naale
ay paalne waale ay paalne waale
kya dekh na paoongi mai ab ghar ke ujaale
ay paalne waale ay paalne waale
ya rab na koi dekhay meri aisi yateemi
aur aisi aseeri
taqdeer kisi aur ko zindaan may na daale
ay paalne waale….
phir dekhloon ek baar mai darya ka wo manzar
ammu hai jahan par
ye faasle maalik meri aankhon se hataale
ay paalne waale…
mai haaye chacha kehkay jo hojati hoon giriya
ro dete hai phupiyaan
lekin koi kis tarha bhala ashq sambhaale
ay paalne waale…..
paidal rah-e-koofa mai kayi meel chali hoon
naazon ki pali hoon
takleef bahut detay hai ab paaon kay chaalay
ay paalne waale….
mar jaunge ghut ghut ke sukoon pa na sakoongi
ghar ja na sakoongi
kya ab na khulengay kabhi zindaan ke taalay
ay paalne waale…..
mabood mujhe zindagi apni nahi pyari
bemaar pe waari
bhai mera zinda rahe tu mujhko uthaale
ay paalne waale….
kya hogi isi qaid may ek din meri turbat
haye meri ghurbath
ho jaungi zindan ke mitti ke hawaale
ay paalne waale….
moula tujhe zindan ki us sabr ki qasme
us khabr ki qasme
nayyar ko zamane ki buraon se bachale
ay paalne waale