Tashnalab Mazloom Sarwar Alvida

Tashnalab Mazloom Sarwar Alvida Salaam Writeup, Lyrics

tashnalab mazloom sarwar alvida
fatima zehra ke dilbar alvida

shane majlis tha tumhara zikre gham
rounaqe mehrabo mimbar alvida

hai jawani bhi wa-baale zindagi
ab tumhare gham may akbar alvida

lijiye auno mohammad ab salaam
saabira zainab ke dilbar alvida

dil se ab nakshe wafa mit-ta nahi
jao abbas-e-dilawar alvida

majliso may humko rota choad kar
muskurate jao asghar alvida

ab na zainab jaogi tum sar khule
nazr hai ashkon ki chadar alvida

rote hai baqir muhibbane hussain
kehte hai sibte payambar alvida