Sakina So Rahi Hai Salaam Writeup, Lyrics
khudara zor se bolay na koi sakina so rahi hai
sunayi kisne ye zindan may lori sakina so rahi hai
kaha bano ne ye utho shehzadi
hui kya baat jo madar se roothi
utho baba ka sar aaya hai bibi
magar zindan ki har dewaar boli
sakina so rahi hai
tumhare goshware mil gaye hai
dare zindan saare khul gaye hai
rehaai mil gayi jaati hoo ghar ko
magar sajjad ki awaaz aayi
sakina so rahi hai
na ab maarega koi bhi tamachay
na honge phir se ye ruqsaar neele
gala baandha na jayega rasan may
jo aaya shimr to ussay kahoongi
sakina so rahi hai
rida choti si ek sar par udhadoo
chalo abbas se tumko miladoo
tumhari mashk hai aur unka seena
jo dekhe aasman kehta hai wo bhi
sakina so rahi hai
rasan ka zakhm ashkon se dhuladoo
tere baalon se ye mitti chudadoo
tere talwo ke chaalon ki dawa doo
ajal boli ke ye kaise chalegi
sakina so rahi hai
hue jab sham ke saaye bhi gehre
parinde cheh-chahate jaa rahe thay
kaha bano ne ay udhte parindo
sadayein rokh lo kuch dayr apni
sakina so rahi hai
andhera roya sannate se mil kar
falak girne laga dharti ke upar
hilaane par bhi jab bachi na jaagi
to boli ye fizaon ki khamoshi
sakina so rahi hai
banane qabr jab sajjad uthay
to wo nade ali dohra rahe thay
bandhe hathon se chaha qabr khoday
achanak paon ki zanjeer chalki
sakina so rahi hai
adab ki ja hai ye rehaan dekho
buland awaaz se hargiz na bolo
yahan to fateha bhi dheere padna
yahan awaaz hojaye na oonchi
sakina so rahi hai