Zakhmi Jo Ran Me Fatima Ka Gulbadan Huwa

Zakhmi Jo Ran Me Fatima Ka Gulbadan Huwa Marsiya Writeup, Lyrics

Zakhmi Jo Ran Me Fatima Ka Gulbadan Huwa
Aur Purze Purze Tan Me Libaas-E Kohan Huwa
Ghash Pusht-E- Zuljanaah Pa Shaah-E Zaman Huwa
Dast-E Alam Se Chaak Nabi Ka Kafan Huwa
        Zaqmoun Ke Mu Se Qhoon Ke Darya Ubal Pade
        Sar Nange Qabr Se Shah-E Mardaan Nikal Pade

Mazloom Kahtha Jaatha Tha Main Be Gunaah Hoon
Maaro Na Mujh Ko Sibt-E Risaalath Panaah Hoon
Tum Logoun Ka Quda Ki Qasam Qair Qwaah Hoon
Is Khowl Par Quda Ko Main Rakhtha Gawaah Hoon
        Kuch Raham Aatha Tha Na Kisi Naabakaar Ko
        Shamsheeren Maarthe The Ghareebud Dayaar Ko

Nezaa Laga Jo Seene Pa Tharra Ke Rah Gaye
Baitha Jo Teer Maathe Pa Teouraa Ke Rah Gaye
Girne Lage To Haathoun Ko Latkaake Rah Gaye
Shukr-E Quda Zubaan Se Farmaake Rah Gaye
        Akbar Na The Jaluh Me Na Abbas Paas The
        Mazloom Beech Me Tha Adoo Aas Paas The

Seene Pa Bhala Rakh Ke Giraaya Hussain Ko
Ji Bhar Ke Zaalimoun Ne Sataaya Hussain Ko
Girne Pa Khaak Thoda Banaya Hussain Ko
Hai Zulm Ki Ye Had Ke Ghash Aaya Hussain Ko
        Par Dekhiyo Hawaas Shahinshaah-E Naik Ke
        Sajde Me Sar Jhukaa-Diya Haathoun Ko Tayk Ke

Aaya Sarhaane Tegh Bakaf Shimr-E Ro Siyaah
Bola Gala Ke Mai Hoon Payambar Ki Bosagaah
Dil Ne Kaha Ke Seena Hai Ganjeena-E Ilaah
Baitha Ye Us Jaga Ke Unhain Jaae Sharah Aah
        Is Zulm-E- Nou Se Charq-E Kohan Kaanpne Laga
        Aisa Hussain Tadpe Ke Ran Kaanpne Laga

Paani Wo Maangthe Hain Pilaatha Nahi Koi
Is Dard Ko Qayaal Me Laatha Nahi Koi
Kya Qahar Hai Ke Paas Bhi Aatha Nahi Koi
Seene Se Be Hayaa Ko Uthaatha Nahi Koi
        Amma Tumhaari Peet-Thi Hai Bilbilaati Hai
        Wo Bete Se Lipat Thi Hain Hooren Chudhaathi Hai

Akbar Ka Sadqa Aap Mere Kaam Aaiye
Loundi Ke Baal Kholke Bewa Banaaiye
Aaqir Huwa Suhaag Meri Nath Badhaaiye
Bhaabi Hassan Ko Roti Thi Kyunkar Bathaaiye
        Rand Saala Mai Talab Nahi Karthi Janaab Se
        Mahroom Tho Na Rakhiye Azaa-E Sawaab Se

Zainab Pukaari Aao Gale Se Lagaaloon Mai
Aao Jabeen Pa Qaak Maloon Nath Badhaaoon Mai
Maa Ne Dulhan Bnaaya Tha Bewa Banaaun Mai
Maango Duaa Zameen Pha-Te Aur Samaaoon Mai
        Hai Hai Bichad Ke Gour Kanaare Gaye Hussain
        Jeeti Rahi Mai Rone Ko Maare Gaye Hussain