Shah E Waala Ne Shahadat Ka Sar Anjaam Kiya

Shah E Waala Ne Shahadat Ka Sar Anjaam Kiya Marsiya Writeup, Lyrics

Shah E Waala Ne Shahadat Ka Sar Anjaam Kiya
Sar Kata Zulm Sahe Haq Ka Magar Kaam Kiyaa
Sabr Ne Aabid-E- Beemar Ke Itnaam Kiyaa
Baap Aur Bete Ne Islaam Ko Islaam Kiyaa
        Waada Tifli Ka Jo Shabbir Wafaa Karte Hain
        Haq-E- Farzand Ye Sarwar Ka Adaa Karte Hain

Koun Masoom Huwa Touq-O-Salaasil Me Aser
Koun Hai Wo Jise Pahnaai Hai Dehri Zanjeer
Taaziyaanoun Se Adoo Dete The Kisko Taazeer
Kiske Maa Bahnoun Ki Majme Me Huwi Hai Tashheer
        Tai Koi Kar Na Saka Jisko Wo Ye Manzil Hai
        Sabr Naamoos Ke Baare Me Bahot Mushkil Hai

Kargaye The Jo Wasiyaath Shah-E- Deen Waqt-E-Aqeer
Sabr Se Kaam Liya Kijiye Baade Shabbir
Shukr Karna Jo Pahnae Tumhen Bhaari Zanjeer
Bad- Duaa Dena Naa Ummat Ko Jo Zainab Ho Aseer
        Tum Jo Bigdoge To Qhaaleq Ka Ghazab Aaegaa
        Kaam Jo Maine Banaaya Hai Bigad Jaaegaa

Dhyaan Baba Ki Wasiyaath Pa Jo Karthe Hai Imaam
Unke Qaatil Se Bhi Farmaathe Hain Narmi Se Kalaam
Touq Pahnaane Ko Jo Laatha Hai Wo Bad Anjaam
Qud Badhaa Dete Hai Gardan Ko Shainshaah-E- Anaam
        Ye Tahammul Hai Ise Shaan-E- Wafaa Kahthe Hain
        Kahne Waale Ise Tasleem-O- Razaa Kahthe Hain

Baap Ki Laash Pa Wo Zulm Huwaa Kuch Na Kahaa
Chin Gayi Saaniye Zehra Ki Ridaa Kuch Na Kahaa
Baazu Naamoos Ka Rassi Me Bandhaa Kuch Na Kahaa
Taaziyanoun Ki Sahi Saqt Jafaa Kuch Na Kahaa
        Gham Se Maadar Ka Jigar Seene Me Phat The Dekha
        Ali Asghar Ka Gala Qabr Me Kat The Dekha

Sar Barahna Sar-E- Darbaar Gaye Sabr Kiya
Dar Badar Kooncha-O- Baazaar Gaye Sabr Kiya
Qudratain Rakh Ke Giraftaar Gaye Sabr Kiya
Be Dawa Qaed Me Beemaar Gaye Sabr Kiya
        Qadr Baba Ki Wasiyyath Ki Dikhaai Toone
        Qabr Haathoun Se Sakina Ki Banaai Toone

Yaa Ali Dekhlo Pouthe Ki Musibath Dekho
Gham-O- Indowh Ki Tasweer Hai Soorath Dekho
Shiddath-E- Tip Se Ghazab Ki Hai Naqaahat Dekho
Touq Phir Us Pa Gale Me Hai Qayaamat Dekho
        Waqf-E- Aalaam Hain Hazrath Ke Gharaane Waale
        Kya Sitam Sahthe Hai Ummath Ke Bachaane Waale

Haae Jeethe Hain Teri Qabr Mitaane Waale
Quld Me Ahmed-E- Mursal Ko Rulaane Waale
Chashme Insaaf Se Dekhe To Zamaane Waale
Kaise Hote Hain Mohammed Ke Gharaane Waale
        Zaher Paathe Hain Gala Taegh Se Katwaathe Hain
        Qabr Me Jaake Bhi Aaraam Nahi Paathe Hain