Zindaan E Gham Tha Moosa E Kazim Ke Waastey

Zindaan E Gham Tha Moosa E Kazim Ke Waastey Marsiya Writeup, Lyrics

Zindaan E Gham Tha Moosa E Kazim Ke Waastey
Taaza Sitam Tha Moosa-E Kazim Ke Waastey
Aaraam Kam Tha Moosa-E Kazim Ke Waastey
Behad Alam Tha Moosa-E Kazim Ke Waastey
        Chut Kar Pidar Se Haamil-E Raj-O Alam Rahe
        Paaband Hukm-E Haq Ke Imaam-E Zaman Rahe

Be-Dil Tha Inquilaab-E Jahaan Se Shah-E Anaam
Dunyaa-E Deen Ke Naam Se Nafrath Hi Madaam
Beshak Saraa-E Daher Hai Ibrath Fizaa Muqaam
Hai Subha Ko Sabaath Ka Kuch Etebaar-E Shaam
        Gar Noor Ka Amal Kabhi Zulmath Ka Dour Hai
        Din Ki Kuch Aur Shaam Ki Haalath Kuch Aur Hai

Pyaara Bahot Tha Jaafar-E Saadiq Ko Apna Maah
Hazrath Ke Baad Abr-E Sitam Ne Na Di Panaah
Noor-E Quda Se Phir Gaye Aadaa-E Ru Siyaah
Izz-O Sharaf Me Shah Ke Na Thi Jaa-E Ittebaah
        Dil Mutmain Tha Rahmath-E Haq Ke Nuzool Se
        Seen Bhara Huwa Tha Uloom-E Rasool Se

Hallale Mushkilaath Ke Waaris Imaam-E Deen
Maalik Har Aasmaan Ke Muqtaar-E Har Zameen
Farmaa Rawaa-E Mulke Vilaayath Ke Jaanasheen
Mashoor Do Jahaan Me Jahaandaar Jaftameen
        Aathe The Kis Adab Se Malak Baargaah Me
        Hyder Ka Taqt-O Taaj Tha Sarkaar-E Shaah Me

Saadaath Ko Rayisoun Ko Naaqe Kiye Raqam
Jaahil Ne Bheje Khat Ulama Ko Bhi Ek Qalam
Mazmoon Ye Tha Ke Makke Me Aaye Arab Ajam
Iqraar Me Karam Hai Aur Inkaar Me Sitam
        Maanenge Hukm Jinko Alaaqa Hai Deen Se
        Baiyyath Kare Sab Aake Mere Jaanasheen Se

Hargiz Mujhe Ithaa- Athe Kaazim Nahi Qubool
Main Chaahtha Hoon Qiad Karoon Unko Ya Rasool
Rakhtha Hai Uski Zaat Khataktha Hai Dil Malool
Barpa Huwa Fisaad To Phir Usse Kya Husool
        Tadbeer Wo Karoon Mai Ke Qissa Hi Paak Ho
        Aisa Naho Huzoor Ki Ummath Halaak Ho

Tha Rouza-E Rasool Me Sultaan-E Ins-O Jaan
Mashghool Tha Namaaz Me Wo Haadiye Jahaan
Pahonche Malaazemeen Sitamgar Ke Naagahaan
Kyun Kar Mai Zaalimoun Ki Shifaa-Ath Karoon Bayaan
        Nargha Siyah Kaaroun Ne Ekbaar Karliya
        Us Aa Huwe Haram Ko Giraftaar Kar Liya

Hai Haath Khainchthe Huwe Jab Le Chale Shaqi
Faryaad Shah Ne Ki Taraf-E Turbat-E Nabi
Rokar Kaha Ke Dekhiye Qaadim Ki Bekasi
Kya Zulm Mujh Pe Karthi Hai Ummath Janaab Ki
        Darthe Nahi Ye Log Quda-O Rasool Se
        Rakhthe Hain Bughz Nasl-E Ali-O Butool Se

Haaroon Ka Tha Hukm Ke Ho Qatl-E Shaah-E Deen
Chal Sakthi Thi Na Haamil-E Basra Ki Taigh Keen
Haalath Wo Dekhtha Tha Ke Dil Us Ka Tha Hazeen
Sajde Me Rahthi Thi Shah-E Abraar Ki Jabeen
        Karthe The Sabr Apne Buzurgoun Ki Shaan Se
        Nikli Na Zaalimoun Ki Shikaayath Zabaan Se

Ye Kaar-E Saqt Aur Kisi Ke Supurd Kar
Warna Reha Karoonga Mai Syed Ko Beqatar
Ghabraaya Padh Ke Khat Ki Ibaarath Ko Ahl-E Shar
Baaz Aaya Zulm Se Na Sitamgar Wo Bad Gohar
        Baasre Se Bewafaa Ne Bula Bheja Shaah Ko
        Boghdaad Me Aseer Kiya Begunaah Ko

Ghamqhwar Qaid Khaane Me Thi Ya Zuljalaal
Sajdoun Ko Tool Dete The Sultaan-E Qush Qisaal
Faaqoun Se Ghul Gaya Tha Badan Zouf Tha Kamaal
Uthna Tha Naagawar Naqaahat Ka Tha Ye Haal
        Samjha Nigaah Jis Ki Padi Jism-E Paak Par
        Kapda Pada Huwa Hai Koi Farsh-E Khaak Par

Aaqir Tadap Tadap Ke Musaafir Guzar Gaya
Mazloom Qaid Qaane Ko Veeraan Kar Gaya
Hyder Ke Paas Waaris-E Qairul Bashar Gaya
Boghdaad Me Madine Ka Sultan Margaya
        Samaan Tha Kya Nabi Ke Yagaane Ke Waastey
        Mazdoor Aaye Laash Uthaane Ke Waastey