Zaqmi Jo Ran Me Qasim E Gul Pairahan Huwa Marsiya Writeup, Lyrics
Zaqmi Jo Ran Me Qaasim-E- Gul Pahrahan Huwa
Paida Shahaana Jode Se Range Kafan Huwa
Bhaage Jinaan Rasool Ko Baitul Hazan Huwa
Aur Fouj-E- Keen Me Shaad Har Ek Tegh Zan Huwa
Ghul Tha Ke Round Daala Hae Lashkar Ke Bagh Ko
Haanghaazlou Bujhaado Hassan Ke Charaagh Ko
Ghabraagae Ye Sun Ke Sada Sarwar-E- Anaam
Abbas-E- Naamwar Ye Usdam Kiya Kalaam
Lo Bhaai Jung Ho Chuki Qissa Huwa Tamaam
Aaya Su-E- Yateem-E- Hassan Mouth Ka Payaam
Hamshakl-E- Mustafa Ko Bulalo Pukaar Ke
Maango Duaa Sarounse Amaame Utaar Ke
Ye Kahke Qibla Ruq Hue Sultaan-E- Kaaenath
Dargaah-E- Kibriya Me Duaa Ki Uttha Ke Haath
Aye Qaaleq-E- Zameen-O- Zamaan Rabb-E- Paak Zaath
In Zalimoun Ke Haath Se Qaasim Ko De Najaath
To Haafez-E- Jahaan Hae Kareem -Ar- Raheem Hae
Ya Rab Bacha Ise Ke Ye Baccha Yateem Hae
Nikla Ye Sab Ke Mu Se Ke Hae Hae Hassan Ke Laal
Zainab Ne Uth Ke Khol Diye Apne Sar Ke Baal
Seene Me Hil Gaya Dil-E- Bano-E- Qush Qisaal
Chillai Maa Guzar Gaya Kya Mera Now Nehaal
Abid Ka Tip Se Garm Badan Sard Ho Gaya
Qasim Ke Chote Bhai Ka Mu Zard Ho Gaya
Chillai Roke Zouja-E- Abbas-E- Nowjawaan
Ya Rab Hae Too Yateem-E- Hassan Kaa Nigaahbaan
Sunkar Ye Ghul Dulha Ke Bhi Aansu Huwe Rawaan
Lekar Balaaen Saas Pukaari Ke Meri Jaan
Qaaleq Karega Raham Na Aah-O- Bukaa Karo
Dulha Pa Aa Bani Hae Mai Sadqe Duaa Karo
Is Izteraab Me Jo Sunaa Saas Ka Suqan
Zanu Se Sar Uthaa Ke Huwi Qibla Roo Dulhan
Aahista Ki Ye Arz Ke Aye Rabb-E- Zulmenan
Dushman Pa Fatha Yaab Ho Laqte Dil-E- Hassan
Ladne Gaye Hain Tishna Dahan Teri Raah Me
Rakh Mere Ibn-E- Amm Ko Tu Apni Panaah Me
Yaarab Dulhan Bane Mujhe Guzri Na Aik Shab
Dulha Jo Margaya To Mujhe Kya Kahenge Sab
Ab Tak To Sharm Se Na Hilaae The Main Ne Lab
Par Kya Kkaroon Ke Ab Hae Meri Rooh Par Ta- Ab
Shabbar Ke Aaftab Ka Waqt-E Ghuroob Hai
Dulha Se Pahle Mujh Ko Uthaale To Qoob Hai
Sehre Ke Phool Bhi Abhi Sookhe Nahi Hain Aah
Jo Aagaya Piyaa Radaape Ka Ya Ilaah
Ye Uqda Tha Ke Mout Thi Maatam Tha Ya Ke Byaah
Baad Iske Hoga Qalq Me Kyun Kar Mera Nibaah
Utthoon Jahaan Se Dilbar-E- Shabbar Ke Saamne
Aurath Ki Mout Qoob Hae Shouhar Ke Saamne
Ghash Me Jhuka Faras Pa Jo Wo Gheerath-O- Qamar
Maara Kisi Ne Farq Pa Ek Gurz Taan Kar
Barchi Lagi Jo Sheesh Ki Tukde Huwa Jigar
Girte The Asp Se Ke Kamar Par Laga Tabar
Taareq Ki Tegh Kha Ke Pukaare Imam Ko
Faryaad Ya Hussain Bachalo Ghulaam Ko
Jhapte Jo Shaah Fouj Pa Chamka Ke Zulfeqaar
Bijli Giri Yazeed Ke Lashkar Pa Aik Baar
Is Ghaiz Me Yameen Se Jo Aae Soo-E- Yasaar
Bhaage Phiraake Ghowdoun Ki Baagoun Ko Sab Sawaar
Bhaagad Me Qoon Se Ran Ki Zameen Laal Hogayi
Dulha Ki Laash Ghodown Se Pamaal Hogayi
Dekha Imaam Ne Ke Radadthe Hain Aidiyaan
Sookhe Huwe Laboun Pa Hai Ainti Huwi Zabaan
Damaad Se Lipat Gaye Hazrath Basad Fughaan
Be Jaan Huwa Hussain Ke Aage Wo Neemjaan
Jab Laash Uthaai Shah Ne To Choor Isteqwaan The
Sab Chand Se Badan Pe Sumoun Ke Nashaan The
Lasha Udhar Se Laae Shahinshaah-E- Karbala
Dowdhe Idhar Se Peet Te Namoos-E- Mustafa
Fizza Thi Aage Aage Khule Sar Barahna Paa
Aai Jo Sahan Me To Ye Bewoun Ko Di Sadaa
Hatjaae Jin Se Door Ka Naatha Hae Saahibo
Dulha Dulhan Ke Leno Ko Aatha Hae Saahibo