Shaheed Se Koi Shamsheer Ka Maza Pooche Marsiya Writeup, Lyrics
Shaheed Se Koi Shamsheer Ka Maza Pooche
Mareez Se Koi Akseer Ka Mazaa Pooche
Aseer Se Koi Zanjeer Ka Mazaa Pooche
Yateem Se Koi Dilgeer Ka Mazaa Pooche
Har Ek Pa Guzra Zamane Me Ranj-O- Gham Hae Hae
Sahaa Na Aabid-E- Beemar Sa Alam Hae Hae
Shaheed Hote Huwe Baap Ko Pisar Dekhe
Ani Pa Naize Ki Hae Hae Sar-E- Pidar Dekhe
Jawaan Bhaai Ka Nikla Huwa Jigar Dekhe
Phupi Ko Aankhoun Se Balwe Me Nange Sar Dekhe
Kisi Nabi Pe Na Istarha Ke Alam Guzre
Jo Is Mareez Pa Har Tarha Ke Sitam Guzre
Shadeed Tip Me Wo Kaantoun Pa Chalna Aabid Kaa
Pahan Ke Bediyaan Har Ek Qadam Pa Gir Padnaa
Wo Zulm-O- Jour-E- Sitamgar Haram Ka Shour-E- Bukaa
Wo Jism -E- ;Aagjare Aabdo Wp Dhoop Wo Durra
Siwaaye Shukre Quda Kuch Na Kahthe The Sajjad
Duaa-E- Ummath-E- Aasi Me Rahthe The Sajjad
Phiraaya Kaantoun Pa Sajjad Ko Barahnaa Paa
Nabi Ke Kunbe Ko Balwe Me Legaye Aadaa
Jalaaya Qaima-E- Naamoose Syed-E- Waala
Phiraake Balwe Me Zindaan Me Qaid Kardaala
Tamaasha Dekhne Sab Ahle Shaam Aathe The
Hayaa Se Ahle Haram Gardan-E Jhukaathe The
Sitam Ke Baad Huwa Qaid Se Jo Chutkaara
Laeen Se Baap Ka Sar Is Yateem Na Maanga
Sare Hussain Qazaane Se Hind Ne Bheja
Sawaar Oontoun Pa Kunba Huwa Payambar Ka
Lahad Me Laash Ghariboun Ki Haae Dhame Chale
Mah-E- Butool Ko Palvand-E- Khaak Karne Chale
Jo Pahonche Karb-O- Bala Aabide Aseere Balaa
Pidar Ko Deke Kafan Khaak Me Rakha Laasha
Lipat Ke Qabr Se Chillaae Yun Ke Aye Baba
Watan Ko Jaatha Hoonn Lo Aaqri Mera Mujraa
Watan Se Aaya Tha Kis Shaan Se Yahaan Hae Hae
Lutaa Ke Ghar Ko Mai Jaata Hoon Neem Jaan Hae Hae
Likha Hai Yun Ke Watan Aaye Jab Shah-E-Waala
Pidar Ki Yaad Me Har Waqt Karthe The Naala
Nazar Jo Aatha Tha Paani Tho Rote The Moula
Hamesha Aankhou Me Phirtha Tha Dasht-E- Karb-O- Bala
Pidar Ke Baad Bhi Raahat Mili Na Aabid Ko
Do Baara Qaid Kiya Is Ghareeb Zaahed Ko
Watan Se Legaye Phir Qaid Karke Baaniye Shar
Huwi Bhatije Ke Hamraah Zainab-E- Muztar
Qareeb Shaam Jo Pahonchaa Wo Dono Nouha Gar
Lagaaya Belcha Zainab Ki Pusht Ke Oopar
Safar Me Zainab-E- Bekas Se Chut Gaye Sajjad
Dayaar-E- Shaam Me Phir Aake Lut Gaye Sajjad
Phupi Ko Sounp Ke Jangal Me Syed-E- Waala
Madine Me Huwa Daaqil Wo Bekas-O- Tanha
Waleed-E- Shaam Ke Haakim Ne Zaher Bhijwaaya
Wo Sam Ke Khaate Hi Aabid Ne Ki Jahaan Se Qazaa
Falak Pa Hoor-O- Malak Arsh Ko Hilaane Lage
Zameen Pa Jinn-O- Bashar Sar Pa Qaak Udaane Lage
Mohibbo Daaghe Alam Dil Pa Dhar Gaye Sajjad
Jo Khaya Zaher To Sad Half Margaye Sajjad
Nabi Ki Aal Ko Be Aas Kargaye Sajjad
Yateem Hogaye Baaqer Guzar Gaye Sajjad
Sar Apna Peet The Marqad Se Mustafa Nikle
Kaleja Thaamke Kyun Kar Na Faatema Nikle
Charaaghe Deen-E- Nabi Aaj Bujh Gaya Yaa Rab
Nishaan-E- Panjetan-E- Paak Mitgaya Yaa Rab
Uthaa Jahaan Se Sartaaj Ab Mera Yaa Rab
Qitaab Bewa-E- Aabid Mujhe Mila Yaa Rab
Karoon Mai Kya Meri Qismath Bigadh Gayi Yaa Rab
Chaman Me Faatema Ke Ous Padh Gayi Yaa Rab
Quda Ke Arsh Ka Taara Guzar Gaya Logo
Ghazab Hai Shaah Hamaara Guzar Gaya Logo
Wo Bekasoun Ka Sahaara Guzar Gaya Logo
Hassan Hussain Ka Pyaare Guzar Gaya Logo
Madina Lut Gaya Ya Mustafa Duhaai Hai
Najaf Ujad Gaya Ya Murtaza Duhaai Hai