Zakhmi Sina Se Ran Me Jo Sheh Ka Pisar Huwa

Zakhmi Sina Se Ran Me Jo Sheh Ka Pisar Huwa Marsiya Writeup, Lyrics

Zaaqmi Sina Se Ran May Jo Sheh Ka Pisar Huwa
Har Simt Se Laeen Har Ek Hamlawar Huwa
Tar Qhoon Me Muraqqa-E- Qairul Bashar Huwa
Aaqir Juda Iqaab Se Wo Seembar Huwa
        Maqtal Me Kya Hujoom Tha Is Noor-E- Ain Par
        Parwane Gir Rahe The Charagh-E- Hussain Par

Girna Tha Bas Ke Sar Pa Laga Gurz Hae Sitam
Yun Jhuk Gaye Ke Hote Hain Sajde Me Jaise Qam
Rakhdi Gale Pa Sheesh Ne Shamsheer-E- Tez Dam
Talwar Ek Padi Ke Huwi Pasliyaan Qhalam
        Ghul Tha Karo Na Raham Tan-E- Paash Paash Par
        Dowdha Do Ghode Akbar-E- Mahru Ki Laash Par

Hazrath Khade The Qaime Ki Pakde Huwe Tanaab
Sun Kar Ye Ghul Rahi Na Dil-E- Naatawaan Ko Taab
Naagaah Aai Ran Se Sadaa-E- Falak Janaab
Beta Jahan Se Jaata Hae Ab Aaiye Shitaab
        Laashe Pa Zulm-0- Jour-O- Bad Affal Karte Hain
        Ghodown Se Ahl-E- Keen Hamen Pamaal Karte Hain

Sunkar Ye Istaghasa-E- Farzand-E- Qushqisaal
Syed Ne Aah Ki Ke Hilaa Arsh-E- Zuljalaal
Khole Janaab-E- Fatema Ki Betiyoun Ne Baal
Bano Pukari Qair To Hai Aye Ali Ke Laal
        Hae Hae Pisar Se Kounsi Maadar Bichad Gayi
        Saaheb Bataao Kya Meri Basti Ujad Gayi

Neze Se Kiske Laal Ka Zaqmi Huwa Jigar
Karte Hain Kiski Laash Ko Pamaal Ahl-E- Shar
Kahta Hai Koun Ran Me Tadap Kar Pidar Pidar
Ab Ghar Se Main Nikalti Hoon Ya Syedul Bashar
        Pardah Na Mujh Se Kijiye Sab Jaanti Hoon Mein
        Aawaz Ye Usi Ki Hai Pahchanti Hoon Main

Bano Ko Qasmen Deke Chale Shaah-E- Naamdaar
Wo Pyas Aur Wo Dhoop Ka Sadma Wo Izteraab
Dil Tha Ulat Pulat To Kaleja Tha Be Qaraar
Uth The The Aur Zameen Pa Girthe The Baar Baar
        Chillathe The Shabih-E Payambar Ham Aathe Hain
        Ghabraaiyo Na Aye Ali Akbar Ham Aathe Hain

Asun Kidhar Ko Aye Ali Akbar Jawab Do
Chilla Rahi Hae Dewdhi Pa Maadar Jawaab Do
Akbar Baraa-E- Qaaleq-E- Akbar Jawaab Do
Beta Jawaab Do Mere Dilbar Jawaab Do
        Girte Hain Ham Sawaab Ka Hathoun Se Kaam Lo
        Beta Zaeeef Baap Ke Baazu Ko Thaam Lo

Ye Sun Ke Khenchli Shah-E-Wala Ne Zulfeqaar
Chamki Jo Barq Tegh To Bhaage Sitam Sheyaar
Shah Ko Nazar Pada Ali Akbar Ka Raah Waar
Chilla-E- Aye Aqaab Kidhar Hae Tera Sawaar
        Dikhlado Mujhko Laash Mere Noor-E- Ain Ki
        Kis Dasht Me Padi Hai Bizaath Hussain Ki

Hichki Ke Saath Kahte Hain Wa Karke Chashme Tar
Aye Jaan Jism-E- Zaar Me Ek Dam Zara Tahar
Aye Mout Bewatan Ki Jawaani Pa Raham Kar
Aye Dard Tham Zara Ke Padhakta Hae Ab Jigar
        Phir Aik Baar Sye-E- Waala Ko Dekhloon
        Mohlat Bas Itni Deke Main Baba Ko Dekh Loon

Dushman Ko Bhi Na Bete Ka Lasha Quda Dikhaae
Hazrath Zameen Pa Girka Pukaare Ke Haae Haae
Zinda Rahe Ye Peer-O- Jawaan Youn Jahaan Se Jaae
Aye Laal Teen Roz Ke Faaqe Me Zaqm Khaae
        Shayad Jigar Ke Zaqm Se Tum Beqaraar Ho
        Zaqmi Tumhaari Chaati Pa Baba Nisaar Ho

Kyun Khenchte Ho Paaun Ko Aye Mere Gul-E-Zaar
Kyun Haath Utha Utha Ke Patakte Ho Baar Baar
Aankhen To Kholdo Ke Mera Dil Hai Beqaraar
Beta Tumhari Maa Ko Tumhara Hai Intezaar
        Bahnen Khadi Hain Dar Pa Tere Ishteyaaq Me
        Akbar Tumhari Maa Na Jiyegi Firaaq Me

Hazrath Ye Kahte The Ke Chala Qhalq Se Pisar
Itni Zubaan Khuli Ke Quda Hafez Aye Pidar
Hichki Jo Aai Thaam Liya Haath Se Jigar
Angdaai Leke Rakhdiya Shah Ke Qadam Pa Sar
        Aabad Ghar Luta Shah-E- Waala Ke Saamne
        Bete Ka Dam Nikal Gaya Baba Ke Saamne